What is Network Interface Card | नेटवर्क इंटरफेस कार्ड

Network Interface Card

Kya aapne kabhi socha hai ki hamara computer network ke sath kaise connect hota hai? Agar aapko abhi tak iski jankari nahi hai to aapko network interface card ke bare me jankari lena zaroori hai kyunki yehi woh hardware hai jo hamare devices ko network ke sath jod deta hai.

Network Interface Card computer ka hardware hota hai jo plastic circuit board hota hai jiski short form NIC hai. NIC ko ethernet card aur network adapter naam ke alwa, network interface controller bhi kehte hai. Ye computers ka aisa component hota hai jo ek PC ko dusre PC network ke sath connect karta hai.

Network Interface Card Kya Hai

Jaisa ki me ne pehle hi bata diya ki ye computer ka hardware hota hai na ki software. Ye computer ke motherboard me laga hota hai jo computer aur data network ke beech me data ko guzarne me help karta hai. Aap yun samjhe ki ye computer aur data network ke beech me as a middleman work karta hai.

NIC Kaise Work Karta Hai

Jab ek user koi bhi website ya webpage visit karta hai to jab user kisi link par click karta hai tou computer us click ko request ke roop me network card me pass karta hai. Ye request signal ke roop send kiya jata hai jisko web server internet ki madad se receive karte hai. Yehi signal web server se web page ke roop me network card se ho kar wapas send kiya jata hai aur wapas send kiye gaye signals ko electrical signal kehte hai.

Jab computer user ke dwara request send karta hai woh humans ke liye unreadable hota hai. Jab yehi signal web server se network card se hokar wapas send kiya jata hai to ye electrical signals ko नेटवर्क इंटरफेस कार्ड ki madad se translate kar deta hai jisko humans read kar sakte hai.

Example of NIC

Abhi aap techlekhak ka article padh rahe hai correct? Jab aap ne is webpage ko visit kiya toh apne pehle post title par click kiya correct? To is situation me aap ne jab click kiya to us click ko aapke device ne isko signal me badal ke web server tak send kiya jo ki network card se hokar guzar gaya. Jab page load ho raha tha to aapka bheja hua signal wapas send kiya ja raha tha jo card se hokar guzar raha tha aur wapas send kiya gaya signal webpage me translate ho gaya.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

5 Best Online Translators | ऑनलाइन ट्रांसलेटर

Next Story

What is Frequency in Hindi | आवृत्ति परिभाषा