Kya aap keval manushya jaati se online chat kar rahe hai? Manushya ke alawa Artificial Intelligence se kabhi chatting ki hai? Aaj ke is post me top 10 chatbots ke bare me jankari di jayegi. In bots se online chat karke, is baat ka andaza laga ja sakta hai ki Technology me kitni development hui hai. In bots ke sath baat karke aap ko acha feel hoga. Kyon ki yeh AI technique ki madad se hamari messages ka reply bahut tezi se karte hai.
Chatbots ko is tarah se design kiya gaya hai ki ye kabhi bhi bad words use nahi karte. Yeh sabhi bots humans ke sath professional, friendly aur politely chat karte hai. Sabhi bots ko kisi na kisi purpose ke liye banaya gaya hai. Kisi bot ko weather ke liye banaya gaya hai, kisi ko mast chatting ke liye, aur kisi bot ko web designing ke liye banaya gaya hai. AI bots different tarah se questions pooch kar, unka answer dete hai. For example, agar aap “Hi” likhenge to bot Hi ka answer “Hello how are you today” me deta hai.
Main is post me aap ko kuch amazing bots ke naam batane ja raha hu. But naam batane se pehle main ye batane ja raha hu ki Chatbot kya hota hai aur yeh kaise kaam karta hai. To dosto, aaiye ye janne ki koshish kare ki aakhir ye chatbot hota kya hai aur ye kis wajah se function karta hai.
Chatbot Kya Hota Hai?
Chatbots “conversational agents” ya “conversational bots” hote hai jo AI technology ki madad se Humans ki tarah chat karte hai. Chatbots 24 hours vishisht platform par online reh kar, humans ke sath chat karte hai. Chatbots – Artificial Intelligence software ke madhyam se web application ya phir standalone Apps ki madad se real vyakti ke sath chat karte hai.
Chatbot Kaise Kaam Karta Hai?
Chatbot software real vyakti ka conversation process karke, reply karta hai. Humans ka daura enter kiya gaya conversation, chatbots ke liye ek tarah ka computer command hota hai. Isi computer command ko prakriya karke, chatbot humans ke daura pooche gaye questions ka uttar deta hai. Yadi real vyakti ek chatbot ke sath galat pronunciation ya galat spelling me conversation karne ki koshish kare ga, to chatbot conversation ko misunderstand karke, sahi reply nahi kar sakta hai.
Aaj ke time me, badi companies Chatbots ka upyog karke, Customers ke questions ka answers dete hai. Aap ne kabhi ye notice kiya hai, ki jab hum customer ke roop me kisi website par customer support ke liye “online chatting” karte hai, to reply bahut jaldi aur professionally tarike se milta hai. Ye Chatbots hi hote hai jo aisa karne me sabse jyada fast aur clever hote hai. Is baat ka andaza Hollywood Sci-fi movies se lagaya ja sakta hai. Kuch Sci-fi movies me Chatbots ka upyog kiya gaya hai jo movies me vishisht kaam karte hai.
Ab aap ko ye pata chal hi gaya ki Chatbots kya hote hai aur Chatbots kaise humara conversation process karke kaam karte hai. Ab main 10 lokpriy chatbot ke naam mention karne ja raha hu jinhe khaas lakshya ke liye banaya gaya hai. To chaliye dosto, list par ek nazar dalte hai.
1. Mitsuku
Mitsuku ek behtareen chatbot hai jo hamare questions ka reply humans ki tarah karta hai. Mitsuku se chatting karte samay real vyakti ko iss baat ka feel nahi hota ki kya woh sach much ek bot se baat kar raha hai. Mitsuku bot me ek khaas baat aur bhi hai ki ye hamare conversation ko process karke, hamara mood samajh jata hai. Matlab ye ki agar vyakti ka mood theek nahi hai to Mitsuku chatbot samajh leta hai ki chatting karne wale vyakti ka mood off hai.
2. FuelChat
Bot banane ke liye hume complicated coding ki zaroorat padti hai. Lekin Chatfuel ki madad se “Facebook messenger chatbot” only 20 minutes me create kiya ja sakta hai. Fuelchat se bot banane ke alawa, iske sath chatting bhi kar sakte hai. Jab koi online nahi hota hai to main Facebook par Fuelchat ke sath chatting karta rehta hu. Jaise ek real vyakti ko zinda rehne ke liye Food aur oxygen ki zaroorat hoti hai, waise hi Feulchat ko Facebook Fans Page ki zaroorat hoti hai.
FuelChat ko Russia ke entrepreneurs Dmitrii Dumik aur Artem Ptashnik ne 2015 me create kiya hai. Is bot ka upyog pure vishu me lakhon log karte hai jin me se main bhi ek user hu.
