Kya aapne schools, colleges, hospitals, corporations, companies me bahut sare computer networks ko aapas me connected dekhe hai? Bade bade corporations CAN ka upyog karke apne networks ko interconnect karte hai.
Campus Area Network (CAN) me Local area network (LAN) hota hai jo ki ek dusre ke sath jude hote hai. Ye technique na keval network security ke liye important hota hai balki is technique ki madad se ek hi network me sabhi computers ko interlink kiya jata hai.
What is Campus Area Network
कैंपस क्षेत्र नेटवर्क jisko Corporate area network aur Controller Area Network ke naam se bhi jana jata hai, ek aisa network hota hai jo Local area network (LAN) se bana hota. Ya phir aap yun samjhe ki CAN us network ko kehte hai jis me ek se ziyada LANs ko aapas me interconnected/interlinked hote hai. CAN network kisi khaas area ke liye set kiya jata hai jo limited hota hai.
CAN network ko LAN ke sath jodne ke liye switches aur routers ka upyog kiya jata hai lekin ye wide area network (WAN) aur metropolitan area network (MAN) se chhota hota hai jis me CAN ko wire se ya phir wireless network se operate kiya jata hai jo campus users ko network se jude dusre computers ke sath directly rabta kar sakte hai.
Access and Security
Dusre networks ki tarah CAN network ko only wohi log access kar sakte hai jo campus team, university team, ya phir corporate team ke members (selected persons/systems) hote hai. CAN ka bhi administrator hota hai jo network me aane wale kisi bhi system ka access allow/disallow karta hai aur user ka data bhi limit kar sakta hai.
CAN aur internet ko firewall ke peeche rakha jata hai jo systems ko unauthorize access karne se bachata hai. Jaha tak internet speed ka sawal hai to CAN network me regular internet ke muqable me bahut ziyada speed hoti hai kyunki isme bahut sare LANs ka combination hota hai jo ek single network ke roop me kaam karta hai.