Android “Power Off” Menu Customize/Edit Kaise Kare

customize Android power off menu

Aaj main aap ke sath Android “power off” menu ke bare me ek tricks share kare ja raha hu. Is trick se aap apne Android smartphone ka “power off” menu advanced bana sakte hai. Agar default “power off” button ki baat ki jaye, to isko Long press karne se only 3 option show hote hai jaise power off, restart, aur airplane mode. But custom “power off” ko long press karne se bahut sare option show ho jayenge. In options ka upyog karke, aap apne smartphone ko naya rup de sakte hai.

Power off menu ko customize karne se, Android phone ke baki option “power key” me add ho jate hai. Aur “power key” ek shortcut key ki tarah kaam karta hai jis se hum baki options ko access karne ke alawa, unka upyog bhi kar sakte hai. Agar aap Android lover hai to aap ko “boot in recovery” aur “boot in download mode” ki importance already pata hogi. Yeh dono options power off menu ko customize karne se power key me add ho jate hai. To chaliye friends power off menu ko customize karna sikhe.

Steps to Customize “Power Off” Menu in Android

Menu ko customize karne se pehle aap ke paas “rooted” Android hona chahiye. Agar aap ka phone already “Rooted” hai to well and good. Yadi aap ka mobile “rooted” nahi hai, toh isko root karne ke baad neeche diye gaye steps follow kare.

Step 1. Sabse pehle Xposed installer apne rooted Android phone par install kare. Non rooted mobile par Xposed installer kaam nahi kar sakta hai. Xposed installer download karne ke liye Xposed Module Repository par jaye.

Step 2. Xposed module “Advanced Power Menu App” install karne ke baad, power menu edit kiya ja sakta hai. Power options edit karne se pehle, Advanced Power Menu App ko Xposed installer me Enable kare. Aisa karne se yeh App Android settings aur files ki changes control kar sakta hai. Yadi aap is App ko Enable nahi karenge, to power option edit nahi ho sakta hai.

Step 3. Yeh sab karne ke baad, “Advanced Power Menu App” launch kare. Launch hone ke baad, App me bahut sare options show ho jayenge. In options me Anti Theft Helper (ATH) bhi dikhai dega jo ki ek bahut dadhiya feature hai.

Step 4. Is App ki madad se Wifi, Flashlight, Silent Mode, mobile data, aur airplane mode “power menu” me add kar sakte hai. Power off menu edit karke ke alawa, reboot option bhi edit kar sakte hai. Reboot option me soft reboot, bootloader, recovery aur bootloader bhi shamil hai.

Xposed Module ki madad se aap power menu ko preloaded designs aur icons se Android mobile ki sari problems solve ki ja sakti hai. Kyon ki Xposed Module ek toolkit ki tarah hota hai jis me bohut sare options dekhne ko milte hai. Is toolkit me Neo Power Menu (NPM) hai jis ke sath Android ka power menu puri tarah se redesign/customize kiya ja sakta hai.

Neo Power Menu

Step 1. Power menu ko Neo Power Menu se customize karne ke liye Xposed Installer App ke download section me NeoPowerMenu search karke download kare.

Step 2. Download karne ke baad module ko activate kare. Ab Android phone ko restart kareke NeoPower Menu App open kare.

Step 3. App launch karne ke baad, screen instructions follow kare. Yeh App user ki permissions ke bina koi kaam nahi kar sakta hai. Is liye Neo Power Menu App ko permission de kar “power off” menu ko edit kare.

Step 4. Permission dene ke baad, App ka mukhy interface show hoga. Mukhy interface me theme option select karke App ka default color change kar sakte hai.

Step 5. Ab next step me “Visibility and Order” section me ja kar options ko enable ya phir disable kar sakte hai. Is section me power off, reboot, soft reboot, screenshot, touch, aur expanded desktop jaise option milenge.

Dosto, is trick ko follow karne ke baad, default “power off” menu change ho jaye ga. Itna hi nahi, balki is App ki madad se power menu me “Safemode” bhi Add ho jata hai jis ka istemal karne se Android smartphone ko Safemode me use kar sakte hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

WebP Images Ko JPG/PNG Format Me Save Karne Ke 5 Tarike

Next Story

Ek Android Ko Dusre Android Me Clone Kaise Kare