Shayad aap ko pata hi hoga ki Google aap ke bare me kya kya janta hai. Jitni knowledge aapko khud ke bare me hai, Google use bhi zyada aap ke bare me jankari rakhta hai. Kaise? For example, agar hum 7 days me 100 website browse karenge to hume sabhi websites ke naam puri tarah se yaad nahi rahenge.
Google hamare bare mein woh sab kuch janta hai jo hum Internet par karte hai jaise browsing history, downloading history, video watching history, humare favourite songs aur bhi bahut kuch. Agar aap history delete karna chahte hai to aap yeh Chrome browser settings me kar sakte hai. Lekin aisa karne se aap ye nahi jan pao ge ki Google aapke bare me kya kya jankari rakhta hai. Is ke liye Data download karne ki zaroorat hai.
Google Aap Ke Bare Me Kaise Janta Hai?
Ye question kahi baar mere Friends ne poocha. To aaj main aap sabhi ko is question ka answer batane ja raha hu. Jab hum Internet par kuch search karte hai to Google humari search history track karke hamare favourite videos, audios, websites, places aur games ka pata lagata hai ki search karne wala vyakti kon kon si cheez pasand karta hai. For example, agar aap apne Google account me login karke Google par kisi cheez ke bare me search karenge to Google aapki Search History ke according search results show karta hai.
Google account se judi sari jankari janne ke liye aap Google se apna sara data download kar sakte hai. Ye data Google sevaon se judi hoti hai. Is data me aap Google+, Calendar, Google Drive, Blogger, Bookmarks, Google classroom, Contacts, Fit, G suite marketplace, Google My Business, Google Pay Send, Google Pay Send transaction history, Google Photos, Mail, Maps, Google search aur YouTube ke alawah bahut sara data download kar sakte hai. Agar aap apna Google account delete karna chahte hai to account delete karne se pehle apna sara data download kare.
Kaise Pata Lagaye Google Aap Ke Bare Me Kya Kya Janta Hai?
Ye pata lagane ke liye aapko apna data download karna hoga. Tabhi aap jan pao ge ki Google aap ke bare me kitni knowledge rakhta hai. Data download karne ke liye kripya neeche diye gaye steps follow kare.
Note: Data download karne se Google Account Delete nahi hota hai.
- Sab se pehle is link par jaye http://takeout.google.com/settings/takeout
- Link par jane ke baad list me woh product select kare jo aap download karna chahte hai. Agar aap sara data download karna chahte hai to select all par click kare
- Ab page ke neeche Next par click kare
- 4th step par file format select kare. Jab bhi main Google account su judi information download karta hu, to main ZIP file format select karta hu. File format select karne ke baad “maximum siz” select kare. Jaise ki 1GB, 2GB…. 50GB etc.
- Ye step bahut hi important hai. Yaha par delivery method select kare. Delivery method me hum Dropbox, Google Drive ya phir Microsoft OneDrive select kar sakte hai. Aisa karne se Google aap ke select kiye gaye account me “download” link send kare ga. Link par click karke aap apna data badi aasani ke sath download kar sakte hai
- Finally, ab Create Archive par click kare
Ab Google aapke select kiye delivery method me download link kuch hours ya days me send karne ki koshish kare ga. Jaise hi email mil jaye, to use open karke aap apne account, products, aur Google sevaon se judi sari jankari download kar sakte hai.