4 Android Apps For Kids to Learn Basic Math (in Hindi)

android math apps for kids

Hi Guys! Aaj ka विषय bahut hi जरूरी hai. Main is post me kuch Android Apps ke naam batane ja raha hu jinse parents kids ko Basic Math sikha sakte hai. Ye sabhi Apps FREE hai. Aap Math Apps ka istemal kar ke बच्चों ko aur bhi smart bana sakte hai. Hum apne liye bahut saari Apps install karte rehte hai. Aaj kids ke liye Apps ko download kar ke unhe Maths seekhne me help kare. Math seekhna important hi nahi, balki अनिवार्य hai. Math ke bina hamare बच्चों ka career risk me padta hai.

Aaj kal ke aksar बच्चों books se ziyada smartphone ko hath me lekar games khelte hai. To kyun na mauke ka fayda utha kar unhe maths ki App se smart bana de. Aisa karne se unka basic math strong ho jayega aur woh Mobile ka istemal bhi sahi kar sakte hai. Math Apps ki madad se parents kids ko badi hi asani se addition, subtraction, aur multiplication sikha sakte hai. Basic math seekhne ke baad woh complex math ko bhi understand kar sakte hai. Main ne is post me kuch Apps ke naam diye hai. Aap ko jo App achi lage wohi download kare.

1. Math Kids

Math Kids se kids ko counting, addition, subtraction ke alawa English alphabets bhi sikhaya ja sakta hai. Is App ka interface itna easy hai, ki ek baar बच्चों ke hath lag jaye to agli bar woh khud ise use kar sakte hai. Is App se kids numbers ko compare kar ke Bigger aur Smaller ke beech ka difference seekh sakte hai. Is ke alawa, is App me missing number bhi hai. Missing number puzzle ki practice kar ke unki counting strong ho jaye gi.

Download Math Kids Here

2. Kids Numbers and Math

Is App me counting, addition, subtraction aur Compare numbers ka puzzle hai. Is App se बच्चों ko na sirf math sikhaya ja sakta hai balki unka IQ bhi badh sakta hai. Yehi is App ki विशेषता hai. बच्चों ko ek bar “Kids Numbers and Math” hath lag jaye, to phir woh is App se sote jagte math seekhna shuru kar de ge.

Download Kids Numbers and Math Here

3. Math games, Mathematics

Agar addition, subtraction aur multiplication se ziyada features wali Aapki soch rahe hai to “Math games, Mathematics” aapki soonch ko badal sakta hai. Is App me bahut saare features hai jo aap ko kisi dusri App me nahi milenge. Aisa bhi ho sakta hai ki kuch बच्चों ko pehle se hi Addition, subtraction aur multiplication aata hoga. Lekin kya unhe division, square, cube, square numbers, tough multiplication, square root, percentage aur multiplication table aata hai? Agar nahi, to “Math games, Mathematics” ko aaj hi download kar ke ye sab kids ko sikha de.

Download Math games, Mathematics Here

4. Multiplication Table Kids Math

Is App ke features Rating se hi pata chalti hai. Is App se do kids do alag-alag phones par math challenge use kare apne skills badha sakte hai. Ye App “multiplication difficult” ka puzzle create kar ke Kids ko complex multiplication solve karne me होशियार bana sakti hai. Main ne bhi ye App apne chote भतीजा ke liye download ki hai. Jab se woh is App par math seekhne laga hai, tabse uske math me bahut saari improvement hui hai.

Download Multiplication Table Kids Math Here

Ye the kuch Apps ke naam jinko parents download kar ke apne kids ko basic maths sikhane ke sath-sath unka IQ bhi badha sakte hai. Kuch Apps main Ads bhi hai. Lekin main ne in Ads ko abhi tak check nahi kiya. Ho sakta hai ki kuch Apps me aise Ads hu jo 18 se chhote bachchon ke liye अनुचित hai. To ye aap ki ज़िम्मेदारी hai ki Ad contents ko check karne ke baad hi bachchon ko Apps se math sikhaye.

Leave a Reply

Your email address will not be published.

Previous Story

Windows 10 Me WiFi History Generate Kaise Kare

Next Story

6 Android Apps IQ Test Ke Liye