Internet Speed Badhane Ke Liye DNS Hack Kaise Kare

hack dns for faster internet speed

Main aaj aap logon ke sath Internet Speed badhane ke liye DNS hack karne ke kuch methods share karne ja raha hu. Aap in methods ka upyog karke, Internet speed 20 se 25 pratishat tak fast kar sakte hai. Iske liye aapko network engineering padne ki koi zaroorat nahi hai. Bas yeh post padh kar, slow internet se chhutkara paye.

Fixed line broadband aur 3G/4G mobile internet use karne ke baad bhi hamari Internet speed bahut slow rehti hai. Iske liye Internet Service Providers (ISPs) जिम्मेदार nahi hai. Kyon ki unke network par kafi dabao padne se Internet slow ho jata hai. Agar aap raat ke 2 baje internet use karenge to us time speed fast hoti hai. Is ke peeche yeh reason hai ki raat ke 2 baje almost sare log so kar internet OFF kar dete hai jis ki waja se DNS par kam dabao padne se internet speed fast rehti hai. Lekin is post me aap Default DNS ko dusre DNS me change karke Internet speed badha sakte hai.

Fast Internet Speed Ke Liye DNS Hack Kaise Kare

DNS hack karne ke liye, post me diye gaye steps follow kare. Steps follow karne ke baad, aap ki internet speed 20% se lekar 25% tak badh sakti hai. Aur agar Internet speed 30% tak badh jaye to kaisa lage ga? To chaliye dosto, DNS ko hack karna sikhe.

Method 1: Change Default DNS to Google DNS

Internet speed increase karne ke liye, yeh sabse aasan tarika hai. Default DNS ko Google high-speed DNS me change karne se Internet browsing aur downloading speed kafi had tak badh sakti hai.

Step 1. Sabse pehle PC par “Control Panel” open karke “Network and Sharing Center” me jaye. Agar aap kisi network se connected hai, to PC ke bottom left corner me active “Wi-Fi” par right click karke “Network and Sharing Center” select kare.

Step 2. Is ke baad “Change your network settings” ke neeche “Change adapter options” par click kare. Waha par do options show ho jayenge. “Ethernet” aur “Wi-Fi”. Hume Internet se matlab hai is liye Ethernet par click karne ke bajaye, “Wi-Fi” option par right click kare. Agar aap Ethernet settings change karna chahte hai, to “Local Area Connection” par click kare.

Step 3. Wi-Fi par right click karke “Properties” select kare. Is ke baad, “Networking” Tab ke neeche “Internet Protocol Version 4 (TCP/IPv4)” option par double click kare.

Step 4. Ab “General” Tab ke neeche, “Use the following DNS server addresses” select karke “preferred DNS server” box me Google DNS value 8.8.8.8 ya 8.8.4.4 enter kare. Aur finally, “OK” button press karke new settings apply kare. Google DNS ka upyog karne ke liye network restart kare.

Method 2: Hack DNS Using ChrisPC DNS Switch

ChrisPC DNS Switch se Internet speed badhane ke liye better option hai. ChrisPC DNS Switch se na keval internet speed increase ho sakti hai, balki is software ki madad se koi bhi vyakti Internet par bina tracking (anonymous) browse kar sakte hai.

Step 1. ChrisPC DNS Switch ka upyog karne ke liye, apne PC par ChrisPC DNS Switch software install kare. Successful installation hone ke baad is software ko open kare.

Step 2. ChrisPC DNS Switch open hone ke baad, ye connected networks ke naam show kar dega jis me network select karke network settings change kiya ja jata hai.

Step 3. Ab “DNS Preset” par click karke “Open DNS” select kare. Aur Open DNS me “Change DNS” par click kare. ChrisPC DNS Switch, select kiye gaye network par “Open DNS Server” automatically apply kar dega. Apply hone ke baad, aap Internet speed me kafi सुधार notice karenge.

Internet speed badhane ke liye aur bhi bahut sari techniques hai jinka upyog karke aap बेहतर Internet speed enjoy kar sakte hai. Lekin kuch tricks aise hai jo 100% work karte hai jaise Default DNS changing. Main khud bhi is technique ka upyog karke tez Internet speed ka enjoy kar raha hu. Aur yeh tricks mere liye 100% work karta hai.

Yadi DNS hack karne se aapki Internet speed me koi tezi nahi aati hai, to yeh Internet Service Provider ya phir PC ka issue hai. Slow computer par 4G internet bhi 2G ki tarah kaam karta hai. Is liye PC theek karne baad DNS hack phir se try kare.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Facebook Friend List Export Kaise Kare (निर्यात Friend List)

Next Story

Dark Pattern Kya Hai? What Is Dark Pattern in Hindi?