Jab bhi hum Laptop use karte hai to hamari nazar screen par rehne ke bajaye Battery par tiki rehti hai. Hume is baat ki chinta rehti hai ki abhi battery exhaust ho jaye gi. Aur jab se windows 10 market me aaya hai tab se battery ki fikar kuch zyada hi rehti hai. Windows 10 me kafi features hokar bhi hume yeh samajh me nahi aata hai ki battery ki life increase kaise ki jaye. Kuch loogu ka maana hai ki Windows 10 ki battery sahi nahi hai. Lekin jaha tak mujhe pata hai ki Win-10 operating system me sabse badhiya battery hai. Ye hamara दोष hai ki hume use karna nahi aata. Isme inbuilt options hone ki waja se battery life ko badi aasani se increase kiya ja sakta hai.
Aap ek se nahi balki 10 tarikon se battery backup badha sakte hai. Main ek-ek karke sabhi tareeke batane ki koshish karunga. Inhe follow kar ke Laptop ki battery save kar sakte hai. Ise aapke laptop par koi bura asar nahi pade ga. Balki battery bacha ke aap ka laptop acha performance kar sakta hai. Main is post me kuch battery tips share karne ja raha hu. Agar aap ke paas windows 10 ka Laptop hai to ye post padh kar aapne Laptop ki battery badha sakte hai.
1. Battery Saver Mode
Windows 10 me battery mode options ko use kar ke hum apne Laptop ki battery save kar sakte hai. Isme “Battery saver mode” aur “default mode” उपलब्ध hai. Agar aapka laptop power source (charger) se connected nahi hai to “Battery saver” ko activate kare. Saver mode se 15% “battery power” save ho jaye ga. Kya 15% kam hai? To Next option use kare.
2. Close Unnecessary Apps
Jab hum windows 10 ko ON karte hai to background me bahut sari Apps launch ho jati hai. Yeh windows 10 me badi samasya hai. Kuch Apps Internet se automatically connect ho kar humari battery ki band baja dete hai. In Apps ko close kar ke battery ko kafi had tak save kiya ja sakta hai.
3. Keep Your Laptop Clean
Machine ka use karne se pehle ise achi tarah saaf kare. Is ke alwa, Laptop ko shut down karke kisi saaf bag me rakhe. Ise aapka laptop saaf rahe ga. Agar Laptop me धूल chali jaye to battery par bahut bura asar parta hai. Dust particles ki wajah se Laptop ki performance bhi bigad jati hai.
4. Turn Off Network Connectivity
Agar aapka laptop Internet se connected nahi hai to us time Wi-Fi aur Bluetooth off rakhe. Computer par offline audios, video aur games enjoy karte time network connectivity OFF hi rake. Aisa karne se battery jyada time tak chalegi.
5. Unplug Optical Mouse
Optical mouse ko unplug karne se batter save hone ki poori guarantee hai. Optical mouse me lights hone ki waja se ye battery consumption karne me koi kasar nahi chhodta. Agar aapka mouse laptop se connected hai to batter kuch प्रतिशत jyada kharch hogi.
To friends ye thi kuch tips jinse aap apne Laptop ki battery increase kar sakte hai. Inhe ek baar try karke dekh lein. Mera yaqeen mano, aap ki battery bahut samay tak चलेगी gi. Aur Laptop ki performance bhi badhiya rahegi.