What is Network Gateway in Hindi | नेटवर्क गेटवे

what is a gateway network

Kya aap Hindi mein technology term Gateway read karne ki soch rahe hai? Aap sahi jagah par aaye hai jaha aap important tech term Gateway ko badi hi easily understand kar sakte hai. Waise to yeh terms Internet par already available hai but woh English mein likhi hui hai. Is liye socha ki kyon na apne readers ke sath is term ko Hindi language mein share kar diya jaye.

Maine is post mein Gateway term ko mention kiya hai jisko aap padh kar aap apni computer network knowledge increase kar sakte hai. Meri aap se request hai ki is terms ko read karke zubani yaad rakhne ki koshish kare taki aap ki tech knowledge sab se better ban jaye.

Definition of Gateway

Computer networking mein Gateway ek IP address hota hai jo hardware, software ya dono ka combination hota hai. Yeh ek network se dusre network ke devices ko join karta hai. Gateway 2 networks ya workstations ke between ek “Link” ya “gate” ki tarah kaam karta hai. Gateway aise network devices ke between rehta hai jo router, firewall, server ya phir koi aisa device hota hai jo network traffic ko aane aur jane me connect karta hai. Gateway ki help se hamara cell phone ya computer, network se connect hota hai aur iske bina hum Internet access nahi kar sakte hai. Gateway na keval hamare system ko network se connect karta hai but yeh Internet me extra security add karta hai isiliye iska naam Gateway rakha gaya hai.

Internet signal aane ya jaane se pehle yeh sabhi signals Gateway mein enter hoti hai aur gateway in signals ki security check karke inhe inside aane aur outside jane me help karta hai. For example, jab hum Internet se connect ho jate hai to connect hone se pehle incoming Internet signals gateway mein enter karte hai aur us ke baad hamare PC/Laptop ya phir mobile, network se connect ho jata hai. Aur jab hum Internet par browse ya phir download karte hai to hamare device se traffic generate hota hai aur ye traffic server par jane se pehle gateway mein enter karta hai jaha par is ki jaanch hoti hai aur baad mein yeh traffic server par chala jata hai.

Aaj kal computers mein Firewall hota hai jo ki Gateway hi hota hai aur ye firewall traditional gateway se advanced hota hai jo inbound and outbound traffic ko filter karke suspicious aur unauthorized sources ko block karta hai.

Firewall gateway ki tarah hi function karta hai but advance development ki wajah se firewall do workstation ke darmiyan ek divaar (wall) ki tarah kaam karta hai jo infected ya suspected network signals ko block karke hamare networks ko unauthorized access hone se rokta hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Apne Apple Account Ka Data Download Kaise Kare

Next Story

What is SMiShing in Hindi | Smishing Kya Hota Hai?