Google Par Unknown Photos Ki Pehchan Kaise Kare

google image search

Google विश्व ka sabse Intelligent search engine hai. Is ke kuch hidden features hai jo hume abhi tak pata nahi. Google se hum kisi bhi cheez ki jankari hasil kar sakte hai jaise audios, videos, texts, softwares, websites aur Photos. Hum kisi cheez, व्यक्ति ya jagah ki जानकारी Google se hasil kar sakte hai. Kabhi aapne socha hai ki Photos ko kaise identify kiya jata hai? Photo “type” karne ki cheez nahi jisko hum Google me text ki tarah search kar saken. To phir Photos ko identify kaise kiya jata hai? Yehi baat share karne ke liye main aaj ye post likh raha hu. Aap kisi bhi photo ko ek click se identify kar sakte hai.

Google par photos ko identify karne se aur bhi ek faida hai. Photo se jude social profiles bhi dekh sakte hai. For example, agar aap kisi व्यक्ति ka photo Google me search kar rahe hai to us photo ki madad se Google aapko us व्यक्ति ke social profiles bhi show kar de ga. Jaise Facebook, Pinterest, Twitter aur Google Plus. Iske alawa, Instagram ka profile bhi show ho jayega jaha photos ka bandhaar laga rehta hai. Aap Google par photo upload kar ke ped paudhe ke naam bhi identify kar sakte hai. Main is post main aapko photo identify karne ka ek aasan tarika batane wala hu. Is tarah se aapko na koi software download karne ki zaroorat hai aur na hi class me baith kar practice karne ki zaroorat hai.

Google Par Photo Identify Kaise Kare

Photo identify karne ke liye aap ke paas photo ya photo ka URL hona chahiye. In dono me se kisi ek ko Google par search kar sakte hai.

  1. Sab se pehle Google search engine par jaye
  2. Search bar me kisi cheez ka naam type karke “enter key” press kare
  3. Enter key press karne ke baad aapko waha bahut saare option dikhen ge jaise “All”, “News”, “Images”, “Maps”, “Videos”, “More” aur “Settings”
  4. Images par click karke images search mode activate kare
  5. Ab Camera icon par click kare
  6. Image search

  7. Is ke baad waha do options “Paste image URL” aur “Upload an image” show hoga
  8. Agar aapke PC me image save hai to “Upload an image” select karke upload kare
  9. Image na hone ki soorat me “Paste image URL” select karke “search by image” par click kare
  10. Google photo ko प्रक्रिया karke relevant search results show karne ki koshish kare ga

Is tarah se aap kisi bhi photo ko identify kar sakte hai.

Basically, Google artificial intelligence (AI) se images ko search karta hai. Images ke results wrong bhi ho sakte hai. But jahan tak mera experience hai, maine kahi bar Google par images search ki aur har time 100 प्रतिशत correct results mile. Lekin iska matlab ye nahi ki AI 100% correct ho sakta hai. Isliye “Google image search” par koi guarantee nahi hai. Ye bas photo suggestion ke liye istemal kiya ja sakta hai. Agar aap photo ki editing karke Google ko confuse karne ki soch rahe hai, to aap galat soch rahe hai. Edited photos se “Google image search” प्रभावित nahi hota hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Audio Files Ko Text Me Convert Kaise Kare

Next Story

Laptop Ka Battery Backup Kaise Badhaye