Browser Me Cryptocurrency Mining Block Kaise Kare

block cryptocurrency mining in browser

Main iss post me Cryptocurrency Mining ko web browser me block karne ke possible tarika share karne ja raha hu. Aisa karne se, aap Cryptocurrency Miner ko apne browser par puri tarah block kar sakte hai. Aur Bitcoin mining malware ka upyog karne wale websites ko browser me scripts embed karne se rok sakte hai. Yeh website malicious JavaScript ka upyog karke, humare PC par mining karne se digital paise kamate hai.

Yadi koi vishesh website aapke Computer ka processor use karke, Bitcoin ya अन्य cryptocurrencies mine kar rahe hai, to iss post me diye gaye tips ki madad se aap in gatividhi ko easily identify kar sakte hai. Dosto, Cryptocurrency Mining ko block karne se pehle yeh jane ki aakhir “Cryptocurrency Mining” kis se kehte hai? Kyon ki is blog par naye readers aate rehte hai jinhe Cryptocurrency Mining ke bare me puri knowledge nahi hai.

Cryptocurrency Mining Kya Hai?

Cryptocurrency Mining me miners vyakti ka computer use karke, digital currency (Blockchain) transaction karte hai aur yeh transaction karke, miners humare computers ki madad se Bitcoins ko verify karke, apne Blockchain ki nayi currencies release karte hai. Miners humara computer is liye use karte hai, kyon ki nayi digital currencies release karne ke liye unhe complicated mathematical problem ko solve karna padta hai. Is solution ke liye unhe bahut sare computers ki zaroorat padti hai. Miners is me malicious program use karte hai jo “cryptographic hash” se kaam karta hai.

Browser Me Cryptocurrency Mining Block Kaise Kare

Mining karne wale websites par jane se computer slow kaam karne lagta hai aur jiski wajah se Laptop ki battery 5 hours ke bajaye, only 3 hours me drain ho jati hai. Agar aap bhi kisi website par ja ke slow PC notice kiya hai, to website me Cryptocurrency Mining malware hone ke chances hai.

1. Browser Testing

Mining ko rokne ke liye, sabse pehle yeh dekhen ki browser vulnerable hai ya nahi. Browser testing ke liye aap ek online tool use kar sakte hai. Is tool ka naam “Cryptojacking test” hai. Is tool ki madad se aap apne browser me mining check kar sakte hai. Mining websites “Cryptocurrency mining scripts” ka upyog karke paise kamate hai. Yeh malware vyakti ke permission ke bina hi function karta hai.

Step 1. Sabse pehle Cryptojacking test website par jaye. Website par jane ke baad “Run” option ka upyog karke mining test kare.

Step 2. Run option ke neeche “Start” button show hoga. Start button par click karke Cryptocurrency Mining “browser vulnerability” test kare.

Step 3. Run karne se testing prakriya shuru ho kar, “Cryptojacking test” aap ke browser setting aur any elements check karke yeh pata lagane ki koshish kare ga ki kya aap ka browser mining vulnerable hai ya nahi.

Step 4. Finally, ab Cryptojacking test tool browser parinaam show karde ga. Yadi browser Cryptocurrency mining ke liye vulnerable hai, to yeh pura post pad kar isse bachne ke upay janch le.

Block Cryptocurrency Mining in Web Browser

Miners ko block karne ke liye, sabse pehle web browser ko latest version me update kare. Latest version me update karne se kisi bhi tarah ki vulnerabilities hone ke bahut kam chances ho sakte hai. Yadi aap ko lag raha hai ki latest version me bhi vulnerabilities hai, to simply No Coin extension browser par install kare. No chain extension sabhi mining websites ko block karke, aap ka computer CPU safe rakh sakta hai.

Block Cryptocurrency Miner

Cryptocurrency miners ko block karne ka aur bhi ek tarika hai. Is me na kisi software ki zaroorat padti hai na online tools ki. Yeh sab manually aur bas ek extension se kiya ja sakta hai.

1. Block Manually

a) Windows PC par miners ko block karne ke liye apne PC par C drive open kare (C:WindowsSystem64driversetc) ya (C:WindowsSystem32driversetc) . Is ke baad, host file ko Edit karke, last me 0.0.0.0 coin hive.com add kare.

b) Linux OS par block karne ke liye, command (udo nano /private/etc/hosts) ko Run karke host file open kare. File open karne ke baad, yadi aap koi unusual ya harmful file dekhenge, to host file ko Edit karke, file ke last me 0.0.0.0 coin hive.com add kare.

2. Use Extension

Agar aap simple, safe aur easy method se Cryptocurrency mining ko block karne ki soch rahe hai, to browser extension ek badhiya option hai. Extension install karke, mining ko puri tarah se block kiya ja sakta hai.

i. Use minerBlock Extension

minerBlock extension, Cryptocurrency mining sites ko automatically block kar deta hai. Yeh ek badhiya choice hai. Aap is extension ka upyog karke mining se chhutkara pa sakte hai.

ii. Use Ad Block

Ad Block se na keval Adult Ads ko block kiya ja sakta hai, balki is ki madad se aap kisi bhi script ya website ka URL Enter karke block kar sakte hai. Block karne ke liye extension ke “Customization” me ja kar, “Block an ad by URL” option select kare. Aur finally, URL box me “https://coin-hive.com/lib/coinhive.min.js” bina quote enter kare.

iii. Use NoScripts

Maine pehle bhi kaha ki mining karne ke liye miners apni websites me malicious Scripts ka upyog karte hai. NoScript Addon se aap kisi bhi script ko block kar sakte hai. Is scripts se aisi website ko block kiya ja sakta hai jin me JavaScript hota hai. Yadi aap ki website me bhi scripts hai, to NoScript install karne ke baad aap apni website ko bhi view nahi kar payenge. NoScript uninstall karne ke baad hi website ko view kar sakte hai.

To friends, yeh tha aaj ka topic jis me maine Cryptocurrency mining ko block karne ke kuch easy tarike bata diye. In ka upyog karne se miner ki websites ko “client side” block kar diya jata hai na ki “server side” se. I mean, ki is post me diye gaye tips ko follow karne se keval aap ke browser me miners ko block kiya ja sakta hai na ki dusre vyakti ke browser me.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Dark Pattern Kya Hai? What Is Dark Pattern in Hindi?

Next Story

AdSense Link Ads Not Showing on Hindi Blogs! Why?