WebP Images Ko JPG/PNG Format Me Save Karne Ke 5 Tarike

convert WebP to png and jpg

Is post me hum WebP images ko PNG aur JPG ke roop me save karne ke 5 aasan tarike sikhenge. WebP file format change karne se PNG aur JPG images ko image editor me redesign kar sakte hai. Kyon ki bahut saare image editors aur web browsers aise hai jo abhi tak WebP file format support nahi karte hai. Agar aap WebP image unsupported web browser ya image editor me open karne ki koshish karenge to, waha “invalid file format” warning message show ho sakta hai. WebP file format JPG aur PNG me change karke, WebP images kahin par bhi use kar sakte hai. Isi liye aaj maine ye decide kiya ki aap ko WebP images ka file format change karne ke kuch tarike bata du.

Maine neeche 5 easy tarike mention kiye hai jinse aap koi bhi WebP image, PNG aur JPG me bina kisi problem change kar sakte hai. In 5 tarikon me se aap ko jo acha lage, iska upyog karke apni pasand ki images ko convert kare. Images ko convert karne ke liye Google Chrome browser open kare. Kyon ki Chrome browser WebP file format ko 100% support karta hai.

1. Use Online Image Converter

Agar aap ke PC par WebP images already save hai, to online image converter se WebP images PNG/JPG images me convert kar sakte hai. Maine bahut baar Zamzar par WebP images JPG me convert ki hai. Aap bhi is website par ja kar WebP images PNG/JPG me save kar sakte hai.

Best Online WebP converters:

2. Use Desktop Image Converter

Agar aap online image converter ka upyog karna nahi chahte hai, to desktop XnConverter se file format change kar sakte hai. WebP images ko desktop image converter se save karne ke liye step follow kare.

  1. Sabse pehle XnConverter apne PC par install kare
  2. Ye software Windows PC ke alawa, Mac, Linux, aur iPhone ke liye bhi available hai. Aap in me se kisi bhi operating system par XnConverter software download kar sakte hai.

  3. Software install karne ke baad XnConverter launch kare
  4. Ab “Input” tab me “Add files” par click karke WebP images select kare
  5. Jaise hi files add ho jayengi, to “Output” tab par click kare. Output me “output format” select kare
  6. File convert karne se pehle XnConverter Settings me output quality adjust kare. Agar output quality already achi hai, to Settings me jane ki koi zaroorat nahi hai.
  7. Is ke baad, “Convert” button par click karke WebP files JPG/PNG me convert kare

3. Convert WebP Using an Unsupported Browser

Chrome aur Opera browser ko chhod kar kisi “unsupported WebP” browser se WebP image open kare. Unsupported WebP browser me, WebP images PNG aur JPG file format me load ho jate hai. Image load hone ke baad, image par right click karke “save image as” select kare. Finally, image ko PNG/JPG file format me save kare.

4. Use Chrome Extension

Android Apps ki tarah Chrome store me bhi bahut saare extensions aise hai jin ka koi jawab nahi. Aisa hi ek extension Chrome browser ke liye hai jis ka naam “Save Image As PNG” hai. Is extension ko apne browser me install karke WebP images PNG file ke roop me save kar sakte hai.

5. Save Using Edit Image URL

  1. URL se convert karne ke liye WebP image par right click karke “copy image address” select kare
  2. Aisa karne se image URL copy ho jayega. Ab new Tab me image address paste karke, image URL ke aakhri 3 characters delete kare. Yeh 3 characters -rw hai
  3. -rw remove karne ke baad, enter key press kare. Ab WebP image PNG/JPG file format me load ho jayega
  4. Is ke baad, converted image save karne liye, image par right karke “save image as” select kare

Dosto, is post me mention ki gayi tricks se WebP images ko JPG aur PNG file me convert kar sakte hai. Yeh sab tarike FREE aur easy hai. Is ke alawa, in tricks se hum bina kisi rok tok WebP images ko kam samay me convert kar sakte hai.

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

BlogSpot Blog Par Google AMP Install Kaise Kare

Next Story

Android "Power Off" Menu Customize/Edit Kaise Kare