Netflix Playback Speed Change Kaise Kare

Netflix Playback Speed Change Kaise Kare

Netflix videos aur movies me youtube ki tarah playback speed change karne ke features nahi hai but ye kaam aap Google Chrome se badi easily kar sakte hai. Waise to Netflix Playback Speed badalne ki zaroorat nahi padti hai but agar aap payback speed change karna chahte hai to ye bahut hi easy task hai.

Netflix par movies, serials aur any shows ko custom speed me dekhne ke liye, playback speed ko slow ya phir fast kiya ja sakta hai. Aisa karne se aap Netflix par movies ko apni pasand ke according enjoy kar sakte hai. Netflix HTML5 video player ka update aane ki wajah se aap playback speed ko Google Chrome me control kar sakte hai but iske liye extension use karne ki zaroorat hai.

Netflix Playback Speed Badalne Ke Tarike

Playback speed customize karne se pehle, main aapko ek aur baat bata dunga ki Netflix playback chrome extensions ki sabse badi baat ye hai ki in extensions ki madad se aap customized keyboard shortcuts use kar sakte hai jisse aap ka samay save ho jayega. Samay save hone ke sath-sath productivity me bhi improvement ho jayegi.

Playback Speed Badalne Ke Fayde Kya Hai?

Jaisa ki aap jante hai ki Netflix par zyada tar foreign movies dekhne ko milte hai aur aisi situation me foreign languages ko understand karne me difficulty hoti hai. Agar aap playback speed ko slow karenge to aapko foreign languages understand karne me aasani hogi. Hai na badhiya?

To friends, ab main Netflix playback speed control karne wale extensions ke features one-by-one explain karne ki koshish karunga taki aap extension choose karne me sahi decision le sake.

1. Netflix Speed

Netflix Speed chrome extension bahut hi amazing hai jiska interface user-friendly hone ke saath-saath lightweight hai. “Netflix Speed” extension ki help se aap kisi bhi video ko 80% tak slow kar sakte hai. Itna hi nahi, balki aap 200% speed increase bhi kar sakte hai jaisa ki VLC player me hota hai.

2. Super Netflix

Naam se hi pata chalta hai ki “Super Netflix” me kitne features honge. Super Netflix chrome extension se aap netflix playback speed ko slow ya phir fast kar sakte hai. Bas itna hi? Is software ki madad se custom video quality bhi select kar sakte hai jaise YouTube par kiya jata hai. For instance, agar internet connection slow hoga to Super Netflix video player se low quality me videos dekh sakte hai. Yadi internet speed fast hai to aap high video quality select kar sakte hai. Agar aap brightness, saturation, aur contrast ke bare me soch rahe hai to Super Netflix me ye options bhi available hai.

Agar aap Firefox lover hai to aap Super Netflix ko firefox ke liye download kar sakte hai. Aur firefox add-on me bhi same feature milenge jo chrome extension me hai.

3. Playback Rate Controller

Yadi aap pure, excellent aur brilliant extension install karna chahte hai to iske liye “Playback Rate Controller” best choice hai jo sabse better aur full featured hai. HTML5 media ko puri tarah control karne wala ye ek best extension hai. Jaise hi brower me video ya audio play ho jata hai to Playback Rate Controller automatically sounds aur videos detect karta hai. Detect karne ke baad aapko extension icon par click karna hai aur aap ko waha playback speed control karne ke option milenge.

Also Read:

Yadi aapke paas iPhone/iPad hai to aap Slow Fast Slow software ko iTune par download kar sakte hai jise iPhone/iPad users Netflix playback speed ko apne Apple mobile par control kar sakte hai.

4. Video Speed Controller

Video Speed Controller na keval playback speed ko control karta hai but is extension ki madad se video/movies ko second ke hisaab se backward/forward kar sakte hai. Yadi aap video ka koi part dekhna nahi chahte hai to aap aise situation me forward option use karke video ko aage kar sakte hai. Kabi kabhi video me koi special shot dekhna hota hai jisko bar bar dekhne ka mann karta hai to in this situation, you could use backward option. “Video Speed Controller” iphone/ipad ke liye, Mozilla Firefox aur Android ke liye bhi available hai. Aap respective stores se software ko download kar sakte hai.

5. HTML5 Video Speed Control

Jaisa ki maine already bataya ki Netflix ka apna HTML5 video player hai to “HTML5 Video Speed Control” extension superb option hai. In fact, ye extension kisi bhi video ki quality, ghati, brightness etc. control kar sakta hai. HTML5 Video Speed Control lagbhag sabhi platforms aur operating systems ke liye available hai. Yadi aap ka OS different hai to aap “HTML5 Video Speed Control” ko apne system par use kar sakte hai.

Agar aap safari browser use kar rahe hai to aap Google me Netflix playback for safari likh kar software ko install kar sakte hai. Iske alawa, agar aap HTML5 Video Speed Control ka source code dekhna chahte hai to aapko woh github par milega. Aisa karne se aap extension ke features, bug aur any instability pata kar sakte hai.

So, friends is article me maine Netflix playback change/control karne wale chrome extension, Firefox add-ons aur iPhone/iPad Apps mention kiye jise aap playback functionality ko badi easily enjoy kar sakte hai with keyboard shortcuts.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Online Multiplayer Game PUBG Review in Hindi

Next Story

Android Screen Par Ads Kaise Band Kare