Main is article me batane ja raha hu ki kisi विशिष्ट post ko apne Facebook timeline se kaise hide kare. Aap kisi bhi वर्ष और महीने ko select kar ke apne timeline se posts ko Hide kar sakte hai. Is ke alawa, aap “word filter” option ko use karke aise posts hide kar sakte hai jo kisi विशिष्ट शब्द se juda post ho. For example, Agar “Hello” word wale posts ko hide karna ho, to “filter” ko activate karne se woh sabhi posts hide ho jayege jin me “Hello” word use kiya gaya ho.

Yadi aap particular वर्ष और महीने ke sabhi posts ko hide karna chahte hai to aap year aur month ko select karke sabhi posts ek click se hide kar sakte hai. Hide karne ke baad Unhide karne ka option bhi hai. Jab bhi aap ka mann kare, aap badi aasani ke sath hide kiye gaye posts ko Unhide kar sakte hai. Is ke liye aapko Chrome browser me “Social Book Post Manager” Extension install karne ki zaroorat hai. Is extension me inbuilt options ko use karke aap ye sab easily kar sakte hai. To aaye posts ko hide karna sikhe.
- Sab se pehle chrome browser me “Social Book Post Manager” install kare
- Extension ko install karne ke baad apne facebook account me login kare
- Ab apne account ke “activity log” page par jaye
- Is ke baad Extension icon par click karke options select kare jaise Month, Year ya filter
- Select karne ke baad, aap “Hide/Unhide” karne wale posts ko select kare
- Finally, “Confirm to hide” ke neeche “Confirm” par click karke posts ko “Hide/Unhide” kare
Aap exension ke bina bhi Facebook posts News-Feed ya timeline se hide kar sakte hai. Lekin is ke liye bahut time waste ho jayega. Kyunki Facebook par hum ek saath sabhi posts ko Hide nahi kar sakte hai. Posts ko hide karne se posts delete nahi hote hai balki ye timeline par gayib rehte hai jab tak aap inhe wapas Unhide na kare. Ye trick aap aise posts ke liye bhi use kar sakte hai jin posts se aap ko acha feel nahi hota hai. Is extention ko istemal karke aap aise posts ko hide kar sakte hai jo aap timeline par delete karne ke bajaye hide karna chahte hai. Posts ko hide karna ka ye faida hai ki ye delete nahi hote hai. Aap kabhi bhi inhe Unhide karke timeline par show kar sakte hai. Yadi posts ko manually delete kiya jaye, to aise posts kabhi recover nahi hote hai. Main personally “Social Book Post Manager” extension ko like karta hu. Ise ek sath bahut saare posts ko hide/unhide karne ke sath-sath “Filter” bhi laga hai jo ki bahut hi acha hai.
Friends, yeh tha aaj ka topic jisme hume posts ko hide/unhide karna seekh liya. Dosto, “Social Book Post Manager” aap ke friends ka timeline प्रभावित nahi kare ga. Ise wohi timeline प्रभावित hota hai jo is ka use apne web browser par kare.