7 Handpicked Computer Tips & Tricks in Hindi

pc tips and tricks

Hello Friends, aaj main phir ek baar computer tips and tricks ke bare me baat karne ja raha hu jo ek computer master ke liye bahut hi important hai. In computer magic tricks ki madad se aap apne PC par important tasks aasani ke sath kar sakte hai. Main kuch hi din pehle soch raha tha ki main apne readers ke sath kuch computer secrets and tricks share karu but aaj ja ke computer short tricks share karne ka time mila.

Computer expert banne ke liye keval computer networking ko sikhna kafi nahi hota hai but is ke liye hardwork ki zaroorat hai jisko pura karne me bahut samay lag sakta hai. But yaha par aapko aise tricks milenge jin ki madad se aap khud ko PC expert prove kar sakte hai. Aap ne dekha hoga ki kuch log computers ke regular functions use karte hai but kuch geeks hidden computers tricks use karke apne चारों ओर friends ko impress kar dete hai. Kya aap bhi apna impression maintain karna chahte hai?

Handpicked Computer Tips and Tricks

Ye secrets common PC settings se different hai jo CMD (command prompt) ke bina kiye ja sakte hai. But is post me CMD ki madad se computer geeks ban sakte hai. Iske alawa, aur bhi secrets hai jo without cmd se kiya ja sakta hai. To aaye dosto ab bina samay waste kiye पीसी टिप्स और ट्रिक्स ke bare me kuch achi baatein sikhe.

1. Change Administrator Password Using CMD

Agar aap apne PC ka password bina settings (control panel) me ja kar reset karna chahte hai to ye kaam aapke liye keval CMD kar sakta hai. CMD se password reset karne ke alawa, aap apna old password bhi check kar sakte hai.

Step 1. Sab se pehle apne PC ke active windows ko minimize kare aur minimize karne ke baad, Windows key aur X key ke combination se CMD admin open kare. Jiske liye aapko apne PC par Win + X keys ko ek sath press karna hai aur press karne ke baad, ek list show hoga jis me command prompt (admin) par click karna hai.

Step 2. CMD ko open karne ke baad, net user command ko cmd me paste kareke Enter key press kare. Is command se computer ke sabhi user account show ho jayenge jinhe one bye one select karke password reset kar sakte hai.

Step 3. Kisi bhi user account ka password change karne ke liye cmd me phir se net user username setpassword ko paste karke enter key press kare. Is tarah se aapka old password reset ho jayega.

Note: username aur setpassword ko apne account details se replace kare. For example net user techlekhak 12345. As an example, techekhak mera username hai aur 12345 account ka naya password.

2. Change Folder Icon

Default folder icons se hum personal folders ko sahi tarah se identify nahi kar pate hai. Is samasya ko keval folder icon change karne se solve hota hai. Folder icon ko change karne ke liye easy steps follow kare.

Step 1. First, folder par right click karke properties select kare. Next, customize tab par click kare aur uske baad customize for the folder for ke under folder category select kare. For example, agar aap music folder ka icon change karna chahte hai to music select kare. Agar picture folder par icon replace karna chahte hai to pictures select kare.

Step 2. Folder category select karne ke baad, choose file par click karke koi bhi photo, icon etc. select karke OK press kare. Agar aap computer me save default folder icon apply karna chahte hai to choose file ke bajaye, choose icon me kisi ek icon ko select kare aur aakhir me apply > OK par click kare.

Step 3. Folder ka icon restore karne ke liye choose file ke neeche Restore default par click karke OK press kare. Aisa karne se default folder icon apply ho jayega.

3. Block a Website Using CMD

Agar aap apne kids ko sensitive websites se door rakhna chahte hai to iske liye Websites ko directly PC me block kare ke bajaye cmd se block kiya ja sakta hai. Ye tricks parents ke liye bahut hi useful hai taki woh apne bachu ko sensitive website browse karne se rok sake.

Step 1. Site ko block karne ke liye keyboard par windows logo + R keys ek sath press kare. Open hone ke baad waha par notepad c:WINDOWSsystem32driversetchosts paste karke Enter key press kare. Aisa karne se c drive me host file open ho jayegi jaha par websites ko block kar sakte hai.

Step 2. Open kiye gaye NotePad ke bottom par jaye aur waha local IP address enter kare. Local IP address enter karne ke liye 127.0.0.1 add kare. Next, IP address add karne ke baad spacebar press kare aur finally website address enter kare.

notepad host file

Step 3. Step 2 ko complate karne ke baad, notepad changes ko save kare aur finally notepad close kare. Congratulations! website block ho gayi. अब block ki gayi website ko open karne ki koshish kare. Lakh koshish karne ke baad bhi site tab tak open nahi hogi jab tak notepad me site ko delete na kiya jaye.

4. Prevent Documents & Folders

Hamare computer me bahut sare aise folders aur documents hote hai jin me confidential data hota hai. Agar koi vyakti hamara confidential data ko access kar le to woh confidential nahi rehta hai. Kya aap chahte hai ki aap ke secret data ko koi bhi vyakti access na kar paye? I think aapka answer YES hai.

