Email Inbox Ko Remotely Kaise Hack Kare

Agar aap kisi ko galati se email send karte hai to kya aap send kiye gaye email ko apne smartphone, laptop se delete kar sakte hai? Only one second me dusre ke inbox se emails ko delete karna bahut easy hai. Ye trick sabhi emails par work karta hai jaise ymail, hotmail, outlook, gmail etc.

hack email inbox remotely

Emails ko hacks karne ke liye aapke paas gmail account hona chahiye otherwise aap dusre vyakti ka inbox remotely access nahi kar sakte hai. Aage badne se pehle aapko ye pata hona chahiye ki gmail account se self-destructing email send kaise kare. Tabhi dusro ke inbox me emails ko delete kar payenge.

Email Access Remove Karne Ka Tarika

Emails ko remotely access/delete karne ke liye kisi software ya virus ki zaroorat nahi hai balki ye google account ke naye features me available hai jo hamare emails ko extra security deta hai.

Step 1. Sabse pehle self-destructing email send kare.

Step 2. Email send karne ke baad, apne gmail sent items me jaye.

Step 3. Send kiye email par click karne ke baad Remove Access option par click kare.

remove email access

Step 4. Access remove karne ke baad, vyakti ke inbox me aapka email usi time expire ho jayega.

Step 5. Yadi aap email ko phir se undelete karna chahte hai to Renew Access par click kare aur aapka email vyakti ke inbox me phir se show ho jayega.

renew email access

Basically, is tarah ke emails secure hote hai jinhe aap security reasons ke liye use kar sakte hai. Gmail ke new features bahut hi useful aur powerful hai jis ki madad se send kiye gaye wrong emails ko remotely delete kar kiya ja sakta hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Vishv Ke Sabse Ghatak Programming Languages

Next Story

Hackers Ki तीसरी आंख Band Kaise Kare