Image Text Ko Dusri Bhasha Me Translate Kaise Kare

image text translate

Main is post me image text ko online translate karne ke kuch working techniques batane ja raha hu taki aap image text ko type karne ke bina hi kisi bhi language me translate kar sake. Image translation ke liye bahut sare tools aur Apps available hai but main 100% working methods share karunga.

Image text aur plain text ko translate karne ke liye different techniques use kiye jate hai but jab images ki baat aati hai to hum log image par add ki gayi text ko directly Google translator me type karte hai. Lekin is article me aisa kuch bhi involve nahi hai jis se aapko typing ki zaroorat pade. Aap ko only images url ya phir images upload karna hai.

Image Text Ko Any Bhasha Me Translate Karne Ke Tarike

Image translation ke liye aapke paas active internet connect hona chahiye taki aap image translators ki madad se text ko extract karne ke bina hi kisi bhi language me translate kar sakte. To friends, ab main seedha photo text tools ki baat karunga jin ka upyog karke aap photo text ko badi aasani ke sath selected languages me translate kar sake.

1. imgTranslate

imgTranslate mera sabse favorite tool hai aur iska use karne ke baad ye aapka bhi favourite tool ban jayega. imgTranslate web application hai that means ki aap iska upyog apne browser se kar sakte hai. imgTranslate 13+ languages support karta hai jin me Indian, European aur Korean languages available hai. Indian languages me Hindi, punjabi, bengali, telugu ke alawa aur bhi any bhasha available hai.

Also Read:

imgTranslate web application par aapko do options milenge. Ek images upload aur second image url. Aap dono options me se koi bhi ek option use kar sakte hai. Translate ki jane wali picture English me honi chahiye aur English text images ko selected language me translate kiya ja sakta hai.

2. Google Translator App

Google image translator Android aur iPhone/iPad ke liye bhi available hai. Ye App phone camera use karta hai aur camera ki madad se image text read karke selected language me translate karta hai. Ye App bahut hi amazing and smart hai. Google translate App ka upyog karne ke liye Google translate help par jaye. Google image translate se aap signs aur handwriting posters ko bhi translate kar sakte hai.

3. Word Lens

Word Lens bhi Google image translate ki tarah smartphone ka camera use karta hai. Word Lens ki madad se na keval images ko translate kiya jata hai but is App se posters, signs aur printed text ko bhi selected language me translate kiya ja sakta hai. Is App ka upyog bahut hi easy aur user friendly hai jo any Apps me available nahi hota hai.

Sabse pehle WL App open kare aur iske baad image language select kare. For example, agar image text English me hai to aapko image language me English bhasha select karna hai. Is ke baad, Android smartphone ka camera image text par point kare aur kuch seconds aise hi rakhe. 5 – 30 seconds ke baad image text aap ki favourite language me automatically translate ho jayegi.

Aap ko phir se ek baat bata du ki is post me diye gaye techniques only images par work karte hai na ki plain text par. Plain text ke liye aap Google translator use kar sakte hai but image text translate karne ke liye yehi Apps fit hai. Image text translate karne se aap ka samay bhi save ho jata hai aur translation accuracy bhi Okay rehti hai. Ho sakta hi ki kuch Apps 100% accurate translate na kar paye, to aapse request hai ki aap teenu tools ka upyog kare taki aap ko ye pata chale ki 100% translation accuracy kis tool me hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Dark Tequila Kya Hai? What is Dark Tequila in Hindi

Next Story

Foreign Inward Remittance Form Fill Kaise Kare