YouTube video ki ranking check karne ke tools bahut hi useful hai jin se aap kisi bhi video ki ranking pata laga sakte hai. Ranking check karne ke liye video ka link aur keywords enter karke pata laga sakte hai.
Ranking check karne se aap apne competitors ke keywords aur youtube tags ki strategy bhi janch kar apne videos ko SEO kar sakte hai. YouTube video ko optimize karne se aapke videos kafi had tak rank karenge jinse aapki channel organic traffic aayega.
YouTube Video Rank Checker Tools
Maine is article me kuch useful tools add kiye hai jinse aap apne video ki search position badi aasani ke sath pata kar sakte hai. Ye tools aapke videos ko SEO optimized karne ke liye bahut kaam aa sakte hai.
1. YTRank
YTRank online rank checker ki madad se aap kisi bhi video ka link aur keyword enter karke search position jaanch sakte hai. YTRank free tool hai jis me registration ki zaroorat bhi nahi padti hai. Aap is tools se kisi bhi video ki ranking, kisi bhi country ke sath compare karke rank ka pata laga sakte hai.
2. YouTubeRating
YouTubeRating bhi YTRank ki tarah free aur online tool hai. Lekin, ye tool pehle wale tool se acha hai kyonki is me aap comma ke sath multiple keywords enter kar sakte hai. Jaise hi video ka URL aur keywords enter karte hai tou ye pura data analyze karke results show karta hai.
Is tool me aur bhi ache features hai jaise youtube video language, multiple keywords aur phrase select kar sakte hai.
3. TubeBuddy
Basically, TubeBuddy chrome extension hai jis ko aap apne web browser par install karke kisi bhi video ki ranking position check kar sakte hai. TubeBuddy video ke tags ko analyze karke ye batata hai ki video me diye gaye tags kitne had tak SEO friendly hai.
Extension ko install karne ke baad koi bhi video play kare aur play button press karne ke baad, TubeBuddy icon par click kare.
4. Tags for YouTube
Tags for YouTube be TubeBuddy ki tarah hi work karta hai. Is extension ko google chrome web browser par install karke youtube video ke best matching tags check kar sakte hai.
YouTube aaj kal almost sabhi publishers use karte hai kyon ki YouTube par career ke chances zyada hote hai. Is liye video quality ke sath-sath, video keywords par bhi focus karna important hai jisse aapke video rank kar sake phir woh baat google search ki ho ya phir youtube search ki. Agar aapka video SEO optimized hai tou aapke channel par bahut traffic aayega aur jab traffic aayega to subscribers aur watchtime bhi kafi bad jayega.