VLC Media Player Me Playback Speed कैसे बदलें

VLC media player ki playback speed se audios aur videos ki speed ko fast aur slow kar sakte hai. Agar speed ko fast karte hai to media file tezi ke sath aage badh kar play hota hai jisse sound clarity kam ho jati hai aur finally sound ko understand karna mushkil ban jata hai.

vlc player playback speed

VLC media player me playback speed ko slow karne par bhi same problem ho jati hai aur aisa lagta hai ki jaise video/audio me koi bhoot bol raha ho. Playback speed ko kam ya jyada karne se voice ko samajhne me pareshani ho jati hai.

VLC Player Playback Speed

Sound speed ko increase/decrease/normal mode me sunne ke liye apne PC par steps follow kare:

Step 1. Playback speed ko normal rakhne ke liye computer ke VLC me koi bhi audio ya video file play kare.

Step 2. VLC ke top par Playback ka option aayega aur us option par right-click karke Speed option par mouseover kare.

Step 3. Speed option me faster, normal, slower ke options aayenge jinse aap playback speed ko tez, kam ya normal kar sakte hai.

Har ek option ko ek-ek karke try kare taki aap apni pasand ke according playback speed ko set kar sake. VLC Playback me jump backward/forward se video, audio ko aage aur peeche kar sakte hai. Iske alawa, voice ko record bhi kar sakte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Computer Me Recent Activity Check Kaise Kare

Next Story

दुनिया भर में इंटरनेट की सांख्यिकी