/

11+ Smartphone Functions Explained in Hindi

smartphone functions

Aaj main aap ke sath smartphones ke aise functions aur features share karne ja raha hu jinhe pad kar aap surprise ho jayenge. Smartphones me na keval phone calls aur Internet available hai but in me aise features hai jo pehle ek vyakti ke mind me aaya hi nahi hoga. Main camera ki baat nahi karunga ga aur na hi media files ki kyon ki ye sab common functions hai jo har koi janta hai.

Samay ke sath-sath computer technology me itni development ho rahi hai jiske baare me pehle socha bhi nahi hota hai. Agar main aap se poocho ki Smartphone ke functions bata do, to shayad aap Internet, video/audio calling, online streaming, media player aur camera ki baat karenge. Isse zyada mobile phone se aur kya kiya ja sakta hai? Yehi discuss karne ke liye aaj main ye post केवल aapke liye laya hu jis main smartphones ke functions share karne ja raha hu.

Amazing Functions of Smartphones

Smartphones me do tarah ke functions hote hai. Ek in-built software aur dusra third party Apps. Inbuilt woh features hote hai jo smartphone me already exist hota hai e.g calling, camera, Internet etc. But Apps humare smartphones ko ek naya look dete hai. Is ke alawa, features aur functions me bhi Apps ka contribution 100% raha hai. Main aisi hi kuch Apps ke bare me baat karunga jin se smartphones ko aur bhi smart banaya ja sakta hai. Let’s enjoy स्मार्टफोन की विशेषताएं और रहस्य।

1. Measure a Distance

Agar aap kisi cheez ka measurement karte hai to aap pakka Tape ka use karte hai. But agar aapke paas Android smartphone hai to aaj ke baad aap is Tape se hath nahi lagao ge. Play store me SizeUp App available hai jis ki madad se kisi bhi cheez ki length, breadth, height और width measure kar sakte hai. For example, agar aap wood piece ki length measure karna chahte hai to apne phone ko ek pint se dusre pint tak air me move kare. Move karne ke baad, wood piece ka length screen par show ho jayega.

Isi tarah se agar khud ki height measure karne ki soch rahe hai to Head se le kar feet tak apne phone ko bina body se touch kiye move kare. But move karne se pehle point 1 par Start press kare aur endpoint par bhi start button press kare.

2. Test your Remote Control battery

Mobile phone aur Laptops me battery percentage hone ki wajah se batter ka pata chalta hai but remote control me aisa nahi hai. Remote control me screen na hone ki wajah se battery charge hone ko pata nahi chalta hai. Lekin ab aisa ho sakta hai aur woh bhi bina screen. Remote ki batteries ka pata karne ke liye, apne phone ka simple camera launch kare. Is ke baad, remote control ko camera ke samne rakhe jaise photo click karne par vyakti ko samne rakha jata hai. Aur finally, remote par koi bhi button press kare. Agar batteries stable hai to remote control ka bulb (infrared signals) camera me blinking show karega.

3. Control your Phone Without Screen Touching

Mobile phone ko use karne ke liye hume screen touch ka upyog karna padta hai but jab se Wave Control market me aaya hai tab se touch ki zaroorat bhi nahi padti hai. Ye App iphone aur Android ke liye available hai. Is function ka upyog karne ke liye sabse pehle Wave Control ko apne phone par install kare aur next, apne fingers ko screen ke kareeb le jaye aur finger ko air me move kare. Is App se ye fyada bhi hai ki isse mobile screen clean rehta hai. Is App ki madad se phone calls ko receive karne ke alawa, music aur videos play kar sakte hai.

4. Send Text from Your PC

Jab mobile phone ki battery dead ho jati hai to MMS to kya sms bhi nahi kar pate hai. But MightyText App ki madad se Android phone ko PC par manage kar sakte hai. App ko Link karne ke baad, mobile ke sms, mms PC par send aur receive kiya ja sakta hai.

5. Make Better Decisions

Jab hum shopping ya picnic spots par jate hai to waja bahut sari shops aur beautiful places hone ki wajah se hum confusion me pad jate hai. Is confusion me hum ye decide nahi kar pate ki aakhir pehle kisi jagah par jaye. Decision Crafting App place rating ke according final decision bata deti hai. Ye App different places ki information collect karke, better suggestion deti hai. iPhone users ke liye ye App available nahi hai but unke liye alternative option ChoiceMap hai.

