Top 5 Lock Screen Apps For Android Smartphone [in Hindi]

top android lock screen apps

Safety First – Aaj main aapke sath top 5 Android Lock screen Apps share karne ja raha hu jinki madad se Android device me storage data ko safe rekh sakta hai. Aur jis cell phone me lock screen App na ho, woh mobile unsafe hi nahi balki pocket me rakhne ke liye bhi risky hota hai. Kyon ki Android operating system ka interface itna user-friendly hai, ki isse 4 saal ka bacha bhi chala sakta hai.

Agar Android technology ke bare me baat ki jaye to ye sabse easy aur simple hai. Isi baat ka labh utha kar kuch log hamare Android phone me ja kar Photos, Videos aur Audios check karne lagte hai. Aisi society me jaha bina pooche aur bina bataye ek dusre ka cell phone use kiya jaye, waha Lock Screen Apps ke bina rehna bahut difficult hota hai.

Google Play par bahut sari Android Lock Screen Apps available hone ki waja se, hum ye decide nahi kar pate ki ab kis App ko install karke phone ko safe rakha jaye. Isi liye maine is Article me top 5 Lock Screen Apps mention ki hai jinko Android phone par install karke bina kisi pareshani apna smartphone use kar sakte hai.

Top 5 Lock Screen Apps For Android Smartphones

Is post me di gaye sabhi Apps ko rooted aur unrooted phone par install kiya ja sakta hai. Lekin future me Apps ke naya version se earlier phone version par kaam nahi kar sakte hai. But present me, ye sabhi versions par smoothly kaam karte hai. To ab koun sa App install kiya jaye? Confuse hone ki koi zaroorat nahi hai. Kyon ki main Apps ke features bhi detail me aapko batane ja raha hu.

1. Hi Locker

Hi Locker App lock screen karne ke liye 2 different methods offer karta hai jaise PIN/Password aur Drawing pattern. in dono me se koi bhi method select karke screen ko lock kiya ja sakta hai. Is ke alawa, Hi Locker App me 3 stylish theme hai jis se Android smartphone ka screen aur bhi khoobsurat aur attractive dikhta hai. Is App ko apply karne ke baad, screen par WhatsApp, Facebook, SMS aur any messages ke notifications as usual aate rehte hai. In notifications ko view karne ke alawa, right/left swap karke, bina unlock kiye delete bhi kar sakte hai. Download Hi Locker

2. Next Lock Screen

Next Lock Screen App microsoft corporation ne Android lover ke liye develop kiya hai. Is App ki madad se screen ko PIN aur pattern se lock kiya ja sakta hai. Itna hi nahi, balki is App me Smart Lock bhi available hai jo vyakti ke daura save ki gayi Location ko detect karke screen ko unlock kar deta hai. Is ke alawa, Next Lock Screen se Fingerprint ka upyog karke, mobile phone ko dusre logo se bachaya ja sakta hai. Android screen ko attractive banane ke liye, Gallery aur Bing se wallpaper select karke screen par set kiya jata hai. Download Next Lock Screen

3. ZUI Locker-Elegant Lock Screen

Agar aap wrong password enter karne wale vyakti ki jankari hasil karna chahte hai to ZUI Locker se badhkar aur koi choice ho hi nahi sakti. Yadi koi vyakti aap ki permission ke bina hi screen unlock karne ki bekaar koshish karta hai, to ye App us vyakti ka photo le kar aapki email ID par send kar deta hai. Is ke alawa, ZUI Locker busy logo ke liye bahut hi badiya option hai. Kyon ki ye App phone ko secure rakhne ke sath-sath prati din ek wallpaper automatically change karta rehta hai. Custom layout hone ki waja se ZUI Locker App dusre App ke muqable me ziyada unique hai. Download ZUI Locker-Elegant Lock Screen

4. Solo Locker (DIY Locker)

Agar aap password, PIN ya phir pattern lock rakhne ke baad bhool jate hai, to keval Solo Locker aap ki samasya ka samadhan kar sakta hai. Is App me PIN aur Password ki jagah Photo Passcode ka upyog kiya gaya hai. Photo Passcode me aap apni pic ya phir Pattern Passcode me cartoon select karke screen ko Lock kar sakte hai. Aur to aur, Solo Locker me Passcode Style ka upyog kiya gaya hai jis ki madad se Passcode ka interface badi aasani ke sath customise kar sakte hai. Download Solo Locker

5. Screen Lock – Time Password

Kya aap iPhone lover hai? To Screen Lock – Time Password ik better choice hai. Is App me Time Password ka upyog kiya gaya hai jisko unlock karna kisi ke bas ki baat nahi. For example, agar aap time ke according PIN set karna chahte hai aur current time 04:47 hai to unlock 0447 automatically set kar diya jata hai. Pin + Current time Passcode – For example, agar aap PIN aur minute ka password create karna chahte hai aur current time 02:37 hai to unlock karne ke liye 450237 automatically set ho jaye ga. Is ke alawa, dusri Apps ki tarah simple PIN bhi create kar sakte hai. Phone ko lock aur unlock karne ke samay alarm aur vibration set kiya ja sakta hai. Download Screen Lock – Time Password

To ye thi kuch gine chune lock screen Apps jin ka upyog karke mobile phones ko galat istemal hone se bachaya ja sakta hai. To ab aap ne kis App ko install karne ka plan bana liya hai? Ye sabhi Apps FREE hai jo hamare Android smartphone ko FREE me safe aur secure rakhte hai ye Apps aaj kal ke zamane me bahut hi important hai.

In Apps ka upyog parents bhi kar sakte hai taki unke kids Mobile phone me aise videos dekh na paye jin ko dekhne se un par galat asar padta hai. Mere kehne ka matlab ye hai ki hamare mobile me sometimes Hollywood horror movies bhi hote hai jin ko dekh kar yuva vyakti bhi darr jata hai phir bachu ki halat kya hogi?

In Apps ke alawa, play store par aur bhi Apps uplabdh hai lekin sabhi Apps me different features hote hai jo different tarike se kaam karte hai. Kuch Apps ka interface easy aur kuch ka difficult hota hai. So, ye aap par matter karta hai ki aap Android technology se kitne jagarok hai.

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Top 10 Artificial intelligence Chatbots in Hindi

Next Story

Computer Mein Duplicate Files Remove Kaise Kare