/

Apne Apple Account Ka Data Download Kaise Kare

download your apple account data

Haal hi mein General Data Protection Regulation (GDPR) act mein kuch changes ki gayi jis ki waja se Facebook ke alawa, Apple ne bhi apne customers ko Data download karne ko option diya hai. Yadi aap Apple iPhone ke user hai to aap apne Apple ID se judi sari jankari download kar sakte hai aur is data mein woh sabhi jankari hogi jo aap ke Apple account aur iCloud account se juda hoga.

Apple company ne recently ek naya Data aur Privacy website launch ki jis ki madad se Apple users apne Apple ID se related complete data download kar sakte hai. But currently, yeh option keval kuch hi countries mein available hai jaise Iceland, Liechtenstein, Norway aur Switzerland. Ab aap ye soch rahe honge ki agar yeh option keval European countries mein available hai to Indian users se ise kya lena dena?

Apple company ne ek post mein is baat ki confirmation ki hai ki Data privacy website ko worldwide launch kiya jayega. Aur jab tak ye India mein launch hoga tab tak main aapko iCloud aur Apple account ka data download karne ka easy method bata du ga. Is data ko download karne se aapko pata chalega ki Apple company aapke baare mein kaun si jankari collect karti hai aur is jankari mein kya kya shamil hota hai.

Apple aapke account mein Apple Apps aur services ka data collect karta hai jaise Apple ID info, device info, online shopping, calendars, iCloud photos, documents, App Store/iTunes Store purchase history, Apple Music, App usage history, Game statistics, AppleCare support history, marketing history, aur woh sara data jo user account se related Apple servers par store hoga.

How to Download Your Apple Account Data

Aage badhne se pehle ek baat jan le ki ye data only Apple ki privacy website se download kiya ja sakta hai. Aur agar aap is data ko apne iPhone se download karna chahte hai to ye possible nahi hai. Ho sakta hai ki future mein Apple company data ko download karne ke liye iPhone App develop kare but present mein ye option keval desktop web browser par available hai.

Step 1. Sabse pehle apne Mac, PC, ya iPad par web browser open karke privacy.apple.com website par jaye.

Step 2. Is ke baad Apple ID email aur password enter karke login kare. Login karne ke baad, Apple ID aur Privacy page par “Continue” par click kare.

Step 3. Ab “Get a copy of your data” option ke neeche “Get Started” par click kare.

Step 4. Next page par data categories ki list show hogi jaha par data categories ko select kar sakte hai. Agar aap complete data download karna chahte hai to sabhi options ko select kare aur yadi aap specific data download karna chahte hai to specific options par tick kare.

Step 5. Is step ke baad “Continue” par click kare. Ab next page par “Choose a maximum file size” ke under dropdown menu par click karke data size select kare jaise 1GB, 2GB, 3GB, 25GB etc. Aisa karne se data ko divide karke send kiya jayega.

Step 6. Theek “Choose a maximum file size” option ke neeche “Complete Request” par click kare. Downloaded data receive karne mein 1-2 weeks ka samay lag sakta hai. Aur data receive karne ke baad, downloaded kiya gaya requested data two weeks ke baad Apple servers se automatically delete ho jayega.

Download kiye jane wale data ka status janne ke liye privacy.apple.com/account par jaye jaha aap requested data ka status check kar sakte hai.

Data ko download karne ke alawa, aap apne Apple account ka data Apple database se permanently delete bhi kar sakte hai. But delete karne se pehle is baat ko jan le ki deleted data recover nahi kiya ja sakta hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Short WhatsApp Video Status for Geeks & Tech Lovers

Next Story

What is Network Gateway in Hindi | नेटवर्क गेटवे