Mouse Buttons Ko दाएं बाएं Kaise Badle

mouse button settings

Me is post me windows computer ki mouse settings ke bare me batane ja raha hu jis ki help se aap apne mouse buttons ko दाएं बाएं change kar sakte hai. Ye setting karne se aap apne mouse ke left button se right click kar sakte hai aur right button se left click kar sakte hai. In short, aapki default mouse function change ho jayegi.

Laptops me hum log mouse ka bahut kam use karte hai but jab baat desktops ki aati hai to mouse ek important input device ke roop me kaam karta hai jis se hum apne computers ko commands dete hai. Mouse ki setting bahut sari hoti hai but me is article me keval right-click ko left click me aur left-click ko right click me change karne ke tarika share karunga.

Mouse Buttons Ko दाएं बाएं Kaise Kare

Agar aap right-handed vyakti hai to aapke liye default mouse clicks OK hai but agar aap left-handed vyakti hai to ye trick aapke liye kafi useful hai. Aap apne laptop/desktop se mouse ko connect karke bahut aasani ke sath computer use kar sakte hai. Yadi aap ki family, class OR office me बाएं हाथ से काम करने वाला koi vyakti hai to aap us vyakti ko is trick ke bare me zaroor bataye.

Step 1. Sabse pehle aap apne PC ke All Settings me ja kar Devices select kare. Aap apne PC ke search box me bhi Mouse settings type karke mouse settings me ja sakte hai.

Step 2. Devices select karne ke baad, left side me Mouse select kare aur Select your primary mouse button ke neeche Left ki jagah Right select kare.

Note: Settings change karne ke baad aap ka left mouse button right mouse button ke roop me kaam kare ga aur right ki jagah left wala kaam karega. Yadi aap apne mouse ki settings defaut me change karna chahte hai to Right ki jagah Left select kare.

Kuch computer applications me apni settings hone ke karan aapki new settings work nahi karti hai. Aise me aapka mouse normally kaam karta hai aur default mouse buttons use karke aapke new settings ko override kar sakta hai.

Ye trick almost windows ke har ek version me available hai jis ko aap control panel me ja kar mouse configuration ko left-handed se right-handed me change kar sakte hai. Settings change karne ke baad, aapka keyboard as usual kaam karega aur is par koi asar nahi pade ga. Ye configuration keval mouse ke liye hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Computer Storage Free Kaise Kare

Next Story

Read and Listen: Windows Quran Softwares