Dark Pattern Kya Hai? What Is Dark Pattern in Hindi?

what is dark pattern

Dosto, aaj main Dark Pattern ke bare me aapko jankari dene ja raha hu. Isse padne ke baad, aap Internet scam aur fraud se bach sakte hai. Maine is post me Dark Pattern ke bare me puri jankari di hai taki aap achi tarah se understand kar sake. Iske alawa, is post me Dark Pattern se bachne ke kuch upay bhi diye hai jinki madad se Dark Pattern ko identify karne ke sath-sath khud ko safe rakh sakte hai. To chaliye friends, Dark Pattern ko study karen.

Dark Pattern explain karne se pehle main aapse ek baat kehne ja raha hu. Kuch log Dark Pattern aur Dark Web ke naam se confuse ho jate hai. Basically, Dark pattern aur Dark Web do different terms hai. Yeh dono terms alag-alag tarike se aur alag-alag prayojan ke liye banai gayi hai.

What is Dark Pattern?

Dark Pattern ek graphical trick hai. Is trick ki madad se fraud websites aur Apps ko design karke, ek vyakti ko website pattern (color, language, interface) se misguide kiya jata hai. Aur isi confusion me woh vyakti Dark Pattern website/App par registration kar deta hai. Sign Up karte samay woh website ka pattern understand karne ke bajaye, misunderstand karta hai. Kyon ki website ka Pattern hi aisa hota hai jo logu ko badi chaaliki ke sath confuse kar deta hai.

Jab hum kisi web page par jate hai, to kya hum web page par mention kiye gaye sabhi words padhte hai? Isi baat ka faida utha kar, ek vyakti ko scam me fasaya jata hai. Aisi websites par vyakti se खरीद फरोख्त kara ke, uske paise aur personal information dono khatre me padte hai. Aur yeh paise sapne me bhi refund nahi hote.

Dark Pattern me visual design ka upyog karke shabdon ko aise design kar diya jata hai jin ke charo taraf shady colors hote hai. Aur vyakti ko yeh bhi samajh nahi aata ki aakhir mention kiye gaye words/phrases kis bare me hai. Aap yun samajh lijiye ki ye khokhale shabd hote hai jo aadmi ka Credit card, Debit card aur pocket bhi khokhla kar dete hai.

How to Stay Safe from Dark Patterns?

Dosto, Internet par safe rehne ke liye hume bahut saari cheezon ko understand karna padta hai. Kyon ki Internet ek aisi jagah hai jaha par Internet Expert bhi khud ko bachane me kabhi kabhi nakam rehta hai. Jab ek visheshagya se dhokha ho sakta hai to aise logu ka kya haal hoga jo Internet scams ke bare me shoony jankari rakhte hai?

1. Understand Misinformation

Real aur Fake website/Apps me at least itna difference to hota hi hai ki Real sites par Complete aur Clear information hoti hai. Yadi, website par, product/service ko saaf shabdo me explain na kiya gaya ho, to aisi website me Dark Pattern hone ke chances hai.

2. Understand Wrong redirection

Dark Pattern se bachne ke liye only Words se identify nahi kiya ja sakta hai. Balki, aisi website aur Web Apps par vyakti ko ek page se dusre page par redirect kiya jata hai. For example, yadi site navigation menu me kisi category ya web page par click kiya jata hai, to same site open hone ke bajaye, dusra page/website open ho jata hai.

3. Understand Site Patterns

Dark patten se safe rehne ke liye, website ka pura pattern understand karne ki koshish kare. Pattern understand karne ke liye, site footer, sidebar, navigation, aur header ko analyze kare. Aisi sites par different tariko se, different colors aur language style ka upyog kiya jata hai. Is ke alawa, shady color, aur bahut sare Rows aur Columns ho sakte hai.

4. Understand Pricing Patterns

Real business me fixed pricing hoti hai aur Dark Pattern me different pricing hote hai. Is ke alawa, Dark Pattern par ek vyakti apni marzi ke mutabik pricing plan select karke, product/service ko purchase kar sakta hai. Kyon ki scammers ke liye 1 dollar bhi kafi hota hai. Iski wajah ye hai, ki Fake companies ko pata hota hai ki hume yeh paise Free me milne wala hai.

Dark Pattern se bachne ke liye aur bhi अन्य tarike hai. Meri aap se request hai ki Dark Pattern ko achi tarah study karne ke baad hi anjan sites par online purchase aur transaction kare. Dark Pattern me Real Companies aur Corporations ka naam mention kiya jata hai taki logu ko yeh feel ho ki yeh website jaani pehchani Company/Corporation ke naam se judi hai. Is trick se Real Companies aur Corporations ki reputation kharab ho jati hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Internet Speed Badhane Ke Liye DNS Hack Kaise Kare

Next Story

Browser Me Cryptocurrency Mining Block Kaise Kare