Agar aap ek computer user hai ya is se related devices ka upyog karte hai to aap ne computer worm ka naam already suna hoga. But kya aapko pata hai ki worm actual me hota kya hai aur iske functions, aims ya phir programing kaisi hoti hai? In sabhi questions ka answer aaj aapko mil jayega.
Computer worm baki malicious programs se ek dam different hai jis me virus, trojans, spyware aur malware aata hai. Ye sabhi terms alag-alag hai aur inhe alag-alag kamo ke liye develop kiya jata hai. But me yaha par only “worm” aur “virus” ki baat karunga.
What is Computer Worm
Computer worm ek malicious program hota hai jo computer software aur computer hardware ko infect karta hai. Computer worm khud ki duplicate copy automatically create karke storage media aur computer network ki madad se ek computer se dusre computer me enter ho jata hai isliye ye computer virus se different hai.
Computer worm invisible aur automatic software hota hai jo uninfected program ko security failures ki wajah se infect kar deta hai. Ye infection tab spread hota hai jab hum infected PC me kisi network se connect ho jate hai ya phir infected media storages ka upyog karte hai.
Computer Virus
कम्प्यूटर वायरस aur worm me bas itna difference hai ki worm ko dusra system infect karne ke liye human help ki zaroorat nahi padti hai. But virus me bhi humans ki zaroorat nahi padti hai lekin ziyada tar viruses ko execute karne ke liye humans ki zaroorat padti hai.
वर्म vs. वायरस
Computer worm aur computer virus me ye bhi difference hai ki virus ko run karne ke liye infected program aur active host ki zaroorat hoti hai. Virus different tarike se enter hota hai jaise files ko share karne se, infected website visit karne se ya waha se kuch download karne se, aur infected email attachment download karne se.
Worm ko run karne ke liye na hi infected program ki zaroorat padti hai aur na hi active host ki zaroorat hoti hai. Ye kisi bhi network ko स्व-प्रतिकृत roop se automatically infect kar deta hai. Jab infection speed ki baat aati hai to virus ke muqable me worm zyada dangerous hota hai jo computer network aur active network connection ke alawa infected file/software download karne se bahut badi tezi ke sath phail jata hai.
Detection
Jaisa ki maine pehle bhi bata diya ki virus aur worm invisible hote hai jo dekhne se detect nahi ho sakte hai. Lekin inhe detect karne ke liye kuch tarike hai jaise bad system/network performance, programs ka khud execute hona, system ka overheat hona, programs ka achanak se crash hona, asamany roop se kisi file ka hona, software/file ka achanak se gayab hona etc.
Agar aapke email address se emails khud send ho rahi hai to ye 99% worm ka presence ho sakta hai. Ya phir kisi ki email address se aapke inbox me sender ke bina emails aante hai to ye bhi worm ki maujudgi ho sakti hai. Kyon ki worm victim ke contacts ko khud ki email send karta hai taki ye ziyada se ziyada systems ko infect kar sake.
Prevention
Worms aur viruses se bachne ke liye sabse pehle system/network ka up-to-dated hona zaroori hai. Iske alawa, system firewall ko ON rakhna aur woh bhi webshield ke sath aur ache antivirus ka upyog karna important hai.
Itihas bata raha hai ki 1988 se lekar aaj tak jitne bhi worm aur virus aaye, woh bahut hi dangerous the jiski wajah se virus/worm victims ko bahut damage bhugatana pada hai. Is liye apne networks, systems, smartphones ko month me 2 bar scan kare aur kisi bhi surat me firewall ko OFF na kare jab tak ye na pata ho ki aap firewall ko kyun aur kis ke kehne par off karne ja rahe hai.