Hackers Ki तीसरी आंख Band Kaise Kare

Pehle main ye bata du ki तीसरी आंख kis ko kehte hai? Teesri aankh “third-eye” ko kehte hai yane ki Camera jo hamare smartphones aur laptops me hota hai. Computers aur smartphones me sabse dangerous aur useful part camera hota hai jisko ghatak softwares se remotely control kiya jata hai.

disable camera

Camera ko block karne se kya hota hai aur agar block na kare to kya ho sakta hai? Pehle main ye bata du ki camera ki safety important kyon hai. Iske baad aapko easily samajh me aayega ki camera access block karna chahiye ya nahi.

Hackers Camera Ka Upyog Karte Hai?

Hackers hamare sath selfie lene ke liye camera ka upyog nahi karte hai balki who log hume bataye bina humare camera ko remotely control karke blackmail karna start karte hai. Sabse pehle who log camera light disable kar dete hai taki hume camera open hone ka pata hi na chal paye. Aur jab camera open hota hai to hamari activities ki videos recording ban jati hai jo blackmail karne ke liye kafi hai.

Basically kuch Apps aisi hai jo hamara camera access karte hai aur un Apps ko remotely control kiya ja sakta hai. Jab aise Apps ko remotely access kiya ja sakta hai to aap ka camera kyon nahi?

Itna sab sunne ke baad kya aap camera ki safety nahi chahte hai? Is situation me camera ki safety hum sabki first priority honi chahiye.

Camera ko disable karne ke liye different techniques hai jaise Android camera ke liye ek tarika hai, iPhone aur PC ke liye dusra method hai jiske liye main one by one steps bata du ga.

1. Windows 10 Ka Camera Disable Kaise Kare

Agar aapke paas Windows 10 ka latest version hai to camera ko temporarily disable karne ke liye steps follow kare. Jab aapko camera ki zaroorat padegi to same settings me ja kar enable kare.

Step 1. Sabse pehle All Settings me ja kar Privacy par click kare.

Step 2. Left side me Camera option select karke “Allow apps to access your camera” ke neeche button ko press kare aur aapka camera disable ho jayega.

Step 3. Agar aap kuch Apps ke liye camera access ko ON rakhna chahte hai to step 2 ko skip kare aur “Choose which Apps can access your camera”  me App ko ON kare.

Step 4. Agar aap camera pure PC me disable karna chahte hai to “Change camera for this device is ON” ke neeche Change option par click kare aur “Camera for this device” ko OFF kare.

2. Method #1: Android Camera Disable Kaise Kare

Android smartphone me camera ko disable karne ke liye two methods hai. Ek Apps ki madad se aur second manual method. Camera ko manually block karne ke liye steps follow kare.

Step 1. Sabse pehle phone Setting me jaye aur waha par Apps ka option select kare.

Step 2. Apps me Camera par click karke Permissions par click kare.

Step 3. Permission me Camera option ko OFF kare.

Step 3. Camera ko phir se ON/enable karne ke liye “permissions” me option ON kare.

Method #2. Cameraless App

Agar aap manual steps ko follow karna jhanjhat samjh kar alternate option dhoond rahe hai to apne android phone ka camera Cameraless- Anti Spy Camera Blocker Application download kare.

3. Disable iPhone Camera

iPhone par camera ko temporarily disable kare ke liye easy steps follow kare:

Step 1. iPhone Setting open karke General option select kare.

Step 2. General options me Restrictions par click kare.

Step 3. Agar aapne restrictions ka password set kiya hai to well and good aur agar password nahi rakha hai to abhi set kare.

Step 4. Restrictions me bahut sari Apps milenge jisme camera bhi hoga.

Step 5. By default, camera ON rehta hai. OFF option par click karke iska access disable kare.

Camera ko temporarily disable karne se Facebook, Instagram aur dusri website par videos call nahi kar sakte hai. Video call karne ke liye camera setting ko original settings me change kare. Default settings karne ke liye same steps follow kare aur jo option off hoga usko ON kare aur jo ON hai usko off kare.

Camera off karne se kisi bhi App ko phone camera use karne se roka ja sakta hai jo hamari provacy me extra security badhata hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Email Inbox Ko Remotely Kaise Hack Kare

Next Story

Real Life Secrets of Crazy Bloggers and YouTubers हिंदी में