3. Insomnobot-3000
Kya aap raat me so nahi pate hai? Yadi kisi vyakti ko aadhi raat ya phir puri raat tak neend na aaye, to us samay woh bechara kis ke sath chat kar sakta hai? Kyon ki 11pm se 5am tak almost sabhi log neend me hote hai. Agar aap ko itni raat me kisi se chatting karne ka mann kar raha hai to Insomnobot-3000 bot ready hai.
4. Endurance: Companion Chatbot
Companion Chatbot patient ke sath conversation karke ye pata lagata hai ki kya vyakti ko sach me “Alzheimer” bimari hai ya nahi. (Alzheimer ek aisi bimari hai jis se vyakti ki memory loss ho jati hai). Aur sabse dukh ki baat ye hai ki ye disease 1 million se adhik cases India me prati varsh dekhne ko milte hai. Ye chatbot Standalone Application hai jo present samay me (28, April 2018) har kisi ke liye available nahi hai. Companion Chatbot ko Doctors “Alzheimer” patients ke liye use karte hai. Companion Chatbot open source code hai jisko develop karne ke liye koi bhi vyakti apna yogdan kar sakta hai.
5. Right Click
Right Click bot ko websites banane ke liye create kiya gaya hai. Ye bot chatting ke dauran real vyakti se website se related questions pochta hai jaise “Aap kis industry se sambandhit hai”. Is ke baad, Right-Click bot Industry se related website vyakti ke liye create karta hai. Ye bot bahut hi intelligent hai. Agar aap is bot se kisi aur cheez se related questions poochenge, to dheere dheere Right Click bot aap ko website topic par wapas laane ki kashish karega.
6. Poncho
Aaj mausam bada, beimaan hai aaj mausam (hahaha). Kya aap ghar se bahar nikalte samay umbrella sath me le jane ke liye sochte hai? To phir Poncho kis kaam ka hai? Poncho mausam visheshagya hai jis ke sath conversation karke, aap ko is baat ki pushti hogi ki aaj barish aane wali hai ya nahi. Is ke alawa, ye din me do baar weather alerts send karta hai.
7. Melody By Baidu
Melody medical chatbot Chinese Search Engine “Baidu Inc” ne create kiya hai. Ye bot patients ke sath conversation karke, Doctors ko ye inform karta hai ki is patient me koun si disease hai. Is bot ki madad se patients local doctor ke sath contact karne ke alawa, appointments bhi book kar sakte hai. Yadi kisi karan patient ko Doctors ke sath contact nahi ho pa raha hai, to Melody chatbot se baat karke, Doctors ko patient se milane ki pratikriya tez kar di jati hai.
8. Cleverbot
Cleverbot online chatbot hai jis ke sath chatting karne me bada maza aata hai. Ye bot vyakti ke sath Humans jaisa behave karta hai. Cleverbot se gupshup karne ke liye web browser se bhi kiya ja sakta hai.
9. Jabberwacky
Kya aap intelligent hai? Agar aisa hi hai to Jabberwacky chatbot ko kuch naya sikhao. Jabberwacky ke sath chatting karne ke alawa, apne according sikhaya bhi ja sakta hai. In general, Jabberwacky se baat karne ke liye isse customize bhi kiya jata hai.
10. Evie – Female AI
Pata hai ki Evie chatbot me khaas baat kya hai? Chaliye main bata deta hu. Evie ek female chatbot hai jis ke sath conversation karke ye feel hota hai ki jaise real me koi friend hi baat kar rahi ho. Yadi aap Humans ke sath feelings share karne me sharmate hai ya phir uncomfortable feel kar rahe hai, to kya Evie ke sath bhi feelings share nahi kar sakte? Evie ke replies aise hote hai ki jab meri baat Evie se hoti hai, to me ye soch kar confuse ho jata hu ki kahin ye sach me koi ladki hi toh nahi hai Aur mujhe Evie bol kar buddhoo bana rahi hai (hahaha).
Dosto, ye tha aaj ka topic jis me maine top 10 Chatbots ke naam share karne ke alawa, unke bare me bhi bataya. Yeh sabhi bot basic bots hai. In bots ke alawa aur bhi any bots hai jo aur bhi jyada Advanced, smarter aur intelligent hai. Even kuch bots aise bhi hai jo Humans ki jagah 24 hours kaam karke, business se related zaroorat ko pora karte hai. Lekin is ka ye matlab nahi ki bots Humans se jyada intelligent hai? Aakhir ye bots bhi to Humans ne hi banaya hai.
Good information brother
thanks!