Hi Friends! Aaj main jis topic pe baat karne wala hu woh Windows se related hai. Agar aap Windows 10 me WiFi ka use karte hai to is post ko padh kar aap WiFi aur WLAN se judi report check kar sakte hai. Hum me se bahut saare loogu ne apna operating system XP se lekar windows 10 me upgrade kiya hoga. Aap to jante hi huge ki Windows 10 ka interface XP, Windows 7 aur Windows 8 se bilkul different hai.
Jaise hum earlier operating systems ko operate karte hai waise windows ko kiya jata hai. Lekin kahin kahin pe Windows 10 ko operate karne ke liye hum विभिन्न तरीके istemal karte hai. Jaise WiFi, WLAN and control panel. In teenu ka interface aur function windows 10 me different hai.
Main is post me batane ja raha hu ki Windows 10 me WiFi ya WLAN ki report aur History generate kaise ki jati hai. Ye koi bada masla nahi hai. Bas kuch hi steps me aap history aur report generate kar sakte hai. Generate ki gayi history me WiFi sessions samil hote hai. Jaise successful aur failed sessions, WiFi network ka session duration, disconnect kaaran, network SSID aur WiFi connection ka time aur date. Ye sab aap generate ki gayi report me dekh sakte hai. To ab seedha topic pe chalte hai.
WiFi History aur WLAN Report Generate Kaise Kare
- Sab se pehle Command Prompt ko open kare. Open karne ke liye windows ke search box me cmd type kare
- cmd par right click kar ke run as administrator ko select kare
- Jaise hi cmd launch hoga, netsh wlan show wlanreport cmd me paste kare
- Paste karne ke baad Enter key press kare
- Enter key press karne se command execute ho jaye ga. Jab tak report generate hogi, aap kuch minutes tak wait kare
- Generate ki gayi report WlanReport folder me automatically save ho jaye gi
- WlanReport folder ko access karne ke liye local disk C me is folder ko check kare
Local disk C me folder ko access karne ke liye, main ne steps diye hai
C: > ProgramData > Microsoft > Windows > WlanReport
Generate ki gayi report me Google chrome icon hoga. Ye report HTML format me hone ki waja se chrome ka icon show karta hai. Is icon par double click karke, aap web browser se ye report dekh sakte hai. Is report me BSS type, session duration, session disconnect reason ke alawa system report bhi shamil hogi. System information me PC se judi details hoti hai. Jis me Low power wireless adapter, high power wireless adapter, working power state aur network connectivity jaise reports shamil hoti hai.
Is tarah ki report generate karne ke liye aap third party softwares ka use bhi kar sakte hai. Lekin in softwares se only WiFi history generate ki jati hai. WLAN naam ki cheez third-party applications me hoti hi nahi hai. Dosto, is baat ko le kar zyada khush nahi hona ki aap 1947 se kar current time tak ki report generate kar sakte hai? Aap only 3 days ki report aur history dekh sakte hai. Chahe aap third party applications ka use kare ya phir cmd. Agar aap kisi software se 3 din se zyada ki history aur report generate kar sakte hai, to please mujhe bhi bata dena.