Premium wordpress website ko kabi zero charges par banaya hai? Agar nahi, to aaj main wordpress site banane ka tarika step by step batane ja raha hu. Is technique se aapko koi bhi charges nahi dene padenge. Is me sab kuch free of cost hai.
Wordpress ki baat ki jaye to log uske liye paid hosting lekar apne blog ko live kar dete hai lekin yaha par aisa nahi hai. Aap apna blog free me bana kar kisi bhi site ko takkar de sakte hai kyun ki aapki site bhi premium sites ki tarah hogi jis me sab kuch muft me milega.
Basic Requirements
Premium WordPress site create karne ke liye 3 cheezon ki zaroorat hoti hai jis ki madad se aap apna blog free me bana sakte hai.
- Custom domain
- Free WordPress hosting
- Free SSL certificate
Yehi woh 3 cheezen hai jin ki help se aap apna blog zero charges par bana sakte hai aur aapka blog create hone ke baad, kisi bhi premium website ko aur competitor ko takkar de sakta hai.
To pehle baat karenge basic requirements ki aur phir main step by step guide bata du ga jis se aap aaj hi apni wp site publish kar sakte hai.
Custom Domain
Agar aapke paas already custom domain hai to well and good lekin agar aapke paas khud ka domain nahi hai to phir bhi aap wp site bana sakte hai. But agar aap seriously blog banana chahte hai jo professional lage, to aap Rs. 99 me apna domain buy kar sakte hai.
Free WordPress Hosting
Free hosting ke liye bahut sare websites hai lekin woh premium features provide nahi karte hai jiski waja se hamari mehnat par pani phair jata hai. Basically, maine personally try kiya hai ki sabse fast aur lifetime free hosting kaha se milti hai. Maine haal hi me apni wp website infinityfree.net se banayi hai jo ki bilkul free aur fast hai.
Free SSL Certificate
Aaj woh zamana hai ki agar aap bahut hi achi website create kar bhi lete hai lekin usme zero visitors bhi nahi aayenge. Mera yaqeen mano, aapka blog par koi nahi aayega. So, SSL bahut hi important hai. SEO industry me bhi HTTPS ek important role play karta hai. SSL hone se websites google me rank bhi kar lete hai.
Step by Step Guide
Ab main aapko wordpress site banane ke tarika batane ja raha hu jisko follow karke aap apna blog aaj hi publish kar sakte hai. Lekin steps ko carefully follow kare. Ek mistake aapke blog ko publish hone se rok sakti hai.
Step 1. Sab se pehle infinityfree.net par jaye aur waha Sign Up kare. Sign up karne ke baad, Register par click karke details enter kare.
Step 2. Iske baad, apne email inbox me jakar, “sign up” confirmation link par click kare.
Step 3. Ab aapke same create new account ka option aayega jaha aapko click karke, hosting account create karna hai.
Step 4. Iske baad, aapko domain naam enter karna hai. For example, agar mere paas custom domain hai to me A wale section me apna custom domain enter karunga lekin agar aapke paas abhi tak domain nahi hai to aap B arrow me keyword enter kare. Iske baad, google captcha ko complete karke Create Account par click kare.
Step 5. Account create karne ke baad aapko red color me error message aayega:
Apne domain registrar me login kare jaha se aapne domain liya hai aur waha par Nameservers change kare.
Nameserves ke pehle field me ns1.epizy.com enter kare aur dusre field me n21.epizy.com enter kare. Iske baad 5-10 minutes wait kare jab tak DNS update ho jayega.
Step 6. Iske baad domain ko phir se enter kare aur “create account” par click kare. Ab aapka account ban jayega aur finally Open control panel par click kare.
Step 7. Open control panel par click karne ke baad aapko notice page dikhai dega aur page ke neeche I Approve par click kare.
Step 8. “I Approve” par click karne ke baad, aapko cPancel par redirect kiya jayega aur cPanel page ko neech Software section me Softaculous App Installer par click kare.
Step 9. Iske baad WordPress option par click kare aur aapka page wp setup par redirect ho jayega jaha par aapko kuch nahi karna hai bas In Directory me wp hata dena hai.
