Twitter par theme color change karne se Twitter profile aur bhi khoobsurat lagta hai. Main aaj aap ke sath yehi share karne ja raha hu ki Twitter profile par theme color change kaise kiya jata hai. Aisa karne se aapka account attractive hone ke sath-sath professional bhi dikhe ga. Agar aap twitter ko Business ke liye use karte hai to aap Business ke according twitter color change karke ise aur bhi acha bana sakte hai.

Twitter color change karne se Hashtags, Buttons aur Links ka color change kiya jata hai. Is ke alawa, agar koi Follower aapka profile check karega to usey bhi wohi color dikhe ga jo aapne apply kiya hai. Yehi ek mauka hai apne followers ko impress karne ka. Twitter account par kisi bhi color ko apply kar sakte hai. Aap apne twitter Profile par color code use karke apni choice ka theme color rakh sakte hai jo ki bahut hi badiya option hai. To friends, ab main aapko theme color change karne ke steps batane ja raha hu. Inhe Follow karke apne twitter profile ko ek naya roop de.
Twitter Profile Par Theme Color Change Kaise Kare
- Sabse pehle apne twitter account me login kare
- Login karne ke baad profile photo par click karke apne Naam par click kare
- Agar aap web browser se twitter access kar rahe hai to seedha apne twitter.com/Apne-username par jaye
- Header image ke neeche right side me “Edit profile” par click kare
- Is ke baad, left side me profile picture ke neeche “theme color” par click kare
- Ab apni choice ka color select karke “Save” par click kare
- Agar aapko apni choice ka color nahi mil raha hai to “+” icon par click kare
- Finally, “#” ke aage apni pasand ka color code enter karke “save” par click kare
- Naye color ka parinam dekhne ke liye page ko refresh kare
Good! Aap ka theme color change ho gaya. Dekha kitna aasan hai? Change karne ke baad, agar aap default color rakhna chahte hai to “0084b4” color code enter kare.
Twitter ne “theme color” option ko rakh kar ek bahut badiya kaam kiya hai. Bahut saare log aise hai jo default color ke bajaye custom color pasand karte hai. Dosto, aap ye mat samjhna ki twitter par “theme color” change karne se apne naam ke aage ” Blue verified” icon rehta hai? Ise keval aapke profile ka color change hota hai jo ki maine pehle hi bataya hai.