/

Foreign Inward Remittance Form Fill Kaise Kare

Disposal Instruction For Foreign Inward Remittance form fill kaise kare aur Disposal Instruction For Handling Foreign Inward Remittance kya hai. Aaj main isi form ke bare me important tips share karunga. Bahut sare bloggers aur youtubers isi khoj me lage rehte hai ki aakhir Foreign Inward Remittance kya hota hai aur is form ko bharne ka kya tarika hai.

Foreign Inward Remittance ek important document hota hai jiski zaroorat Bloggers aur Youtubers ko padti hai. Basically, Foreign Inward Remittance form international payment receive karne ke liye bank dvaara use kiya jane wala authorized certificate hota hai. Aaj main aap logo ke sath is form ke bare me discuss karunga taki aapko ye pata chale ki is form ko kaise bhara jata hai.

Foreign Inward Remittance Form Kya Hota Hai?

Agar hum AdSense ki baat kare to payment receive karne se pehle hume Foreign Inward Remittance fill karna padta hai kyon ki ye RBI dwara diye gaye instructions hai ki ek vyakti ko foreign currency notes receive karne ke liye ye form fill karna mandatory hai. Agar banks ki baat ki jaye to lagbhag sabhi banks Foreign Inward Remittance support karte hai. Aap ko ek baat bata du ki ye form only Indians ke liye hai. Agar aapka account ICICI bank me hai, SBI bank, Axis bank, PNB bank, HDFC bank, Bank of Baroda ya any bank me hai to aapko Inward Remittance payment credit hone se pehle nearest branch par Inward Remittance submit karna hota hai.

Also Read:

Foreign Inward Remittance Form Kaise Fill Kare?

Inward Remittance Form fill karna bahut hi aasan aur simple hai. Is form me aapko kuch important points add karna padta hai jise bank ko ye pata chalta hai ki Remittance purpose kya hai. For instance, jab aap Remittance certificate submit karte hai to aapko ye mention karna padta hai ki aapko kis wajah se payment mil rahi hai. Aap kya kaam karte hai jiski wajah se aap ko international payments credit ho jata hai. Iske alawa, ye bhi declare karna padta hai ki payment send karne wale ka naam aur address kya hai. Bahut hi simple aur easy tarika hai.

Sabse pehle Foreign Inward Remittance Form par jaye aur waha important details enter kare. Details enter karne ke liye maine is article me step by step guide likha hai.

  1. Bank Name: Is field me aapko apne bank ka naam enter karna hai jaise ICICI bank, SBI bank, Axis bank, PNB bank, HDFC bank, Bank of Baroda etc.
  2. Date: Date field me aapko current data enter karna hai. For example, agar aap 26th of August 2018 ko form fill karenge to aapko yehi date enter karna hai.
  3. Remittance Type: Agar aap Lawyer hai or kisi any profession se ke liye payments receive kar rahe hai to aapko advance Remittance par tick karna hai. But yaha par Entrepreneurs, Bloggers aur YouTubers ki baat ho rahi hai to aap ke liye ye field mandatory nahi hai.
  4. Beneficiary’s Name: Beneficiary’s Name box me aapka apna First aur Last name enter karna hai. In short, aapko apna pura naam add karna hai. Jis ke naam se bank me account hai to aapko usi ka naam mention karna hai.
  5. Account Number: Ye to aapko pata hi hoga. Aap ka jo account number AdSense account par hai jis par aap international payment receive karne ja rahe hai to aapko wohi account number add karna hai.
  6. Line of Business: Ye option Bloggers, Entrepreneurs aur YouTubers ke liye applicable nahi hai. So, is field ko blank rakhe ya phir N/A add kare.
  7. Bill Currency: Bill Currency me aapko currency type add karna hai. For example, agar aapki company america me hai to aapko waha ki currency ka naam enter karna hai jaise UDS. But agar aap Japan se payments receive karte hai to aapko Yen likhna hai.
  8. Bill amount (In Figures): Ya par figure me amount likhna hai. Suppose, agar aapko $200 receive karna hai to aapko 200 likhna hai.
  9. Bill amount (In Words): Yaha par bhi total amount 200 likhna hai but words me. Example, two hundred. Two hundred rupees na likh kyon ki $200 lagbhag Rs. 14000 ka amount hota hai is liye just two hundreds likhe.
  10. Remitter’s Name: Yaha par aapko us company ya organization ka naam likhna hai jis se aap money receive karne ja rahe hai. For example, agar aap AdSense payment apne account me credit karna chahte hai to aapko Google AdSense likha hai.
  11. Remitter’s Address: Yaha par aapko us company ya organization ka address likhna hai jinse aap funds receive karne ja rahe hai. Agar Google AdSense ki baat ki jaye to unka address Google LLC 1600 Amphitheatre Parkway, Mountain View, CA 94043 hai. Agar aapko kabhi Google AdSense se mail aaya hai to aap email ke last par accurate address dekh kar add kare.
  12. Purpose Code: Form ke second page par sabhi codes add hai. Aap se request hai ki business ke according purpose code add kare. But agar aap Youtuber, Entrepreneurs ya Blogger hai to aap ko P1006 add karna hai.
  13. Purpose of Remittance: Is field me P1006 ka description likhe Business and management consultancy and public relations services. Agar aap ka purpose code different hai to aapko usi code ka description enter karna hai jo ki purpose code ke samne hi mention hota hai.
  14. Ab iske neeche If Remittance is for Advance against export (P0103), please mention the expected date of shipment ka option aayega. Bloggers, Entrepreneurs aur Vbloggers ke liye ye option applicable nahi hai.

  15. CA/ CC/ OD/ SB: Yaha par account type add kare. For example, agar aapka account current hai to aapko CA likha aur. In case, agar aapka account saving hai to SB enter kare aur aage account number likhe. Example, SB xxxxxxxxxxxx.
  16. Currency: Aap ki international currency local currency me convert kar diya jayega to aap yaha par INR enter kare.
  17. Amount: Aap ki total international currency ka value kya hai, ye automated process hai. Is liye is option ka blank rakhe.
  18. EEFC: Is option ko bhi blank rakhe kyon ki ye bank ka kaam hai…
  19. PC/ PCFC and CA/ CC/ OD/ SB: Ye different banks differently handle karte hai. So, better information ke liye branch se contact kare ya is option ko blank rakhe.
  20. Contract Number/Contract Amount/Amount to be utilized/Booking data/Due Date of Contract options ko blank rakhe.

  21. Ab last me current date aur bank account signature enter kare. Next, jo signature aap bank me money withdraw karne ke liye use karte hai woh same signature add kare.

Ye form only digital marketers ke liye nahi hai but har kisi aise vyakti ke liye hai jo internations funds receive karta hai chahe woh koi Lawyer ho, Entrepreneurs ho ya phir businessman. Disposal Instruction For Foreign Inward Remittance bharne ka aasan tarika aapke sath share kiya. Agar aapko form filling process ke bare me kuch puchna hai to zaroor puche. Agar aap apne branch se contact karenge to aapko waha par ise behter information mil sakti hai. So, form submit karne se pehle ye confirm kare ki aap ka form correct hai ya wrong.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Image Text Ko Dusri Bhasha Me Translate Kaise Kare

Next Story

Online Multiplayer Game PUBG Review in Hindi