Hello friends! Kya screen par show hone wale ads aap ki battery drain kar rahe hai? Problem solved! Main is post me aapko Android mobile par Ads ko block aur remove karne ke kuch tarike batane ja raha hu. In tricks ki madad se aap apne android device par show hone wale pop up vigyapan ko puri tarah se remove kar sakte hai. Ye method ad notifications aur pop-up ads ko completely band kar dega.

Image Source: https://www.pexels.com
Internet connection ON karte hi jab mobile par ads aane lagte hai to aise me hame mobile ko theek tarah se navigate karne me problems hoti hai aur sath me battery par bhi bura asar padta hai. Jaise android notifications hume pareshan karte hai, theek waise hi ads bhi hume disturb karte hai. But kya kare, ye App monetization ke liye hota hai jisse app developers paise kamate hai.
Screen par show hone wale ads Google ads hote hai jin me scripts hote hai aur isi wajah se screen par pop up hote hai. But agar aap in ads ko band ya phir completely remove karna chahte hai, to maine is post me aapke liye tips and tricks add kiye hai jinko follow karke aap in ads ko block kar sakte hai.
Android Screen Par Ads Kyon Aate Hai?
Android ek aisa OS hai jis ke fan bahut sare log hai isiliye Android OS ke liye bahut sare Apps available hai jinka upyog log different purposes ke liye karte hai. Malicious ya phir FREE Apps download karne ki wajah se Google ads humare phone par show hote hai. Google ads ke alawa third-party ads bhi pop-up hote hai. Agar aap ne koi new App recenty download ki hai to ye ads usi App ki wajah se home screen par aate hai.
Android Mobile Par Ads Ko Block Karne Ka Tarika
Sabse pehle main aapko ek baat bata deta hu ki ads ko remove ya phir block karne ke kafi tarike hai but main is post me aise trike share karunga jise aap ke mobile ko koi nuksan na ho jaye. Ye methods bilkul FREE aur safe hai.
1. Use Ad Blocker Apps
Agar aap apne mobile par ad notifications aur pop-ups ko puri tarah se band karna chahte hai to iske liye aap ad blocker app download kar sakte hai. App download karne ke baad, aap ke display par ek bhi ad show nahi ho payega. Main aapko kuch ache Apps ke naam bataunga jinse aap ads ko band kar sakte hai.
a). DNS66
DNS66 Android ya tablet par install kiya jata hai aur ye App sabhi ads ko band kar deti hai. Ye App different routes se connect ho kar VPN create karta hai. DNS66 na keval mobile home screen par ads ko band karne me help karta hai but ye application browser par bhi ads ko band kar deta hai. Agar aap iPhone user hai to aap Adblock Plus install kar sakte hai.
b). AdClear
Yedi aap pure android aur sabhi browsers par ads ko block karna chahte hai, to AdClear sabse achi aur best app hai. AdClear application download karne ke baad aap apne mobile ko ad-free me badal sakte hai. App download karne ke baad, AdClear ko ON karna na bhule.
Also Read:
2. Uninstall Malicious Apps
Maine pehle bhi kaha ki FREE aur malicious apps/softwares download karne se hamare mobile par ads show hote hai. Yedi aap ne koi unusual App download ki hai to aap us application ko uninstall kar de but agar aapke liye woh App important hai to aap DNS66 ya phir AdClear download kar sakte hai. Agar aapne internet se koi file download ki hai, to ye bhi ads ki wajah ho sakti hai.
3. Clean Your Smartphone
Advertisements na keval Apps ki wajah se show hote hai but iska karan junk files bhi ho sakta hai. Kabhi kabhi apps ko uninstall karne ke baad bhi humare smartphone par ads show hote hai. Ye junks aur residual files ka karan bhi ho sakta hai. Agar aap apne mobile ko ek dam clean rakhna chahte hai to aap Clean Master ya CCleaner download kar sakte hai. Download karne ke baad aap apne mobile ko malware, virus, junks files, aur residual files se mukti dila sakte hai.
4. Use Antivirus
Antivirus sabse best option hai kyon ki ye aap ke phone me pade malware, virus, junks files, aur residual files se hamare phone ko clean rakhta hai. Mobile phone me malware hone ki wajah se bhi ads dikhne lagte hai. Play store par bahut sare FREE aur premium antivirus available hai jinhe aap apne mobile par install kar sakte hai. Aap play store par ja kar antivirus likhe aur aapko waha par bahut sare antivirus milenge. Malware removal tool download karne se pehle app ka review read karna na bhule.
To friends, ab aap ko pata chal gaya ki mobile screen par advertisements ko kaise band kiya jata hai? Good! Ye easy and safe tarika hai. Aap apne requirements ke according apne android mobile par ads ko band kar sakte hai. Yadi aap ko ye post acha laga ho, to is post ko apne friends ke sath share karna na bhule.