Learn Multiple Foreign Languages on Android Apps

learn foreign languages on Android

Hi Guys! Sach kahu to main khud ke liye FREE भाषा सीखने के लिए Play store par Apps search kar raha tha. Tab maine kuch Apps install karke languages seekhna shuru ki. Mujhe kuch Apps aisi mili jinse koi bhi व्यक्ति bahut saari languages sikh sakta hai. Phir maine socha ki kyun na in Apps ko readers ke sath share kiya jaye. In Apps ko install kar ke aap kuch hi weeks me विभिन्न भाषाएं bolna sikh jao ge. Is ke alawa, aap ki listening aur understanding ability kafi badh sakti hai. Maine jabse in Apps se languages sikhna shuru ki hai, tab se main Germany aur Italian ke kuch chote chote sentence bol leta hu.

Languages seekha bahut hi mushkil kaam hota hai. Opar se aisi languages jinka naam pehli baar sunne ko milta hai. Lekin jab aisi Apps ho tab vocabulary aur grammar sikhna koi badi baat nahi hai. दरअसल, in Apps me text to speech, phrases, lessons aur quizzes hai jinse hum kisi bhi language ko sikh sakte hai. Agar kisi ki language achi bhi hoti hai lekin tab bhi word pronounce karne me gadbad hoti hai. Jo keval language Apps ki madad se theek ho sakta hai. Multiple languages seekhne se foreign countries me job milne ke 100% chances hai. Itna hi nahi, balki aap online contents ka business kar sakte hai jise aap ki achi khaasi kamayi bhi ho sakti hai.

1. Learn 50 languages

“Learn 50 languages” App me 50 languages उपलब्ध hai. Is App ki madad se aap fluently bolna seekh sakte hai. Is App me bahut features hai. “Learn 50 languages” App, sentence ko audio me convert karke grammar aur vocabulary seekhne me madad karti hai. Itna hi nahi, ye App badi hi aasani se ek language ko dusre language me translate kar deti hai.

Download Learn 50 languages

2. Learn Multi language

Foreign languages seekhne ke liye ise badhkar koi aur App ho hi nahi sakti hai. Is App me English, French, German, Turkish aur Arabic languages preinstall hai. Itni languages seekh kar aapke saamne koi tik bhi nahi payega. “Learn Multiple Language” App par different languages ke Conversation उपलब्ध hai. Jinko ek language se dusri langue me translate kiya ja sakta hai.

Download Learn Multi language

3. Speaky – Language Exchange

Agar aap language seekhne ke liye kisi dusre व्यक्ति se baat karna chahte hai to yeh keval “Speaky” se मुमकिन hai. Is App se aap विश्व me kahi se bhi language partners search karke unke sath language exchange kar sakte hai. language exchange karke aap badi hi aasani se foreign languages seekh sakte hai.

Download Speaky – Language Exchange

4. Memrise: Learn New Languages, Grammar & Vocabulary

Agar ye App learners ke smartphone me nahi hai to foreign languages seekhna mushkil hai. Is App se Spanish, Japanese, Chinese, Italian, French, German aur Korean seekh sakte hai. Is ke alawa, apna grammar bhi foreigners ki tarah strong bana sakte hai.

Download Memrise

5. iLinQ Language Learning

Agar aap offline reh kar languages sikhna chahte hai to “iLinQ Language Learning” 100% sahi App hai. Is App par aap 25+ languages sikh kar apne friends, family aur relatives ko impress kar sakte hai. Yeh ek aisi App hai jo maine khud bhi inslall ki hai. “iLinQ” me aap apne lessons ko playlist me rakh kar play kar sakte hai. Jise aap ki languages me improvement hogi.

Download iLingQ Language Learning

6. Duolingo: Learn Languages Free

Agar aap ka uthna baithna educated logu se rehta hai to is App ko aaj hi install kare. Is App se aap sabhi ko impress kar sakte hai Chahe woh American ho ya phir spanish, French, German, Portuguese ya Italian.

Download Duolingo

Language learning Apps ko install karke aap multiple foreign languages seekh sakte hai. Seekhi gayi languages ko apne friends aur classmates se exchange karne ki koshish kare. Ise aap ki language aur bhi mazboot ho jaye gi. Languages ko exchange karte samay frank rehne ki bhi koshish kare.

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Laptop Ka Battery Backup Kaise Badhaye

Next Story

Facebook Posts Hide/Unhide Kaise Kare