Premium LinkedIn Subscription Cancel Kaise Kare

Kya aap LinkedIn Premium subscription ko cancel karna chahte hai? Agar aap meri tarah LinkedIn Premium subscription ko effort nahi kar pate hai to aap kabhi bhi Premium subscription ko cancel kar sakte hai. But ek baat ka dhyan rahe ki Premium subscription ko cancel karne se aap ko woh sare features nahi milen ge jo aap ko paid account me milte hai. Premium account me hume InMail aur profile viewing ke alawa aur bhi bahut saare features milte hai.

cancel LinkedIn premium subscription

Dosto, LinkedIn hume Premium account one month ke liye free offer karta hai. Us ke baad hamare bank account ya PayPal se paise deduct kar kar premium subscription ko continue rakh dete hai. Agar aap ke add kiye gaye account me balance nahi hai to kuch time ke baid subscription automatically cancel ho jata hai. But agar aap ko phir bhi cancel karne ka mann karta hai to aap bina kisi pareshani ye kam 2 minute me kar skate hai.

Please note: कृपया ध्यान दें

Premium subscription ko cancel karne se pehle me ek baat clear kar dena chahta hu jis ko understand karne ki zaroori hai. Premium subscription cancel karne se aap ka account delete nahi ho jata hai. Deleting account aur cancelling premium subscription me bohut difference hai. Jab aap account delete karte hai to aap ka poora account inaccessible ho jata hai. Premium subscription cancel karne se aap ka account inaccessible nahi ho jata hai. Bas kuch feature close ho jate hai. Poori jaankari ke liye aap LinkedIn help center par search kar sakte hai.

Dosto, ab main seedha topic pe aata hu. Ye bahut hi easy steps hai jo bas 1 minute ka kaam hai.

Premium LinkedIn Subscription Cancel Kaise Kare

  1. Sab se pehle, Web browser me apna LinkedIn account login kare
  2. Login karne ke baid neeche diya gaye link ko address bar (Web browser field) me paste kare
  3. https://www.linkedin.com/premium/cancel/features

  4. Paste karne ke baid Enter key press kare
  5. Jaise hi page poori tarah se load hoga, neeche right side me Cancel my subscription ka option aaye ga
  6. Is option par click kare aur aap ka Premium subscription cancel ho jaye ga

Dosto, jab aap ka Premium subscription cancel ho ga, to aap free me ise use kar sakte hai. Cancel karne ke baid agar aap premium subscription ko reactivate karna chahte hai to aap kisi bhi time kar sakte hai. Lekin reactivate karne se pehle Naye subscription plan ko check karna na bhoolain. Plan cost increase bhi ho sakta hai aur decrease bhi. Ye LinkedIn par depend karta hai ki woh naye plan me kaun si changes karte hai.

Agar aap is post ke bare me kuch batana chahte hai to comments me linkedin. Aap ke प्रश्न, सुझाव, राय aur प्रतिक्रिया se main is blog ko aur bhi बेहतर bana sakta hu.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Schema.org mainEntityOfPage Kya Hai?

Next Story

Top 5 (Buy and Sell) BitCoin Websites in India