Aaj main aapko windows 10 ke bare mein ek technique batane ja raha hu jis ki help se Windows 10 mein clipboard history view kiya ja sakta hai. Computer Clipboard history jo ki copy paste ke naam se bhi jana jata hai, ek bahut hi acha feature hai jis ka upyog karne se copy kiye gaye screenshots aur texts paste karte samay view kiye jate hai. Aaj hum isi baat par discuss karenge ki aakhir clipboard history kaise view ki jati hai.
Jab hum computer se text copy karte hai to previous copy kiye gaye clips hum dekh nahi sakte hai aur is situation mein hame dubara se previous text copy karna padhta hai. Lekin ab aisa nahi hai kyon ki windows 10 mein clipboard history ko enable karne se previous copy kiya gaya text ko badi hi easily view aur paste kar sakte hai. Halanki is ko activate karne se puri copy paste history save nahi reh sakti hai but is ka upyog karne se clipboard history ko kuch had tak save kiya ja sakta hai.
Windows 10 Me Clipboard History Enable Kaise Kare
Windows 10 ke latest update mein clipboard history built-in feature hai jis ki madad se 100kb tak (less or more) text store rakh sakte hai. By default, yeh feature OFF rehta hai aur is post ko padhne ke baad aap is function ko ON kar sakte hai i mean enable kar sakte hai. Is feature ko enable karne se copy kiye jane wale screenshots aur texts clipboard me save rehte hai jo paste karne ke time view kar sakte hai.
Step 1. Clipboard history activate karne ke liye windows 10 ke settings mein jaye jaha yeh feature ON kiya ja sakta hai.
Step 2. Settings mein jane ke baad, left side panel mein Display, battery, storage etc. ke neeche “Clipboard” option par click kare. Yadi aap ke PC mein “Clipboard” option missing hai to apne PC ko latest version mein update kare kyon ki yeh feature old version mein available nahi hai.
Step 3. Step no. 2 follow karne ke baad, “save multiple items” ka option hoga. By default, yeh option OFF hota hai. Is option ko ON karne ke liye is par click kare. Click karne ke baad yeh option blue color mein show hoga is ka matlab yeh hai ki “save multiple items” activate ho chuka hai.
Jab bhi text paste karne ki zaroorat pad jaye to mouse ko use karne ke bajaye keyboard par “Win logo key + V” press kare. Aisa karne se copy kiye gaye entries view ho jayenge jinhe select karke paste kar sakte hai.
Method #2
Is method mein third party softwares involve hai jis ki madad se na keval windows 10 mein copied contents ko record kiya jata hai balki is method ki madad se kisi bhi windows operating system mein clipboard data ko record kiya ja sakta hai.
Using Clipdiary Clipboard Manager
Clipdiary clipboard manager windows operating system ka powerful software hai jis ki madad se na keval text store kiya ja sakta hai balki Clipdiary clipboard manager se different text types ko clipboard mein record kiya jata hai. Clipdiary application plain tex, text with formatting (rtf), html, pictures aur files ko bhi store karne mein madad karta hai. Main ne pehle bhi kaha ki win 10 ke clipboard mein only 100kb (less or more) tak ka data record hota hai but Clipdiary mein bahut sara data record hota hai.
Step 1. Sab se pehle Clipdiary ko PC par download kare aur download karne ke baad is Application ke install kare.
Step 2. Install karne ke baad Clipdiary program launch kare. Yadi aap is program ko open nahi karenge to copy paste as usual kaam karega i mean Clipdiary mein koi data record nahi ho payega.
Step 3. Program launch karne ke baad text, images, ya files ko kahin se bhi copy kare to copy kiya gaya sara data Clipdiary manager mein automatically record ho jaye ga.
Step 4. Clip selection dialog box open karne ke liye “Win + Ctrl + D” press kare aur previous clip ko quick copy karne ke liye “Win + Ctrl + Shift + Up” keys press kare.
Step 5. Clipboard mein next clip ko copy karne ke liye “Win + Ctrl + Shift + Down” keys press kare aur current text ko paste karne ke liye “Win + Ctrl + Shift + V” keys use kare.
Is tarah se Clipdiary software ko use kiya jata hai. Yadi aap clipdiary ka advanced upyog karna chahte hai to is link par ja kar clipdiary documentation sikhe.
To friends yeh tha aaj ka post jis mein hum ne windows operating system ke clipboard mein data record karne ki 2 easy techniques sikh liye. In techniques ka upyog karne se copied clipboard contents computer mein record ho jata hai aur is ke alawa, copy paste mein hamara time waste nahi hota.
Jaha tak windows 10 ke latest update ka sawaal hai, is mein bahut sare naye features hone ke sath sath kuch weaknesses bhi hai jaise ki clipboard mein only 100kb size record hota hai. Yeh size at least mb mein hona chahiye taki clipboard mein ziyada se ziyada data save reh paye. I hope ki future mein microsoft corporation is limit ko hata kar mb me upgrade kar de.