Kya aap AdSense estimated revenue check karne ke liye apna account bar-bar login karte hai? Ab aisa karne ki koi zaroorat nahi hai. Aaj main apne readers ke sath ek badiya aur safe AdSense trick share karne ja raha hu jis ka upyog karne se aap apne AdSense ki earnings ek click me check kar sakte hai aur woh bhi bina login kiye.

Approved AdSense almost har ek blogger/youtuber ke paas hota hai jise woh apne blogs aur YouTube channels ko monetize karte hai. But kae bar aisa bhi hota hai ki hamare account me invalid clicks ka notice bhi aata hai jiski wajah se hamara account disable ho jata hai. Lekin main aap ko ek working trick bataunga jis se aap apne ads par accidental click karne se bach jayenge.
No Login – AdSense Earnings Kaise Pata Kare
Yadi aapke paas hosted ya phir non hosted adsense account hai to aap ko ad clicks aur account activity monitor karne ke liye AdSense account me bar-bar login karna padta hai. But ab No login! Is trick ke liye aapko only ek extension install karna hai jo google chrome store par available hai. Aapko keval ek click karke changes ko apply karna hai aur apply karne ke baad, aap apne account ki complete information dekh sakte hai.
Step 1. Sabse pehle aapke paas approved/active adsense account hona chahiye. Iske baad aap ko apne adsense account me login karna hai.
Step 2. Ab Google Publisher Toolbar extension ko apne browser par install kare. Yadi aap Mozilla firefox par addon install karna chahte hai to Google AdSense Earnings addon install kare.
Step 3. Install process complete hone ke baad, apne blog/youtube ke home page par jaye jaha par aap ne ads lagaye hai.
Step 4. Ab “Google Publisher Toolbar” icon par click karke AdSense select kare. Select karne ke baad, enable par tap karke “Google Publisher Toolbar” aapke browser par activate ho jayega.
Step 5. Jab bhi aapko apne account ka status, revenue, activity etc. check karna hoga, to aapko only Google Publisher Toolbar icon par click karna hai.
Is trick se na keval account activity dekh sakte hai but ye extension aap ke ads ko aapke liye unclickable kar dega. Aisa hone se aap apne ads par accidental clicks karne se bach jayenge aur aapka account bhi safe rahega. Google Publisher Toolbar ko aap Analytics se bhi connect kar sakte hai. In general terms, agar aap apne AdSense me Google analytics ko link karenge to uska data bhi publisher toolbar me show ho jayega.
Yehi tha aaj ka topic jis me maine aapko ye bataya ki apne adsense account me bina login kiye, adsense revenue kaise pata kare. Iske alawa, aap apne ads par bhi invalid clicks nahi kar payenge. Yadi aapke paas AdSense account nahi hai to aap AdSense website par ja kar apply kar sakte hai aur account approve hone ke baad, aap Google Publisher Toolbar ka upyog kar sakte hai.