6. Keep yourself Safe

Sabse pehle apni security. Chahe woh ladka ho, ladki ho, old ya young, self security sabse jyada important hai kyon ki Jaan hai to jahan hai. Agar aap kisi jagah par unsafe feel kar rahe hai to bSafe App aap ki samasya ka solution hai. Yeh App user ki GPS location, videos, audios aur emergency alarm turant record karke aap ki family aur friends ko securely send kar deti hai. Aur ye emergency alarms sabhi friends aur family members ko ek sath send ho jati hai. Is emergency ko dekh kar aapke रिश्तेदार, दोस्तों, परिवार के सदस्य jaldi react karte hai jis se woh aapko track aur contact kar sakte hai ya phir police ko inform kar sakte hai. Aap ke आसपास jo kuch bhi hota hai (audio + video) ye sab App ke server par securely save rehta hai jisko phone khone/tootne ke baad bhi retrieve kiya ja sakta hai.

7. Force RTL Mode

PC/smartphones etc. by default LTR (left to right) mode me hota hai. Agar aap apne cell phone ko RTL (right to left) layout me use karna chahte hai is ke liye Settings > About phone > Software info > me jaye. Next, Build number par double click kare jis se developers mode activate ho jayega. Is ke baad, Settings > Developers option me jaye aur waha Force RTL Layout activate kare. LTR me wapas jane ke liye “Force RTL Layout” ke saamne button ko press kare.

8. Use Different Account on a Phone

App cloner ki madad se kisi bhi App ka duplicate create kar sakte hai. For example, agar aap ek hi phone me 2 WhatsApp, Facebook, Twitter etc. use karna chahte hai to App Cloner se duplicate App create karke ek phone me different account use kar sakte hai. Basically, ek phone me keval one App (original App) allowed hai to App cloner ki help le kar cloning Apps se different account access kiye ja sakte hai.

9. Turn your Phone into a Digital Scale

Digital scaling Apps ko kitchen me use kiya jata hai. Ye aap sugar, salt, tea etc. ka weight karne me helpful hai. Digital scale App ko phone me install karne ke baad is App ko launch kare. Open karne ke baad, kisi bhi cheez ko mobile screen par rakhe aur ye App 5 seconds me weight show kar sakta hai.

Warning: Agar aap 6 gram se zyada ya phir ise kam weight wale object ko apne screen par rakhenge to is se screen break ho sakta hai. Is liye kam se kam weight wale objects screen par rakhe jaise 1 gram, 2 gram etc. Kahin aap is App ka use shop par to nahi kar rahe? hahaha.

10. Use Offline Maps

Maps access karne ke liye Internet connection ki zaroorat padti hai but agar aap kisi aisi jagah par ja rahe hai jaha Internet available nahi hai to aisi situation me kya hoga? Apne phone me Google maps ko open karke us area ko select kare jaha par internet signals nahi aate. Select karne ke baad, maps ko download kare aur is tarah se aap us area me ja kar bina internet maps ka use kar sakte hai. But Maps ko download karne ke liye Internet se connected hona zaroori hai.

11. Link Two Phone together

Ek mobile ko dusre mobile se kaise connect kare? yehi soch rahe ho kya? USB drive aur mobile phone ko OTG cable ki madad se link kiya jata hai but kabi 2 smartphones ko Link kiya hai? Two different smartphones ko aapas me connect karne ke liye ek phone ko USB Female Adapter cable se connect kare aur dusre phone ko Micro-USB cable se connect kare. Is ke baad dono cable ko aapas me join kare aur that’s it.

Apps aur software hamare smartphones ke features, functions aur settings me improvement karne ke sath-sath damage bhi kar sakte hai. But personally, main ziyada Apps use karta hu kyon ki mere liye ye Apps bahut hi beneficial prove hue hai. In general, Apps ke bina smartphone ek simple phone ki tarah dikhta hai. To friends aapko is post me kaun si App pasand aayi? Comments me pakka likhe.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

New Gmail Web Interface Ko Enable Kaise Kare

Next Story

7 Handpicked Computer Tips & Tricks in Hindi