Aaj ke is post me hum online bank account open karna sikhenge jo bilkul FREE aur secure hai. Maine is article me sabhi steps one by one mention kiye hai taki aap bina kisi pareshani Payoneer website par online international bank account open kar sake.

Payoneer duniya ki ek jani mani company hai jaha aap money transfer karne ke sath-sath online money receive bhi kar sakte hai. Iske alawa, aap apne clients, customers etc. ko money request bhi kar sakte hai. Payoneer par account open karne ke liye aapko kuch documents ki zaroorat hai jo ki maine is article me mention karke rakha hai.
International Bank Account Open Kaise Kare
अंतरराष्ट्रीय बैंक खाता ऑनलाइन कैसे खोलें: International bank account open karne ke liye aapko bahut sare options Internet par mil jayenge but main khud bhi Payoneer website ka kai saalo se use kar chuka hu aur abhi bhi kar raha hu. Ye ek verified website hai jaha par aap online account kholne ke alawa, online transactions bhi kar sakte hai. Aap ne dekha hoga ki jab hum internet par online bank khata kholne ke liye search karte hai to waha SBI yono, ICICI, axis bank ect. ke bahut sare naam aur methods dekhte ko milte hai.
But jab free aur antarrashtriya Bank Khata ki baat aati hai to hum ghuma phira ke phir se payoneer par puhanch jate hai. Payoneer par अंतरराष्ट्रीय बैंक खाता kholne ke sath-sath hum referral program se $25 bhi kama sakte hai. Yadi aap amazon se money receive karna chahte hai to aap apna amazon account payoneer se connect bhi kar sakte hai.
International Bank Account Open Karne Ka Tarika
अंतरराष्ट्रीय बैंक खाता खोलने की प्रक्रिया: To ab hum bina samay barbad kiye bank account open karne ka process shuru karenge. But account open karne ke liye aapke paas PC hona zaroori hai kyon ki is website par aapko kuch proof of identity, residence aur current bank documents upload karne hai.
Step 1: Sabse pehle Payoneer official website par jaye aur waha dekhte hi Sign up option par click kare.
Step 2: Agar aap personal account open karna chahte hai to individual option select kare but agar aap business account open karne ki soch rahe hai to company option select kare.
Note: Main is post me individual account kholne ka tarika batane ja raha hu kyon ki main khud bhi isi type ka account use kar raha hu. So friends, let’s get started!
Step 3: Account type select karne ke baad, aapko sabhi fields fill karna hai jaha par aapko apna naam, email address, password aur date of birth enter karna hai aur finally Next button par click kare.
Step 4: Next par click karne ke baad, contact details aaye ga jaha par aapko country, address, city aur postal code enter karna hai. Iske alawa, last wale field me apna active mobile number enter karke Next button par click kare.
Step 5: Next press karne ke baad, ab security details enter kare jaise username, password, security question aur answer. Last field me aapko 3 options milenge jis me se aap kisi bhi ek option ko select kar sakte hai jaise PAN card number, Passport Number, Aadhaar card number. Aapko jo marzi woh enter kare. But ek baat dhyan me rakhe ki sabhi details ko correctly enter kare. Iske baad, phir se Next par click kare.
Step 6: Ab almost done page aayega yahan par aapko careful rehna hai kyon ki ek little mistake aapke account ko reject or Wrong kar sakti hai. Ab in fields me aapko apne local bank account details enter karna hai jaise bank account number, bank name (e.g sbi, pnb, icici, axis bank etc.), Account holder name, bank IFSC code, PAN card aur account type. Account type me 2 options hai ek current aur dusra saving. Main khud saving account use kar raha hu. But aapko apne requirements ke accounting account type select karna hai.
Note: Saving account me limited transactions kiye jate hai aur current account me transactions ka koi limit nahi hota hai. Iske alawa, current account ke liye shayad aapko pay karna pade? Maine kabhi payoneer ka current account use nahi kiya hai is liye me iske bare me bahut kam janta hu.
Step 7: Last page fill karne ke baad, ab bari hai details ko submit karne ki. Details submit karne se pehle enter ki gayi sabhi details ko carefully check kare. Jaise hi aapko lage ga ki aapne correct details enter ki hai to ab Submit button par click kare.
Step 8: Ab aap apne email account me login karke verification link par click kare. Agar verification link nahi mila hai to aap befikar rahe kyon ki verification link aane me thoda samay lagta hai.
Why Do I Need to Enter Local Bank Details?
स्थानीय बैंक विवरण क्यों दर्ज करना है? Dosto, ab bari hai international account kholne ki jisko aap online use kar sakte hai. But aap soch rahe honge ki online antarrashtriya khata kholne liye local bank account details enter kyun karna padta hai? Dosto, ye is liye kiya jata hai taki aap jab bhi apne antarrashtriya bank account me money receive karenge to aap us money ko apne local bank account me transfer kar sake.
Step 1: Ab aapko apne payoneer account me login karna hai jaha aap ko main page par settings par click karna hai. Settings show hone se pehle apne payoneer account ka password enter kare.
Step 2: Ab update profile option aayega. Aapko profile me apne according details ko enter karna hai. Enter karne ke baad, save changes par click kare.
Step 3: Save karne ke baad, wapas main page par jaye aur waha global payment services ko select kare. Page load hone ke baad, aapko apne 3 international bank account show ho jayenge ge jinse aap online funds receive, send aur payment request kar sakte hai.
Global payment services page ke neeche documents upload kare. Bina proof/docs ke aapka international account create nahi ho sakta hai.
First 8 steps complete karne ke baad, payoneer verification ke liye aapse documents upload karne ko kahe ga. Docs ko upload karne ke baad, aapko kuch din wait karna hai jab tak aapki verification complete ho jayegi. Jaise hi aapki verification successful nahi hoti, aap apna payoneer account par koi bhi activity nahi kar sakte hai jaise receiving and sending funds.
So guys, ye tha aaj ka business topic jis me maine online bank khata kholne ka ek easy tarika aapke sath share kiya. I hope ki aap is post ko apne friends ke sath pakka share karenge. Agar aap topic se related koi question puchna chahte hai, to comments me likhe.