Aaj ke post me hum Internet Speed badhane ke bare me baat karenge. Ye trick hum kisi bhi device par use kar sakte hai jise ki Android smartphone, iPhone, iPad, Mac aur PC. Is trick se ISPs aapki web history track bhi nahi kar payenge. Dosto, ye service vishu ki sab se badi Internet security company Cloudflare ne launch ki hai. 1.1.1.1 DNS Resolver use karne se aap ki Internet Speed 28% tak badh jayegi. Aap ye soch rahe huge ki kahin Cloudflare aapka data leak to nahi karega? Cloudflare ne DNS resolver 1.1.1.1 launch karte samay is baat ki pushti ki hai ki users ki web history 24 hours me clear hoti rahega.
Online privacy aur Internet Speed badhane ke liye aapko apne Device me DNS settings ko change karna padega. Default DNS address ko 1.1.1.1 aur 1.0.0.1 se replace kar ke aap High speed internet ka maza le sakte hai. Maine neech steps diye hai jis ko follow karne se aap apne device me DNS address badi asani se change kar sakte hai.
How to Change DNS Settings to Boost Internet Speed
For Mac PCs:
- Sab se pehle System Preferences Open kare
- Ab DNS Servers ko search kar ke is par Tap kare
- Is ke baad DNS Server add karne ke liye + Icon par click karke 1.1.1.1 aur 1.0.0.1 enter kare
- Finally OK button par click karke Apply kare
IPv6 ke liye: 2606:4700:4700::1111 aur 2606:4700:4700::1001 enter kere
For Windows Computers:
- Sab se pehle Start button par click kare
- Click karne ke baad Control Panel par jaye
- Control Panel me Network and Internet par click kare
- Ab Network connections par click kar ke active network par right click kare
- Is ke baad Properties select kare
- Ab Internet Protocol Version 4 select kare aur Properties par click kare
- General ke neeche Use the following DNS server addresses ko select kare
- Ab BOX me 1.1.1.1 enter karke OK par click kare
Control PanelNetwork and InternetNetwork Connections
IPv6 ke liye: 2606:4700:4700::1111 aur 2606:4700:4700::1001 enter kere
For Android Devices:
- Android mobile par 1.1.1.1 use karne ke liye apne mobile ko WiFi network se connect kare
- Apne Android browser me router gateway ka IP address enter kare
- Router configuration page par DNS server settings search kare
- Search karne ke baad default DNS server ko 1.1.1.1 aur 1.0.0.1 se replace kare
- Finally, ab settings ko save karke browser relaunch kare
IPv6 ke liye: 2606:4700:4700::1111 aur 2606:4700:4700::1001 enter kere
Agar aap bina rok tok ke Android par Internet speed badhane chahte hai to browser me DNS change karne ke bajaye router DNS change kare. Aisa karne se Internet Speed kafi had tak badh sakti hai aur aapko future me har kisi Android ke liye browser me jane ki zaroorat bhi nahi padegi.
For iOS Devices (iPhone/iPad):
- Sab se pehle iPhone home screen par Settings open kare
- Ab active WiFi network par click kare
- Is ke baad, Configure DNS par Tap kereke Manual par click kare
- Default DNS server ko 1.1.1.1 ya 1.0.0.1 se replace kare
- Finally, save par click kare
IPv6 ke liye: 2606:4700:4700::1111 aur 2606:4700:4700::1001 enter kere
Congratulations! Ab aapka private DNS server activate ho chuka hai. Ab aapki web history track karne me ISP ke liye bahut hi mushkil kaam ban jayega. Default DNS server se Cloudflare kahin guna acha hai.
Bhaya kya Google DNS se Cloudflare ki speed jyada hai ya slow?