How to Download Everything Samsung Knows About You

download Samsung account data

जानें कि सैमसंग एंड्रॉइड आपके बारे में क्या जानकारी एकत्र करता है: Aaj main aapko ek bahut hi badiya tarika sikhane ja raha hu jis se aap apne Samsung Android account se data ko download kar sakte hai. Android account data download karne ke alawa, aap ko ye bhi pata chal jayega ki Samsung Android aap ke bare me kya kya janta hai. Main aap ko is post me data download karne ke alawa, Samsung se judi aur bhi gazab ki jankari do ga.

Jab hum kisi website, device ya service ka upyog karke personal account create karte hai to hamara data inke servers par store rehta hai. Ye data do tarah ka hota hai. Ek encrypted hota hai aur dusra decrypted hota hai. Encrypted data woh data hota hai jo hamari information ko code me convert karke hamari personal information ko unauthorized access hone se bachata hai. Decrypted data aisa data hota hai jo electronic information ko code me convert karne ke bajaye Letters ya numbers me hota hai jisko koi bhi vyakti read kar sakta hai.

Hum dono tarah ka data download kar sakte hai. Kyon ki user ke account me encrypted data decrypted type ka hota hai jis ko keval user access kar sakta hai. But kuch websites, services, ya communication devices aise hote hai jin ke paas hamare bare me bahut sari personal baatein pata hoti hai. Aaj main aapko ye batane ja raha hu ki Samsung Android hamare bare me kya kya jankari rakhta hai aur is jankari ko kaise download kare.

How to Download Your Samsung Android Data

Yadi aap Samsung Android user hai to aap is post me diye gaye steps ko follow karke apne account se judi information download kar sakte hai. Yadi aap koi aur product use kar rahe hai jaise OPPO, Redmi, LG, Sony Xperia, Google Pixel, HTC ya phir koi aur brand user kar rahe hai to aap unki respective websites se apna account se judi info download kar sakte hai.

Step 1. Sabse pehle findmymobile.samsung.com par jaye aur waha Sing In option par click kare. Yadi aap ne Samsung account create nahi kiya hai to Sign In option se pehle Sign Up option par click karke Samsung ID create kare.

Note: PC/mobile browser par Samsung account create karne ke baad, account ko settings me Sing In kare. Settings > Lock screen and security > Find my phone > Sing In.

Step 2. Sing In karne ke baad, Samsung ka front page show ho jayega jaha aap data download karne ke alawa aur bhi bahut kuch kar sakte hai jo ki main post ke aakhir me share karunga. Ab Page ke left side par My Account par click kare.

Step 3. Security reasons ke liye Samsung password re-enter karke Confirm button par click kare. Ab next page par aap ka edit profile ka option ayega jaha aap apna profile update kar sakte hai. Yadi aap profile ko update nahi karna chahte hai to is step ko skip kare.

Step 4. Ab step number 2 ke baad, page ke left side me Settings par click karke neeche scroll kare jaha aap ko Personal information mil jayegi. Personal information ke neeche Download personal data ke right side me download icon par click kare. Is tarah se aap ka data download ho jayega.

Download kiya gaya data MS Excel format me download ho jayega. Is file ko open karke apna data check kare. Jaha tak main janta hu, Samsung Android hamare bare main Mobile Network Code (MNC), Customer Software Configuration (CSC), Location information (Longitude aur Latitude), Call aur Message history, aur Find My Mobile ke alawa aur bhi kuch janta hai jo ki aap ko download ki gayi file me mil sakta hai.

How to Find Your Phone Using Samsung Account

सैमसंग खातों का उपयोग कर अपने फोन का पता लगाएं: Kya aapko pata hai ki Samsung account se aap apna khoya hua phone remotely control kar sakte hai? Chaliye main bata do ga. Yadi aap apne phone ko remotely Lock, Delete, Ring ya Unlock karna chahte hai to ye sab ADM ke alawa, findmymobile.samsung.com se bhi kiya ja sakta hai. Samsung account se aap apni call history bhi retrieve kar sakte hai jis se aap ko ye pata chal sakta hai ki mobile churane wale ne kisi kisi number par call ki hai.

Phone Lock aur Delete data ka kabhi bhi galat istemal na kare. Yadi aap is ka upyog aise mobile ke liye kar rahe hai jo aap se belong nahi karta hai, to aisi situation me aap ko jail bhi ho sakti hai. Is liye is ka upyog tabhi kare jab aap ka phone kho jaye. Ek baat ka khayal rahe ki jaise hi aap apne Samsung account ya Android Device Manager se apna phone Delete karenge to next time aap apne phone ko remotely access nahi kar sakte hai kyon ki data delete karne se aapka Google/Samsung account aapke phone se disconnect ho jayega.

Android device manager se aap apne kisi bhi Android phone ko remotely control kar sakte hai aur Samsung account me keval Samsung mobile ko control kiya jata hai. To friends ye tha aaj ka topic. Ye topic keval educational purpose ke liye hai jiska misuse karne se jail bhi ho sakti hai. I hope ki aapko ye post pasand aaya hoga.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Important Secret Codes and Hacks for Android Mobile

Next Story

Secret Features of Facebook in Hindi (Tips & Tricks)