Dosto, Jab hum apni website create karte hai ya phir kisi ki website browse karte hai to is me sabse important cheez Domain hota hai. Domain ke bina na website online live ho sakti hai aur na hi Internet par koi kaam kiya ja sakta hai. Actually, domain name IP address (numerical instructions) hota hai jisko computers letters me convert/translate karke Humans ko domain names yaad rakhe me help karte hai.
Domain ke bare me aaj hum baat karenge. Aap ne kahi baar parked domain suna hoga but kya aap jante hai ki parked domain kise kehte hai? Aaj main aap ko parked domain ke bare me batane ja raha hu jis ko read karke aap is term ko badi aasani ke sath understand kar sakte hai.
What is a Parked Domain
Parked domain ek registered aur active domain name hota hai but yeh domain domain registrar ko chhod kar kisi bhi website ya web page se map (connected) nahi hota hai. For example, agar aap koi domain purchase karenge to purchase karne ke baad aap ka domain active ho jayega. Aur aap apne registered domain ko kisi bhi web hosting se setup (mapping) nahi karo ge to is situation ko domain parking kehte hai. Jab koi vyakti parked domain address internet par search karta hai to waha us vyakti ko simple layout and domain registrar website se related kuch link mil jaye gi jo ki parked page par available hota hai. Aise domain ko parked domain kehte hai.
In general, Parked domain aise domain ko kehte hai jo registered aur active ho kar bhi kisi web page se associate nahi hota hai balki ye Parked pages hote hai. Agar simple term me parked domain ki definition understand karna chahte hai to is line ko gaur se read kare. Parked domains aise domains hote hai jo abi tak domain owner ne publish nahi kiye hote hai. Aur URL ke pages par aksar under construction ya coming soon likha rehta hai.
Domain Parking Reasons
Kuch log domain name register karke inhe interested logo ko sell karte hai aur kuch log apne published domain ka domain suffix competition se bache ke liye domain suffix register karte hai taki future me koi vyakti naya domain same name par domain register na kar paye. For example, agar www.example.com domain aap ne register kiya hua hai aur koi dusra vyakti domain suffix www.example.net, www.example.in ya www.example.org register kar de, to aisi situation me aap ka registered domain competition challenges face kar sakta hai. Domain ke last wala part ko domain suffix ya Top-Level Domain (TLD) bhi kehte hai e.g .com, .org, .in, .info, .tech etc.
Kuch log domain register karke kisi waja se web hosting maintain nahi kar pate hai aur financial problems ki waja se domain owner domain mapping (domain forwarding, web hosting) ke charges pay nahi kar pate hai jis ki waja se unka registered domain प्रकाशित (publish) hone ke bajaye parked state me rehta hai.
To friends, ye tha aaj ka important topic domain ke bare me jis me hum ne domain se related term domain parking padha. I hope ki is post ko read karne ke baad aapko domain parking samajh me aa gaya hoga. Yadi aap ko domain parking me koi confusion hai to please comments me likhe.