Computer Storage Free Kaise Kare

pc storage free up kaise kare

Aap ne notice kiya hoga ki jab hum apne computer ko update karte hai ya phir zyada downloads karte hai to hamara PC bahut slow work karta hai jis ki wajah low disk space hoti hai. Low storage ke karan hamara laptop poor performance karta hai jis ki wajah se PC ki life kam ho jati hai. Itna hi nahi, balki hamare laptop ki battery par bhi bura asar padta hai.

Free Up Disk Space and Temporary Files: Aaj me aap ke sath easy aur simple trick share karunga jis se aap apne computer ki disk space badha sakta hai. Is method se aap ke pc par useless files delete ho jayenge aur is tarah se aap ka PC fast work karega. Disk space free karne se aap ke computer me bekaar files (temporary files, thumbnails, recycle bin etc. ki files delete ho jayengi).

Computer Storage Clean/Free Kaise Kare

PC ko fast karne ke liye bahut sare tarike hai jaise custom RAM install karna aur custom hard disk lagana etc. But jab inbuilt space ki baat aati hai to hum aise me kuch nahi kar pate hai. PC storage clean karne ke liye aapko software ki zaroorat nahi hai. Aap ko keval steps follow karne hai aur aap ke laptop/desktop ki memory free ho jayegi.

Also Read:

1. For WIndows 10

Ye method keval windows 10 ke liye hai. Agar aap old version use kar rahe hai to next section par jaye.

Step 1. Sabse pehle All Setting me jaye aur waha par System par click kare.

Step 2. System me jane ke baad, Storage par click karke Storage Sense ON kare.

Step 3. Iske baad, Free up space now par click karke wait kare. Aap ko wait isliye karna hai kyon ki “Free up storage now” option par click karne ke baad, temporary files load hone me kam se kam 1 minute ka time lagta hai.

Step 4. Ab aap ko bahut sare options milenge jinhe one-by-one select karke Remove files par click kare.

Note: Agar aap ne apne computer ko recently update kiya hai to aap Windows update cleanup bhi select kare. Aisa karne se aap ke Laptop par windows ka old version files delete ho jayegi aur is tarah se aap ki disk space kafi badh jayegi.

Important: Remove files par click karne se pehle ek baat jaan le ki Thumbnail option ko select karne se aap ke PC par new thumbnails automatically create ho jayengi. Is liye thumbnail option select na kare kyonki jab hum apne PC par videos, Images, aur any files browse karte hai to thumbnails ki wajah se files aur folders load ho jate hai.

Step 5. Remove files par click karne ke baad, hard disk space clean hone me kuch samay lag sakta hai. Agar aapke PC me temporary files ka size zyada hai to samay bhi ziyada lag sakta hai aur agar size kam hai to samay bhi kam lagta hai.

2. For Windows 7 and 8

Windows 7 aur windows 8 ki space increase karne ke liye direct Local disk par right click karke “Free up space” select kar sakte hai. But waha par thumbnail bhi delete ho jayega. Old version aur new version ke feature me kafi difference hai. Latest versions me alternate options milte hai jabki old updates me alternate options bahut kam hai.

Storage FREE karne ke baad apne PC ko restart kare. Is tarah se aap apne Laptop/desktop ki disk space badha sakte hai. Ab aap local disk C, D, E, F etc. me ja kar free storage dekh sakte hai. Temporary files delete karne ke baad aapka PC rocket ki tarah kaam karega.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Bina Login Kiye, AdSense Earnings Kaise Pata Kare

Next Story

Mouse Buttons Ko दाएं बाएं Kaise Badle