/

Duniya Ke 5 Ajeeb Gadgets | अजीब गैजेट्स

Hum log smartphone bahut time se use kar rahe hai lekin kya aap ne socha hai ki smartphone ko ab control karna kitna easy aur advanced ban chuka hai? Aaj main aapko unbelievable gadgets ke bare me batane ja raha hu jo sune me kafi ajeeb lagta hai.

Weird Gadgets

Bmartphone gadgets ki wajah se Android OS me bahut development hui hai jiske bare me sun kar aadmi shock ho jata hai. Mobile phones me games hone ki wajah se aadmi inka addicted ban chuka hai aur is addiction ko tech companies aur bhi mazedar banane me lagi hui hai.

Unbelieveabe Gadgets

2019 me aane wale gadgets ki list maine is article me cover kiya hai jinse market me kohram macha hai. Chaliye ab baat karte hai ki aise kon se weird gadgets aaye hai jinke bare me aap sunne ke liye itne betaab hai.

1. MUJA TouchPad

Agar aap game lover hai ya phir smartphone ke addicted hai to aap touchscreen par kitni ungliya use karte hai? Obviously only 1 -2! Ab aisa nahi hoga. MUJA touchpad se ab aap 6 fingers ek sath use kar sakte hai. Is gamepad ko cell phone ke peeche bluetooth ki madad se attach kiya jata hai aur screen ko bina touch kiya at a time 6 fingers use kar sakte hai.

MUJA TouchPad

2. GravaStar Speaker

GravaStar Bluetooth speaker robot ki tarah hai jiska sound 20KHz hai. GravaStar magnetic core se bana hai jo sound produce karne par ghumta rehta hai.  Iska sound sci-fi hai jis ka upyog aap ghar me bhi kar sakte hai aur ghar ke bahar bhi. Is speaker ka shape gool hota hai jo iska design sexy bana deta hai.

GravaStar Bluetooth speaker ka battery backup 30 hours hai aur iska weight 1.6kg hai. Agar regular speakers ki baat ki jaye to unka sound usi direction me sunai deta hai jis taraf unhe rakh diya jata hai lekin GravaStar ko is tarah se design kiya hai ki ye soundwave ko 4 taraf se rotate karta hai.

GravaStar Bluetooth speaker

3. Crack Light

Kya aap student, blogger ya phir Youtuber hai? To aapke liye is tool ka hona bahut hi important hai. Crack light bahut hi slip aur powerful hai jisko USB cable ki madad se smartphone ke sath connect kiya jata hai jo suraj ki tarah pure room me light deta hai. Crack light ka weight only 19 gram hai jo ek sikke se bhi kam hota hai. Ye waterproof hone ke sath-sath bahut hi beautiful hai.

crack light

4. Wearable Keyboard/Mouse

Wearable mouse kaho ya keyboard. Ye device mouse/keyboard controller hota hai jo basically, ring ki tarah hota hai jisko ek hath ki 5 fingers me pehna jata hai. Is me hota kuch yun hai ki jab bhi aap apna hand mouse ki tarah ghomate hai to mobile screen ko bina touch kiye use kar sakte hai. Is device ko laptop ke liye bhi use kiya jata hai. Wearable mouse ko bluetooth ke zariye connect kiya jata hai aur iski battey 370Am battery backup hota hai.

wearable keyboard

5. Lynq Tracker

Lynq tracker bahut hi powerful device hai jo real-time location track karta hai. Lynq ki range 3-5 km hai aur battery backup 3 days hai. Agar aap ke chote bache akele market me jate hai ya phir swimming karne jate hai to Lynq tracker ko hamesha unke sath rakhe taki unki location par nazar rakh sake. Is device ki madad se 10 logo ki locations ko ek sath track kiya jata hai.

lynq tracker

In devices ki help se aap apna kaam easy and useful bana sakte hai. Gadgets humare smartphones, laptops, aur games ko advanced aur most useful bana dete hai jinka upyog karne se koi bhi mushkil kaam aasan ho jata hai. Lekin, kuch gadgets ka price bahut hi jyada hota hai jin ko afford karna mushkil ho jata hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Duniya Ki Sabse Amazing Websites | अद्भुत वेबसाइटें

Next Story

Vishv Ke Sabse Ghatak Programming Languages