/

PayPal.Me Link Delete Kaise Kare

delete paypal.me link

Dosto, aaj main PayPal.Me link ke bare me baat karne ja raha hu jis se aap apne PayPal account se related settings ko change kar sakte hai. Is article me aap apna paypal.me URL ko hide karna sikhenge. Maine is post me keval kuch hi steps mention kiye hai jin ki madad se aap apna paypal account secure kar sakte hai.

Aap ko agar paypal.me ke bare me abhi tak knowledge nahi hai to main aapse iske bare me kuch important points discuss karunga aur discuss karne ke baad main aapko paypal link ko delete karne ka tarika bata du ga. Agar aap iske bare me pehle se hi jankari rakhte hai to aap what is paypal.me in hindi ko skip kar sakte hai.

What is PayPal.Me Link?

PayPal.Me paypal dvara launch kiya hua personalized username hota hai jisko paypal users apne clients aur friends ke sath share kar sakte hai. Paypal.me link ki madad se aap bina email share kiye funds ko receive aur transfer kar sakte hai. PayPal.Me link Facebook, twitter etc. accounts ki tarah ek unique ID hota hai jisko aap apne clients se share karke funds ko receive kar sakte hai. Is ID ka structure is tarah se hota hai PayPay.Me/Username.

Jab clients aapki link par click karte hai to unhe keval amount enter karna padta hai aur money aapke account me turant credit ho jata hai. Aap PayPal.me link se amount bhi define kar sakte hai. For example, agar aapko kisi se $40 lena hai to aap link ke last me /40 add kar sakte hai.

PayPal.Me Link Delete Kaise Kare?

PayPal.me link ko na hi modify kiya jata hai aur na hi delete. But hum is link ko only hide kar sakte hai. URL ko hide karne ke baad, agar aapke clients aapki link par click karenge to waha error aayega. Link ko hide karne ke liye neeche diye gaye steps follow kare.

Step 1. Sabse pehle https://www.paypal.me par jaye aur link par jane ke baad apna paypal login details enter kare.

Step 2. Login karne ke baad aapka paypal.me account show ho jayega aur waha par pencil icon par click kare OR seedha neeche scroll karke Turn Off My Link par tap kare. Iske baad aapka paypal.me account publicly hide ho jayega.

Step 3. Agar aap future me is URL ko dubara activate karna chahenge to same steps follow kare aur Turn Off My Link ki jagah show your page par tap kare.

PayPal.Me link ko show ya hide karne se aapke main paypal account par koi asar nahi padta hai kyun ki ye account ka personalized/custom URL hota hai. Lekin jab aap is URL se funds ko receive ya dusre links ko funds transfer karte hai to ye balance aap ke main account se credit aur debit ho jata hai.

Yeh tha aaj ka topic jisme maine aapke sath paypal.me account ko hide karne ke 3 steps share kiye. I hope ki aapko ye post pasand aaya hoga. Thanks for reading the posts. Have a good time.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

OMG: Why Google is Rebranding AdWords

Next Story

Website, WebPage, Blog Aur Blogging Mai Kya Difference Hai