Smartphones me bahut sare features hone ki wajah se battery draining jaldi ho jata hai aur Android OS features me sabse aage hai. Isi baat ko lekar aaj main best battery saver Apps aapke sath share karunga taki battery ko monitor karne ke alawa, bachaya bhi ja sake. In Apps ka use karne se Android phone ki battery life easily badha sakte hai. Android battery बढ़ाने के लिए maine is post me kuch Apps mention ki hai. Let’s jump to the list of best battery saver Apps for Android.
List padhne se pehle aaye ye jaane ki aakhir Android ka battery backup itna kam kyon aur kaise ho jata hai? Dosto, maine already is baat ko mention kiya ki jitne ziyada features hote hai utna hi battery backup kam hota hai. For example, Android smartphone me kuch Apps background me run karte rehte hai jiski wajah se battery life danger me pad jati hai. Aaj kal ke mobile phones ka display (screen) bhi bahut bada hota hai aur yeh bhi battery drain karne me koi kami nahi chhodta. Iske alawa, Dual camera, duplicate files aur 3G/4G configuration wale mobile phones ki battery bhi kam samay me dead ho jati hai.
Battery draining me aur bhi ek reason hai. Agar phone ki storage kam pad jati hai to hamara phone properly work nahi kar pata hai aur is karan se battery life kam ho jati hai. Agar FB App ki hi baat ki jaye to woh 150+ MB size ki hoti hai aur isi tarah se baki Apps bhi system storage ko kam kar dete hai.
How Does Battery Saver Apps Work?
Yeh bhi ek sawal hai ki aakhir ek App se battery ko save kaise kiya ja sakta hai? Actually, battery saver Apps mobile phone ke kuch features ko disable kar dete hai jis se battery jyada samay tak chalti hai. Battery saver Apps hamare Android phone ki display brightness, 3G/4G service, Apps in background running, mobile data, bluetooth, background syncing, display timeout aur WiFi ki settings ko apne according manage kar lete hai. Agar aap manually in sabhi settings ko manage kar sakte hai to phir Apps ki zaroorat nahi pade gi.
Best Battery Saver Apps for Android
Ab bina samay waste kiye main aapko kuch Apps ke naam batane ja raha hu jinse aap apne Android phone ko drain hone se bacha sakte hai. Ye Apps kisi bhi version par work kar sakte hai.
1. Avast Battery Saver
Avast Battery Saver dusre Apps ki tarah function karne ke sath sath battery information bhi show karta hai. Battery information me battery temperature, voltage, unite, battery heat etc. ko track karke show karta hai jiski madad se battery ko bachaya ja sakta hai. Ye aap tab bhi work karta hai jab hamare phone ka screen lock hota hai.
2. Greenify
Greenify App background me chalne wale sabhi Apps ko hibernate kar deta hai. Ye App battery life badhane ke sath-sath phone me pade useless apps ko bg me clean kar deta hai jiski wajah se hamara cell phone comfortable aur smoothly work karta hai. Ye App dono operating systems ke liye available hai jaise Android aur iOS.
3. Battery Booster and Cleaner
“Battery Booster and Cleaner” App na keval background me run hone wale Apps ko disable kar deta hai but ye App phone me duplicate files ko bhi detect kar sakta hai. Duplicate files ko detect karne ke baad automatically ya phir manually bhi remove kar sakte hai. Ye App behtareen aur FREE hai.
4. Battery Doctor
Battery Doctor App na keval battery save karne me help karta hai but ye battery life badhane ke suggestions bhi provide karta hai. Ye App high battery power use karne wale Apps ko disable kar deta hai jis se battery kafi time tak charge rehti hai. Ye aap install karne ke baad vyakti ko battery optimize karne ke liye manually kuch nahi karna padta hai. Ek baar install ho jaye to battery optimize hi nahi balki bhagti hai.
5. DU Battery Saver
Jaha bhi dekho waha only “DU Battery Saver” ke charche lage rehte hai. Pata hai kyon? Kyon ki ye hamari battery ka temperature, voltage, capacity, battery unite ka data show karta hai. Aur to aur, ye App background me chalne wale Apps ko bhi stop kar deta hai.
6. Power Clean
Agar aap lightweight battery saver App ka upyog karna chahte hai to Power Clean ek best choice hai. Power Clean App ki madad se trash apps, background programs aur baki features ko automatically handle kiya ja sakta hai. Ye App phone me pade hue bekaar trash apps ko delete karne me expert hai.
7. Cache Cleaner-DU Speed Booster
Kya aap sach me junk files, residual files aur cache se pareshaan ho chuke hai? Agar aisa hi hai to “Cache Cleaner-DU Speed Booster” aapki samasya ka samadhan kar sakta hai. Ye App baki Apps se ek dam different hai. Cache Cleaner-DU Speed Booster na keval batter optimization me important role contribute karta hai but ya app useless data ko clean karke hamare cell phone ki speed boost kar deta hai.
To friends ye tha aaj ki wednesday ka post jis me maine android ke liye best power saver Apps ke bare me bataya. In Apps ki madad se phone aur battery ki life increase kar sakte hai. Agar aap ne in me se kisi bhi app ka use pehle bhi kiya hai to is ka review comments me likhe. Main aap logo ko bonus me battery save karne ki kuch tips batana chahta hu. Free up system memory, kill background syncing apps, clean duplicate files, clean apk files, junk files and cache, stop overcharging, turn off wireless networks when not in use. Jab aap in tips par attention karenge to aapki battery chale gi nahi but dhoonde gi.