Twitter Account Unsuspend Kaise Kare

unsuspend twitter account

Hi friends! Main aaj twitter account ke bare me baat karne ja raha hu. Main is post me aap ko ye bataunga ki twitter account ko unsuspend kaise kare. Twitter me सख्त नियम hone ki wajah se bahut saare accounts निलंबित kar diye jate hai. Agar aap ka account bhi suspend ho gaya hai, to ghabrane ki koi baat nahi hai.

Main aap ko twitter account recover karne ke liye step by step तकनीक bataun ga jisse aap ka account recover ho sakta hai. Lekin pehle hum is baat ko jan lein ki twitter account kyun निलंबित ho jata hai.

Twitter Account Suspend Hone Ka Reason

Spam: Kahi saare loog twitter ka galat istemal karte hai. Yehi waja hai ki un ka account suspend kar diya jata hai. Spam account aksar aise tweets karte hai jin se twitter rules ka उल्लंघन hota hai. Aise accounts advertising, phishing, ya malware bahut saare loogu ko Reply me, tweets me, ya messages me send karte hai.

Fake Account: Aapne dekha hoga ki Facebook ke alawa twitter par bohut saare fake accounts hai jin ko twitter bina dekhe suspend kar deta hai. Kabhi real accounts bhi galti se suspend ho jata hai. Agar aap ka account bhi galti se suspend ho chuka hai to is post ko padhte rahiye.

Account Security: Kuch accounts me असामान्य गतिविधि detect hone ki waja se account block kar diya jata hai taki aap ka account hackers se सुरक्षित rahe. Aise accounts phone number se confirm karwa ke restore kiya ja sakta hai.

Dosto, agar aap ko is baat ka yakeen hai ki aap ka account in sab cheezo se door hai to aap apne account ko restore kar sakte hai. Ye bahut hi aasan hai. Lekin appeal karne ke liye sahi sahi जानकारी enter kare. Agar wrong details submit ho gayi to aap ka account unsuspend nahi hoga. To chaliye dosto ab shuru karte hai.

Twitter Account Unsuspended Karne Ka Aasan Tareeka

  1. Sab se pehle apne suspended account ko login kare
  2. Note: Suspended account login kiya ja sakta hai. Agar password bhul gaye hai to woh reset bhi kar sakte hai

  3. Ab diye gaye linke par jaye jo ki appeal form ka link hai
  4. https://help.twitter.com/forms/general?subtopic=suspended

  5. Link par jane ke baid Where are you experiencing this issue? me sahi option select kare. Is me aap ko apna web browser aur operating system select karna hai
  6. Is ke baid Description of problem me apni poori problem ko likhe. Ye important step hai jitna ho sake sahi sahi details enter kare. Main ne neeeche appeal form ka ek example likha hai. Aap ye Description me enter kar sakte hai.
  7. Hello, Twitter team! My account has been suspended and i am surprised about its unfair suspension. I swear, under penalty of perjury, that i didn’t violate twitter rules. I will not Tweet many links in the future, but use the account to update my Followers. Please take appropriate action and reconsider my account suspension.

  8. Dosto, ab apna poora naam, Twitter username, twitter se juda email address aur phone number enter kar ke continue par click kare
  9. Click karne ke baid Google reCAPTCHA ko poora kar ke appeal submit kare

Kuch hours/days ke baid twitter se mail aaye ga. Us mail me appeal aur बर्खास्त account se judi information ho gi. Agar aap ko email nahi mila to spam folder me check kare. Kabhi kabhi mail nahi aa kar bhi account unsuspend ho jata hai. To ye zaroori nahi ki aap mail ka wait kare. Agar twitter se mail nahi mila to apne suspended account ke username aur password se login kare. Ho sakta hai ki aap ka account restore kar diya gaya ho.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Tribe Messenger Se Group Video Call Kaise Kare

Next Story

Best Finance Planning Apps for iPad (In Hindi)