My Blog ki jagah apne blog ka title enter kare aur page ke neeche koi bhi theme select karke Install par click kare.
Step 10. Installation success hone ke baad wordpress admin panel me login kare.
Admin panel ka default username admin hota hai aur default password pass hota hai. Admin panel me login karne ke liye apne domain ke aage wp-admin add kare. For example agar mere domain ka naam example.com hai to main http://example.com/wp-admin par login karunga.
Step 11. Site add karne ke baad, Next par click karke Free plan select kare aur finally confirm plan par click kare.
Cloudflare aapke domain ka IP address automatically scan karke add karega. Iske baad, Continue par click kare.
Step 12. Ab aapko domain registrar me infinityfree.net ke Nameservers ki jagah cloudflare ka nameservers add karke continue par click kare.
Step 13. Nameservers add karne ke baad, 5-10 minutes tak wait kare aur cloudflare page ko refresh kare. Jaise hi aapki site cloudflare me active ho jayegi, aapko apne wordpress admin panel me login karna hai. Example: http://mydomain.com/wp-admin/.
Step 14. Admin panel me jane ke baad, Plugin me jaye aur waha par Cloudflare ka official plugin install karke activate kare.
Step 15. Plugin ko activate karne ke baad plugin ki setting me jaye.
Step 16. Settings me jane ke baad, Have an account already? Sign in here par click kare kyon ki aapka account already cloudflare me hai.
Ab ek popup aayega jisme aap ko cloudflare ka email enter karke Get your API Key from here select karna hai.
Step 17. Ab aur ek popup aayega jahan par aapko neeche scroll karke API Keys me Global API Key ko view karna hai.
Step 18. View karne ke baad, cloudflare account ka password enter kare aur “key” code ko copy kare.
Step 19. Ab wordpress ke cloudflare ki setting me cloudflare email aur API key enter karke Save APNI Credentials par click kare.
Step 20. Ab aapko cloudflare me jana hai aur waha par Crypto par click kare. Crypto me jane ke baad, neeche scroll kare. Always Use HTTPS aur Automatic HTTPS Rewrites ko ON kare.
Step 21. Certificate activate hone ke baad aapko jana hai Page Rule tab pe aur waha aapko page rule add karna hai.
Page rule add karne ke liye Create page rule option par click kare aur apne domain ke sath Asterisk yani * add kare. Aapko 3 page rule add karne hai jis ki madad se aapki site par mixed contents ka issue bhi solve ho jayega.
Neeche diye gaye examples ke according page rule set kare:
- http://*yourdomain.com/*
- Always use HTTPS
- Security Level: High
- Security Level: High
- Cache Level: Bypass
- Disable Performance
- Disable Apps
yourdomain.com.com/wp-login.php*
yourdomain.com/wp-admin*
Step 22. Ab aapka SSL activate ho chuka hai aur SSL ko fully activate karne ke liye apko wordpress dashboard me jana hai aur waha Plugins par click karke Add Plugin select karke SSL plugin install aur activate karna hai. Jo plugin aapko install karke activate karna hai uska naam Really Simple SSL hai.
Step 23. Jaise hi plugin activate ho jayega, aap ke samne Almost ready to migrate to SSL ka option aayega aur aapko Go ahead, activate SSL par click karna hai.
Step 24. Go ahead, activate SSL par click karne ke baad aapki wordpress site par HTTPS successfully activate ho jayega.
24 steps follow karne ke baad, aapki wordpress site publish ho jayegi. Ab aap apne wordpress par koi bhi theme aur plugin install kar sakte hai.
Agar aapko kisi tarah ka koi bhi error aata hai to aap comments me puch sakte hai. Main aapki help 100% karunga chahe aap ka domain godaddy par ho ya phir kahin aur.
WordPress ko completely live karne ke baad ab bari hai password change karne ki. Kyon ki ye har koi janta hai ki infinity.net ka default password pass hota hai. To aap wordpress me apne profile ke admin page me jaye aur waha generate new password karke naya password enter kare. Iske baad, agar aap wordpress me email change karna chahte hai to abi kare taki password bhul jane par aap wordpress ka password reset kar sake.