Hello Dosto, aaj main kuch website ke naam batane wala hu jin se aap cryptocurrency ka market value track kar sakte hai. Jab hum cryptocurrencies ya BitCoins ka trade karte hai to hume pata hona chahiye ki in ka current market value kya hai. Yehi pata karne ke liye main aaj top 6 website ko is post me mention kar raha hu taki aap trade karne se pehle cryptocurrency ka बाजारी मूल्य track kar sake.

Is post me mention ki gayi sabhi websites ka interface bahut hi acha, fast, aur user-friendly hai. Lekin kuch website me advanced features hone ki wajah se, aap ko pehle कठिन lage ga. To friends Keep Calm.
List of Websites to Track Live Cryptocurrency Prices, Trades & Volumes:
1. CryptoCompare.com
Dosto, CryptoCompare website cryptocurrency track karne me kisi se kam nahi. Ye site 1000 se adhik cryptocurrencies ko track karti hai. Yaha par cryptocurrencies ka वर्तमान market prices, market capitals aur last 24 hours change rates ko track kiya jata hai. Cryptocurrency tracker ke alawah, is website par hum mining calculators aur digital wallets ka use bhi kar sakte hai.
CryptoCompare.com par Bitcoin (BTC), Tonix (TRX), Ethereum Classic (ETC), Bitcoin Cash (BCH), Ethereum (ETH), Litecoin (LTC), Ripple (XPR) aur bhi bahut saari cryptocurrencies ko track kiya jata hai.
2. CryptoWatch
Dosto, agar aap Tracker king ko janna chahte hai to CryptoWatch par ja ke (King of the Cryptocurrency Tracker) ke bare me chal jaye ga. Dosto, ye website different cryptocurrency websites ka live data show karta hai. CryptoWatch pichle 24 hours ke change percentage ke saath-saath different currencies stock price aur market capital ko show karta hai. Jis ki madad se aap ko cryptocurrency ka market value aasani se pata chal sakta hai.
CryptoWatch.ch bohut saari cryptocurrencies ko track karta hai. Jaise Lisk (LSK), Agrello Delta (DLT), Vechain (VEN), Waves (WAVES), OmiseGo (OMG), Theta (THETA), IOTA (IOT),Monaco (MCO), QTUM (QTUM) aur NuBits (NBT).
3. CoinLoop
Cryptocurrency ka market value track karne ke liye CoinLoop ek badhiya tracker hai. Is me 1500 se adhik Cryptocurrency ki list hai. Yaha par aap cryptocurrencies, Bitcoins, Ethereum, Fiat, aur Metal track kar sakte hai. Is website ki sab se achi baat ye hai, ki yaha par different cryptocurrencies ko graphical roop me compare kar ke in ka market value track kiya ja sakta hai.
CoinLoop par Binance Coin (BNB), Arc Block (ABT), Ethereum (ETH), Nucleus Vision (NCASH), NEM (XEM), ZCash (ZEC), Huobi Token (HT), IOS Token (IOST), Monero (XMR) aur Nano (XRB) ko track kiya jata hai.
4. Yahoo Finance
Jab trust aur reputation ki baat ho, to finance.yahoo.com market me achi jaga banaye hue hai. Yahoo Finance me 120 se ziyada cryptocurrencies ki list hai. Jaise hi list me available kisi ek cryptocurrency par click karte hai, to ye us ki detailed summary show karta hai. Is tarah se aap kisi bhi cryptocurrency ka current market value track kar sakte hai.
Yahoo Finance par hum लोकप्रिय cryptocurrencies ko track kar sakte hai. Jin me Cardano (ADA), ChainLink (LINK), QunQun (QUN), Power Ledger (POWR), INS Ecosystem (INS), Revain (R), AirSwap (AST), Siacoin (SC) aur Genesis Vision (GVT) shamil hai.
5. CaptainFalcoin.com
Agar aap easy cryptocurrency tracker chahate hain, to CaptainFalcoin aap ke liye hai. CaptainFalcoin ko use karne ke liye aap in ki Android App se bhi tracking kar sakte hai. Cryptocurrencies ki puri list show karne ke bajaye, ye Cryptocurrencies ke वांछित set ke sath ek portfolio banane ka option deta hai. Jis me aap apni choice ki Cryptocurrencies add kar ke un ka market value track kar sakte hai.
CaptainFalcoin Bitcoin Diamond (BCD), Dogecoin (DOGE), Zilliqa (ZIL), Medicalchain (MTN), ICON Project (ICX), Hshare (HSR), OrangeCoin (OC), Metal (MTL), AdEx (ADX) aur SirinLabs (SRN) ko track karne me expert hai.
6. Etoro
Etoro.com cryptocurrency ki trading aur investing ki sab se badi website hai, jaha par aap cryptocurrencies ka market value ek minute me pata laga sakte hai. Etoro.com dusri websites se different hai. Yaha aap apni choice ke cryptocurrencies ko search kar ke un ka market value dekh sakte hai. CaptainFalcoin.com ki tarah aap Etoro.com par apni pasand ki cryptocurrencies ko portfolio me add kar ke unhe track kar sakte hai.
Etoro hazaroun cryptocurrencies ka market value track karta hai. Un me Dash (DASH), Ripio (RCN), Decentraland (MANA), Quantstamp (QST), Quoine Liquid (QASH), Achain (ACT), OrangeCoin (OC), Elastos (ELA), Salt Lending (SALT) aur Ruff (RUFF) bhi shamil hai.
To Dosto, ye the kuch website ke naam, jaha par aap cryptocurrency ko track karne ke sath-sath, apni choice ki cryptocurrencies ko portfolio me add kar sakte hai. Add karne ke baid aap unka market value easily track kar sakte hai. In me kuch websites par (buy and sell) ke features bhi hai, jaha se aap cryptocurrency ko exchange kar sakte hai. Lekin trade karne se pehle ye check kare ki India me ye websites (buy and sell) ke liye available hai ya nahi.