Step 1. Sabse pehle folders ko encrypt karna sikhenge aur baad me MS word/excel etc. Folder par right click karke properties par click kare aur iske baad advanced par click kare aur finally encrypt data to secure contents select karke OK par click kare.

Step 2. Kisi bhi document ko encrypt karne ke liye document ko open kare. Open karne ke baad office button par left click kare. Iske baad prepare par click kare aur aakhir me encrypt document par click karke password enter kare.

5. Hide Folders Without Software

Hamare computer me songs, videos aur photos ke alawa personal secret data hota hai jisko koi bhi access kar sakta hai. Is jhanjhat se bachne ke liye steps follow kare. Agar folder ko completely hide karna chahte hai to iske liye sabse pehle folder par right click kare aur phir properties par click kare. Properties par click karne ke baad advanced option ke neeche hide select kare aur finally apply aur iske baad OK par click kare.

Folder ko wapas unhide karne ke liye, control panel me ja kar appearance and personalization > File explorer options par click kare aur ek pop-up window show ho jayega. Iske baad, view tab par click karke show hidden files, folders and drivers ko select kare aur next Apply ke baad OK par click kare. Aisa karne se hide kiye gaye folders temporarily show ho jayenge. Complete unhide karne ke liye folder > properties > aur hide ko deselect kare.

6. Overwrite Text

Kya aap new text type karne ke liye old text ko delete karne ke baad typing karte hai? Main to aisa nahi karta hu. Agar aap kisi bhi document me new text likhne ke liye old text ko delete karne ke baad likhte hai to old text ke important words bhi delete ho jate hai. Old text me changes karne ke liye replace kiye jane words ke right side me click kare aur click karne ke baad, insert key press kare. Insert key press karne se old text overwrite ho jata hai. Is se ye faida hota hai ki old text ko completely delete karne ke bajaye us me se useful words delete nahi hote hai. Is se time bhi save hota hai.

7. Repair Corrupted Removable Disk

Kahi bar aisa hota hai ki hamara Micro-SD card (memory card), USB drive PC me open nahi hota hai. Ye situation tab hoti hai jab removable disk me virus hota hai. Corrupted ya virus wale disks ko repair kiya ja sakta hai aur woh bhi bina kisi software ke. Mere aas-paas ke log corrupted USB drive aur memory card ko fenk dete hai aur main unhe utha kar phir se theek karke use karta hu. hahaha. Main mazak kar raha hu. To friends, corrupted removable media ko repair karne ke liye free steps follow kare.

Step 1. Sabse pehle cmd ko admin rights ke sath open kare. CMD ko open karne ke liye maine is posts me already steps mention kiye hai.

Step 2. Command prompt ko open karne ke baad diskpart ko cmd me paste karke enter press kare. Iske baad listdisk command enter kare. Aisa karne se disk list number-wise show ho jayenge.

Step 3. Next, select disk 1, 2, 3 ect. type kare. For example, agar removable disk number 2 par hai to cmd me select disk 2 paste karke enter kare. Is command se repair ki jane wali disk select ho jayegi.

Step 4. Ab desk ko clean karne ka time hai. Disk ko completely clean karne ke liye cmd me clean command enter kare aur finally enter key press kare.

Step 5. Disk delete hone ke baad cmd me create partition primary enter kare. Partition create karne ke baad, cmd me phir se ek command enter kare aur woh command format fs=fat32 hai. Is command ko enter karne ke baad 0 percentage completed show hoga. Aapko tab tak wait karna hai jab tak 0% se 100% tak pahunch jayega. Disk format hone me at least 10 minutes lag sakte hai. Jab tak ye 100% ho jayega tab tak coffee pe kar aate hai OK?.

Jaise hi 100% complete ho jayega to autoplay pop-up window show ho jayega jis me open folder to view option ko select karna padta hai. बधाई हो! disk repair ho gayi.

To friend, ye tha aaj ka विशेष topic jis me maine 7 computer tips and tricks apne readers ke sath share kiya. Agar aapko in सुझाव और तरकीब ke bare me kuch puchna hai ya phir koi प्रतिक्रिया hai, to aap comments me likh sakte hai. Yadi aapko ye post acha laga ho to is se apne FB, Gplus, Twitter ya Instagram friends ke sath share kar sakte hai. Is post me diye gaye tricks windows OS ke sabhi versions par work karte hai jaise windows xp, vista, 7, 8 aur windows 10.

Is post me diye gaye tips and tricks ka upyog karne se PC files, folders, primary ya secondary drivers aur storage damage bhi ho sakta hai. Ye post keval शैक्षणिक और शोध उद्देश्य ke liye hai. Main personally in tricks ka upyog karta rehta hu. Aap apni marzi ke maalik hai. 😉

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

11+ Smartphone Functions Explained in Hindi

Next Story

7 Best Battery Saver Apps for Android - बैटरी सेवर एप्स