Twitter ne haal hi me extra security features add kiye hai jise twitter users apne account ki activity check kar sakte hai ki aap ka twitter account kis location, browser and device se access kiya gaya hai. Jaise Facebook par hum ‘logged in’ devices check kare sakte hai, theek waise hi ab twitter par bhi dekh sakte hai. Ye features twitter ne recently add kiye hai jo ki bahut hi useful aur important hai.
Google ki tarah jab account security ki baat aati hai, to Facebook aur twitter har time account security features add karte rehte hai. Twitter me ye option pehle available nahi tha but ab hai. Twitter ke neye option ke add hone se aap apne twitter account me ye dekh sakte hai ki kahin aap ka account hacked to nahi hai.
Aapka Twitter Account Hacked Hai Ya Nahi?
Twitter account hack hai ya nahi. ye pata lagane ke liye aap apne twitter account par ye dekh sakte hai ki aapka account kis device aur location par login kiya gaya hai. Itna hi nahi, balki aap ye bhi pata laga sakte hai ki aap ka account kis browser par aur kis time login kiya gaya hai.
Step 1. Apne twitter account me login karne ke baad, profile par Tap kare.
Step 2. Profile par tap karne ke baad, settings and privacy section me jaye aur waha par Account select kare.
Step 3. Account ke baad, Apps and sessions par tap kare. Aisa karne ke baad, twitter aapko sabhi logged in ya phir used devices show karega aur sath me device ka naam bhi dikhayega.
Agar aapke account me aisi location/device milenge jaha par aap ne apna account access nahi kiya hoga, to aapka account compromised ho sakta hai. Unusual devices ke paas Logout ka option milega, aap waha par click karke unknown devices ko remotely logout kar sakte hai.
Also Read:
Twitter ke is feature se aap ye bhi pata laga sakte hai ki aapke account ko kin Apps ne access kiya hai. Aap sabhi Apps, devices and locations ka access revoke kar sakte hai. Agar aap device/location ke paas, more information par tap karenge to aap ye bhi dekh sakte hai ki aap ka account kis web browser par access kiya gaya hai jaise chrome, opera mini, MS edge, IE, Safari etc.
Maine apni life me sabse jyada twitter accounts ko compromised hote hue dekha hai aur ye sab news me roz dekhne ko milta hai. Lekin present time me, almost sabhi social networks ki security strong hai aur twitter microblogging platform ki security bhi ab bahut badhiya hai. Future me aur bhi improvement ho sakti hai.
Security Measures For Twitter
Google account ki tarah twitter me 2-step verification ka option hai jisko aap use karke apne account ki security strong kar sakte hai. Two-Step verification ko enable karne se aap ka account aur bhi secure rehta hai aur ye SMiShing and phishing attack se bachne ka ek simple tarika hai. Yadi koi hacker aap ke login credentials bhi pata laga kar login karne ki koshish kare, to aapke added number par turant ek OTP aayega. Aur ye option enable karne se hackers ki backbone tod deta hai.
Multi-factor authentication enable karne ke liye maine easy steps mention kiye hai kindly follow:
Tap profile icon > Tap settings and security > Tap account > select security > Tap login verification switch > Tap confirm > Enter mobile number > Enter OTP > click save.
To friends, apne account ko secure rakhne ke aur bhi tarike hai. Agar aapko koi vyakti unconfirmed link email/sms me send kare, to aap se nivedan hai ki aap link par click karne ke baad apna password, username etc. enter na kare aur URL ko theek tarah se read kare.