WiFi networks ko PC settings ya control panel se manage karne ke alawa Command prompt (cmd.exe) se bhi manage kiya jata hai. WiFi networks ko cmd se manage karne ka ek aasan tarika hai jo main aaj aapke sath share karne ja raha hu. Control panel me networks ko manage karne me ziyada time waste ho jata hai aur CMD me kam time lagne ke sath-sath, is me features bhi zyada hai.
कया आप अपने वाई-फाई नेटवर्क को हटाना, पुनर्स्थापित करना, बैकअप करना, पुनर्प्राप्त करना और प्रबंधित करना चाहते हैं? Connected networks ko cmd se view, delete, driver information, wifi settings, password recover, connecting to wifi ke alawa, WiFi adapters ki report bhi generate kar sakte hai. In short, cmd se WiFi networks ko pura control kar sakte hai jo bahut hi easy hai.
Jab hum kisi WiFi network se connect ho jate hai to hamare C drive me WLAN profile create ho jata hai jis me WiFi networks ki complete detail store ho jati hai. Save ki gayi details me Profile information, Connectivity settings, Security settings aur Cost settings shamil hota hai.
Manage Connected WiFi Networks Using CMD
CMD se WiFi profiles ko manage karne ke liye command prompt ko admin mode me open kare. Kyon ki normal mode me ye trick properly kaam nahi karega. CMD ko admin mode me open karne ke liye sabhi active programs ko minimize kare. For example, agar aap ke PC par koi browser, media player ya phir koi aur software open rahega to shortcut keys usi program par apply ho jayenge jo screen active hota hai. Kya aap ne minimize kar liya? OK! ab sabse pehle apne keyboard se windows key + X press kare. Is ke baad, list me command prompt admin par click kare. Is tarah se cmd admin rights ke sath open aur run kiya ja sakta hai.
1. Export Wireless Network Profiles
Wi-Fi (wireless) network profile ko आयात और निर्यात karne ke liye sabse pehle cmd ko admin rights ke sath open kare. Is ke baad, neeche di gayi command ko cmd me paste karke Enter key press kare. Is tarah se c drive me saved wifi networks, select kiye gaye folder me save ho jayenge.
netsh wlan export profile name=”home-network” folder=”c:techlekhak“
Note: home-network ko wifi profile se replace kare aur c ko drive se replace kare jaha aap wifi export karna chahte hai aur techlekhak ko apne folder name se replace kare.
2. Delete Wireless Network Profiles Saved on Laptop/Desktop
Agar aap kisi wireless profile ko apne PC se completely delete karna chahte hai to neeche diye gaye command ko cmd.exe me paste karke Enter key press kare. Enter key press karne ke baad PC par store sabhi wireless networks delete ho jayenge.
Netsh WLAN delete profile name=”connection name to be deleted”
Underlined words ko pehle step ke according replace kare.
3. Stop your PC Connecting Automatically
Windows 10 me ek amazing feature hai ki jab hum kisi network se ek bar connect ho jate hai to next time ye same network se automatically connect ho jata hai. “Automatic connecting” PC par ON karne ki wajah se ye sab hota hai. But agar aap apne PC ko wireless network se automatically connect hone se rokna chahte hai, to diye gaye command ko cmd me run kare. Next time jab aap PC ON karenge to aapko same network se connect hone ke liye manually jana pade ga.
Netsh WLAN set profileparameter name=”connection name” connectionmode=manual
Agar aap manually connect karne ke bajaye auto mode phir se activate karna chahte hai to opar diye gaye command ke last me manually ko hata kar auto add kare.
4. Recover your WiFi Password Using CMD
Agar aap apne wireless network ka password bhul gaye hai to cmd ki madad se password ko ek second se bhi kam samay me recover kiya ja sakta hai. But ek baat ka dhyan rakhe ki recover kiye jane wale network ka password tabhi mil sakta hai jab aap ne kisi din apna PC same network se already connect kiya hoga. Agar aap ne apna PC recover kiye jane wale network se kabhi bhi connect nahi kiya hai to is method se password recover karna impossible hai. Ye method only saved networks ke liye use kiya jata hai na ki kisi padosi ka wifi hack karne ke liye. hahaha
Netsh WLAN show profile name=”connection name” key=clear
5. Connecting to a WiFi (wireless) Network
Yadi aap kisi karan wireless network se connect nahi ho pa rahe hai to cmd ki help se aap apne PC ko WiFi se connect kar sakte hai. Is ke liye neeche diye gaye command ko cmd.exe me enter kare aur aapka PC select kiye gaye network se automatically connect ho jayega.
Netsh wlan set hostednetwork mode=allow ssid=”connection name” key=”WiFi password”
6. Find WiFi Password Using CMD
Password recover karne ke alawa, cmd se saved networks show karne ke sath-sath password bhi show kara sakte hai. Is ke liye bina kisi jhanjhat, just two steps ko follow karne ki zaroorat hai jo ki bahut hi simple and easy hai. First step ke according, cmd ko admin mode me open kare. Next, netsh wlan show profile command ko cmd me run kare. Aur finally, netsh wlan show profile network-name key=clear command ko current cmd me run kare. Is tarah se select kiye gaya wifi profile ka password show ho jayega.
CMD se na keval wifi networks ko manage kar sakte hai balki is se VLC player ko bhi control kiya ja sakta hai even PC ke kisi bhi program ko enable/disable kar sakte hai. Is ke alawa, cmd se dusre computers ke sath communicate bhi ho sakte hai. But communication feature ko MicroSoft ne security reasons ke liye filhaal disable kiya hai. CMD program computers ka old, famous aur powerful program hai jis ke zariye bahut sare kam kiye ja sakte hai.