Bahut sare logo ko google ke new search console me confusion hota hai ki aakhir site ko Domain property me add kare ya phir URL prefix property me. But aaj aapka confusion door karne ke liye maine ye article likha hai taki aap apni website ko sahi tarah se add kar sake.
Google ne pichle saal search console ko upgrade kiya jis me URL inspection tool, index coverage, performance report, aur AMP report jaise features available hai. Lekin, jaha tak property ko add karne ki baat hai, Google ne search console ka interface puri tarah se change kar diya hai.
Website Property Types
Search console ke new version me 2 tarah ki properties hai. Ek Domain property aur dusra URL-prefix property. Basically, ye dono different properties hai jo different site versions ke liye design kiya gaya hai.
Domain Property
Domain property Google ka naya tool hai jis me aap apni website ko add kar sakte hai. Is property me aap ki puri site ko manage kiya jayega. Agar aapke paas subdomain bhi hai to woh subdomain bhi isi me add hota hai. For example, agar aapki website ka address yourdomain.com hai to “domain property” yourdomain.com aur is se jude sabhi URL ko support karta hai.
For example, agar aapko website add karni hai to aapko only yourdomain.com add karna hai aur aapki puri site, subdomain, mobile version, www, non www, http, aur https automatically add ho jayega.
URL-prefix Property
URL-prefix property old search console ki tarah hai jis me aap website ka koi particular prefix aur us se jude other url ko manage karta hai. Ye add kiye gaye blogs ke subdomains ki report nahi de ga. Haan agar aap is me site ki jagah subdomain add karenge to ye keval isi subdomain ko manage karle ga na ki puri site ko. “URL-prefix” section aap keval http ya https wala version add kar sakte hai.
Suppose, agar aap http://yourdomain.com add karenge to aap https://yourdomain.com property isme manage nahi kar sakte hai. Is ka matlab ye ki ye search console ka old version hai jis me aap apni website ka exact address copy karke paste karte hai.
In short, agar aap chahte hai ki aapki puri site search console me add ho jaye to aapko “domain property” me add karna hoga. Yadi aap apne blog ka koi particular address add karna chahte hai to aapko “url-prefix” wale option me add karna hai.
Adding in Both Versions
Ab question ye hai ki kya aap dono me same site add kar sakte hai? Nooooooooooo. Aap dono me same site agar add kar bhi lete hai to is se koi faida nahi milega kyon ki domain property me sab kuch aata hai. Is liye aapko same site multiple times add karne ki zaroorat nahi hai.
Ab main is topic ko aur bhi easy banane ki koshish karunga. Yadi aap prefix wale me http://yourdomain.com/ add karenge to theek hai lekin agar aapki isi website me HTTS wala ko page hoga to is situation me aapko HTTPS ki report nahi milegi.
Final Thoughts
Domain property ka option best choice hai kyon ki ye website ka mobile version aur desktop version ke alawa, HTTPS aur HTTP ko crawl aur index karta hai. Even, ye option www aur non www ko bhi crawl aur index karne ke sath-sath performance report bhi deta hai.