10 Best iPhone Tips & Tricks in Hindi

iPhone tips and tricks in Hindi

Android smartphone ki tarah iPhones me bahut saare tricks dekhne ki milte hai. Lekin hum me se kuch log in tricks se abhi tak anjan hai. iPhone me kuch hidden features hai jin ka upyog karke iPhone OS ko badi aasani ke sath enjoy kar sakte hai. Non tech-savvy logu ka manna hai ki iPhone operating system acha nahi hai. Lekin sach to yeh hai ki Apple iPhone me aise features hai jo dusre operating system me nahi milte hai. Aaj main iPhone ke hidden features aap ke sath share karne ja raha hu. In tricks se aap apne iOS ko enjoy kar sakte hai.

Agar aap iPhone user hai to is post ki madad se aap iPhone ke छिपी हुई विशेषताएं ka pata laga sakte hai. Agar aap iPhone user nahi hai to phir is post ko padh kar apne friends ko impress kare. To aaiye iPhone ke 10 tricks seekhne ki koshish kare.

1. Use Keyboard as a Trackpad

Kya aap iPhone ka keyboard normally use karte hai? iPhone ka keyboard koi bhi vyakti Trackpad ke roop me use kar sakta hai. Aisa karne se cursor ko aur bhi theek tarah se ghumaya ja sakta hai. Is trick ka upyog karne ke liye aap ke paas 3D Touch iPhone hona chahiye. Yeh trick kisi bhi iPad par kaam karta hai.

Trackpad ko activate karne ke liye, keyboard par kahin bhi mazbooti se press kare. Is ke baad, cursor ko ghuma kar text ke madhyam se apni ungliyan chaaron or drag kare. iPad par trackpad activate karne ke liye, apne dono fingers ko keyboard par neeche ki taraf drag kare.

2. Activate Backspace in Calculator

Kuch chinese mobile ki tarah iPhone calculator me backspace nahi hota hai. Aisa kuch logu ko lag raha hai. right? Agar calculator me backspace na ho to ek digit mistype hone ki waja se calculator ko exit karna padta hai. iOS me backspace finger motion se activate kiya jata hai. Backspace command activate karne ke liye screen ke top par right ya left swipe kare. Agar aap left side swipe karenge to left wala digit delete hoga. Theek isi tarah se right swipe par kiya jata hai.

3. Hide Private Photos

Yeh bahut hi important feature hai. Is se aap sensitive photos ko hide kar sakte hai. Humare friends kabhi na kabhi humse phone cheen kar audios, videos, images aur Apps apne cell ke sath share karte hai. Agar aap aise time par photos ko hide karna chahte hai to iOS se ye sab easily kiya ja sakta hai. Photos ko chupane ke liye, photo collection me jakar private images select kare. Select karne ke baad Share select karke “Hide” par click kare. Hide karne ke baad ek confirmation message dikhe ga.

4. Create iMessage Replies For Unanswered Calls

Kya aap kaam me busy rehne se kuch calls attend nahi kar pate hai? Ya kuch calls aisi hoti hai jo aap pick nahi karna chahte hai. Lekin bina kuch bole calls ka response na de kar caller baar baar ring bajata rehta hai. Calls ko bina attend kiye iOS par custom text messages create karke text reply kar sakte hai. Reply karne ke liye, unlock slider ke aage phone icon upward swipe kare. Swipe karne ke baad, “Respond With Text” select kare.

By default, iPhone me 3 replies already hote hai. Jinhe aap delete karke custom message add kar sakte hai. Custom text add karne ke liye Settings > Phone > Respond With Text, me jaye.

5. Set Custom Vibrations

Android phone me har ek caller ke liye different ringtone set kiya jata hai. iPhone me custom vibration pattern set kar sakte hai. Custom vibrations se phone ko pocket se nikale bina caller ko identify kar sakte hai. iOS me contacts ke liye custom ringtones bhi rakhe jate hai. Custom vibrations rakhne ke liye, apne address book me jaye. Phone book me jane ke baad, contact select karke “Edit” button par click kare. Ab neeche scroll karke “custom vibration” search kare. Is option par Tap karne se aap built-in vibration patterns rakh sakte hai. Agar aap built-in vibration se sehmat nahi hai to aap “Create New Vibration” par Tap karke naya vibration pattern create kar sakte hai.

6. Take Photos While Shooting Videos

iPhone me yeh feature hone ki wajah se video lete samay photos bhi click kar sakte hai. Yeh feature bahut hi acha hai. Kyon ki Video pause kiye bina photos bhi le sakte hai. Photo kheenche ke liye, camera button par Tap kare. Camera button video on-screen par dikhe ga. Is liye video ko minimize karne ki koi zaroorat nahi hai.

7. Save iPhone Battery on Low Power Mode (LPM)

Agar aap apne iPhone ki battery save karne ki koshish kar rahe hai to aap ki koshish bekar nahi chale jaye gi. Kyon ki iPhone me “Low power mode” ka upyog karke battery ko save kar sakte hai. LPM activate karne ke liye settings me jaker LPM active kare. Steps: Settings > Battery > Low Power Mode.

8. One-handed Keyboard

One-handed keyboard main pehle bhi discuss kar chuka hu. But old versions me ye third party Apps se kiya jata hai. Latest iOS me One-handed keyboard built-in hai. Jisko activate karne ke liye Settings > General > Keyboards > finally, One-Handed Keyboard par tap kare. Is ke baad, Left ya Right thumb select kare.

9. Shake to Undo

PC par jaise ctrl + Z press karke undo kiya ja sakta hai, waise hi iPhone par shake karne se undo kiya jata hai. Lekin yaha ctrl + Z/ctrl + Y press karne ke bajaye iPhone ko shake karke undo/redo kar sakte hai. Shake karne se pehle phone ko kas kar pakde warna hath se gir sakta hai. ;). iPhone keyboard par undo button bhi hai lekin ye only landscape mode me show hota hai.

10. Enable Night Shift

Apni aankhon ko tez light se bachane ke liye iPhone display ki brightness dheemi ki ja sakti hai. Is se humari eyes safe aur achi condition me rehti hai. Tez light (high contrast) rakhne se aankhon par bura asar pad sakta hai. Shukar hai ki iPhone me ye feature maujood hai. Night shift ON karne ke liye Settings > Display & Brightness > Night Shift me jaye. Aisa karne se Low/high contrast rakh sakte hai.

Dosto, ye the kuch iPhone tricks jinhe aap iPhone ke new versions par try kar sakte hai. Agar aap mere sath iPhone ke bare me koi nayi trick share karna chahte hai to contact page par ja ke message kare.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

6 Technologies Revolutionized The Way We Live (in Hindi)

Next Story

Google Chrome Me New Tab Disable Kaise Kare